Page 1 of 1
aek maAmooli see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir
Posted: Sat Dec 30, 2006 9:51 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Apni aek saadah see ghazal pesh karrahaa hooN. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahe gaa.
GHAZAL roman meiN:
Junoon-e-ishq meiN dil ko koii malaal nahiN
Shikan jabeeN peh nahiN lab peh ArZ-e-Haal nahiN
Yeh kehke us ne miri zindagi badal Daali
Keh rasm o raah-e-muHabbat meiN iAtidaal nahiN
usi ke haath meiN hei Dour apni qismat kee
kamaal uskaa hei, meHkoom baakamaal nahiN
tire karam ke taSadduq tiri Ataa peh nicaar
miri zabaan peh yaarab koii sawaal nahiN
hamaare daur meiN inSaaf hougayaa unqaa
andheri raat meiN sooraj kaa iHtimaal nahiN
taZaad-e-fikr o nazar meiN bhee kam nahiN ulfat
wo kyaa nigaah jo shaidaayi-e-jamaal nahiN
wo aaftaab hei yaa maahtaab yaa tum hou
btaou kaun hei jisko kabhee zavaal nahiN
ishaare karte hou baalaay-e-baam aa aa kar
khud apni pardah-daree kaa tumheN khayaal nahiN
guzar bhee jaayiye is imtiHaan se :Nazir:
bajaa ke SaAb hei jeenaa magar muHaal nahiN
========================
Aapka MukhliS,
Nazir
Posted: Tue Jan 02, 2007 11:48 am
by najeeb
Masha Allah Mohtaram Saaf suthhri aur aapki murass'aa ghazal padhkarr khushi huvi. Allah aapko sada khush rakhe. Hyderabad aaya huN. Chand din aur qiyaam hai. Jeddah pahunch kar mulaaqaat karoonga. Dua e khair ka taalib.
Najeeb
Bahut bahut shukriyah
Posted: Wed Jan 03, 2007 10:24 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Najeeb SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat, nayaa saal aur E Mubaarak,
Aapkaa tabSirah paRhkar bahut khushi houee. Ghazal kee pazeerayi ke liye beHad shukrguzaar hooN.
Aapke Hyderabad jaane se pahle ummeed thee ke keh kisi nah kisi TaraH se aek baar mulaaqaat hougi lekin aapka achaanak jaanaa houaa. Aap waapus houne se pahle agar mandarja-e-zeil shoAaraa ke alaga alag majmooAa-e-kalaam aur aek aiisi kitaab jis meiN mukhtalif shoAraa kaa kalaam hou tou laane kee koushish keejiy Salem se mashwarah karne ke baAd jo ab tak MeHboob Nagar pahounch gaye hounge aur aap se telephone per baat cheet bhee houee hougi.
Shaayer kaa naam:....................majmooAa-e-kalaam
SaaHibzadah Maikash Hyderabadi.........Deewaan
Akbar Hyderabadi................................Deewan
Auj YaAqoobi.......................................Deewan (girift e nazar)
Mukhtalif shoAaraa kaa kalaam.............aek kitaab meiN.
============================================
Inke alaawah agar yeh kitaabeN bhee mil sakeN tou inko bhee shaamil kerleejiye:
Najm amrouhavi kaa deewaan
FaSaaHat Jang Jaleel Manikpoori..........Deewaan
Taalib Razzaqi...................................deewaan
Sayeed Shaheedi...............................deewaan
Amjad Hyderabaad.............................deewaan
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Fri Jan 05, 2007 8:14 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Posted: Sat Jan 06, 2007 6:21 am
by muhammad_19k
Sir,
Iss meiN koi shak naheeN ke na hi mujhe shaaAeri ki kuch aisi samajh hai aor na hi mieN alfaaz ka koi aisaa achha khilaaRi ke aap ki ghazal par raa-aye zani kar sakhooN. laikin aik baat bohat eemandari se kahooN ga. Mosiqi oar shAeri, kam az kam maire leeaye, ais cheezaiN haiN jo damagh ki samajh meiN aa-aiN ya na aa-aiN, agar achhi hoaN to dil par zaroor asar karti haiN. aor dil par asar karti hoee lay, ya shaAeri meiN jub koi baat samajh bhi aa-ja-aye to mazaa do baalaa ho jaataa hai. aap ki iss khoobsoorat ghazal ka aik shaAer bhi dil o damagh par asar kar gayaa hai. ubb shaid haftoaN tak meiN iss ke lutf se baahir na aa sakhooN ga,
Yeh kehke us ne miri zindagi badal Daali
Keh rasm o raah-e-muHabbat meiN iAtidaal nahiN
Mairi taraf se aisi shaandar ghazal par mubaarikbaad kabool keejiaye.
aap ke leeaye dua gao,
Muhammad Khawar.
Bahut bahut shukriyah
Posted: Sun Jan 07, 2007 5:58 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Muzaffar Ahmad Muzaffar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Meri ghazal per aapkaa tafSeeli tabSirah hameshah kee TarH bahut hee dilchusp aur HauSalah afzaa hei. Aapki is inaayat ke liye beHad shukrguzaar hooN.
Ummeed ke aayindah bhee isi TaraH mujh per karam farmaate rahenge taake meri mashq-e-sukhan garmjoushi se jaari reh sake.
Aapka MukhliS,
Nazir.