TaraHi miSraA GUZ.25 Ke liye - -- - Abdullah Nazir.
Posted: Sun Dec 31, 2006 4:43 am
Muhtaramaat o Muhtarameen
Arbaab-e-meHfil o Ahbaab-e-Sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
GUZARISH #25. Taareekh January 1, 2007
TaraHi misraA Kulliyaat-e-aatish se:
"mere allah ne mujh per kiye iHsaaN kyaa kyaa"
Radeef = (kyaa kyaa.)
Qaafiye: (armaaN, ToofaaN, giryaaN, insaaN, paimaaN, girebaaN, saamaaN, unwaaN, pareshaaN, gardish-e-dauraaN) waghairah.
Yeh beHr-e-ramal mucamman makhboon meHzoof/maqTooA hei. Iska vazn hei:
"faa"ilaa'lun…fa'ilaa'lun…fa'ilaa'lun…fe'lun"
=/0//0/0…..///0/0…..///0/0…../0/0.
=2122…….1122…….1122…….22.
Ijaazut: Pahle rukn ko makhboon yaAni "faa'ilaa'tun" kee bajaaye "fa'ilaa'tun" isteAmaal karsakte heiN.
Ghair qaafiya-band miSraAoN ke aakhiri rukn ko "fe'lun" kee bajaaye "fa'ilun" yaAni Harf "ain" ko saakin kee bajaaye mutaHarrik isteAmaal karsakte heiN yaa fe'laat" yaa "fa'ilaat" isteAmaal karsakte heiN.
Ummeed ke aap sab TabA' aazmayi karenge aur khaaksaar ko mamnon farmaayenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.