Page 1 of 1

apni purani ghazal pesh karrahi hoo.n ...dunya dehlawi

Posted: Wed Jan 03, 2007 4:15 am
by dunya dehlawi

asaatiza e kiram aur sukhan dousto,

adaab o taslimaat,

Apki khidmat meiN apni aek purani ghazal pesh karrahi hoo.n. Ummeed ke apni qeemati araa se faizyaab houne ka mauqa denge.

Dunya.l

Ghazal

Kya karun vasf e jaur o sitam dousto
Dil shikastah hei aur aankh nam dousto

Ham bhi thay apni dunya mei.n ham dousto
Choomta tha zamana qadam dousto

Chashm e makhmoor e saaqi hei sab kuch hame.n
Kis ko hei khwahish e jaam e jam dousto

Itni ghaflat shi'aari bhi kis kaam ki
Dildehi chahiiye kam se kam dousto

Raahzan bhes mei.n rehnumao.n ke thay
Lutt gaye ham khuda ki qasam dousto

Shayer ban gayi juzv e bargashtagi
Yeh bhi hei.n doustao.n ke karam dousto

Vehhshat e dil ne ham ko bhasam kardiya
Apni hasti hui kal'adam dousto

Gaah mehhroom hei.n aur geh muttma'in
Raah e ulfat mei.n hei.n zer o bam dousto

Masslihhat ki havas mei.n hei.n sab mubtala
Kya arab aur kaisa ajam dousto

Fikr e :dunya: bahut hi paragandah hei
Cheen lo mujh se mera qalam dousto.
=======

khair andesh,
dunya

Posted: Wed Jan 03, 2007 1:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram/moHtarmah Duniya Dehlawi SaHib/SaHibah aadaab! :-)

aapkee marqoomah-e-bala Ghazal moHtaaj-e-ta'reef naheeN.
aesee kawisheeN shae'ir kee numae,indah ban kar manaSSah-e-shahood par pohonch jatee haiN.

Ghazal

Kya karun vasf e jaur o sitam dousto
Dil shikastah hei aur aankh nam dousto

Ham bhi thay apni dunya mei.n ham dousto
Choomta tha zamana qadam dousto

Chashm e makhmoor e saaqi hei sab kuch hame.n
Kis ko hei khwahish e jaam e jam dousto

Itni ghaflat shi'aari bhi kis kaam ki
Dildehi chahiiye kam se kam dousto

Raahzan bhes mei.n rehnumao.n ke thay
Lutt gaye ham khuda ki qasam dousto

Shayer ban gayi juzv e bargashtagi
Yeh bhi hei.n doustao.n ke karam dousto

Vehhshat e dil ne ham ko bhasam kardiya
Apni hasti hui kal'adam dousto

Gaah mehhroom hei.n aur geh muttma'in
Raah e ulfat mei.n hei.n zer o bam dousto

Masslihhat ki havas mei.n hei.n sab mubtala
Kya arab aur kaisa ajam dousto

Fikr e :dunya: bahut hi paragandah hei
Cheen lo mujh se mera qalam dousto.


meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

wassalam!
Muz^affar
[/align]

Posted: Wed Jan 17, 2007 6:18 pm
by jawaid badauni
MoHtarma Duniya SaaHibah,
Aadaab

Idhar se guzar raha tha keh achaanak aapki Ghazal per nazar paR gaii.
Bohat Haseen Ghazal hai. Har sher ko paRhne ki bajaye gungunaane ko
dil chaahta hai. Main agar is Haseen Ghazal se mahroom rahta tou apni
mahroomee ka izalah shayad hi kar pata.

Daad qubool kijiye

MuKhliS
Jawaid Badauni