Page 1 of 1

basheer badar ki ghazal

Posted: Thu Feb 03, 2005 11:57 am
by Mahtab Qadr
Basheer badr ki aik ghazal pesh e khidmat hai

Posted: Thu Feb 03, 2005 4:47 pm
by Shummu
wow one of my fav. ghazal...shukriya share karne ka mahtaab sahab :)

Posted: Fri Feb 04, 2005 3:30 am
by Hashmat Usmani
salaam sarfaraz saaHib,

Shummu kii taraH merii bhii yeh pasandeedah Ghazal hai, vaise ek raaz kii baat bataauuN, mujhe Basheer Badr saaHib kii shaa'irii pasand nahiiN huaa kartii thii. yeh tab kii baat hai jab vo mere ustaad hua karte the aur hamaare paRosii bhii. us waqt unkii qadr o manzilat ka ma'soomiyat ke sabab aHsaas na thaa, yaa yuuN kahiye ki:

ghar kii murGhii daal baraabar.

chand ek saal qabl merii unse mulaaqaat ho gaii Delhii meN Saudia Airlines ke daftar meN. ba'd salaam o du'a poochha, "miyaaN ab merii shai'rii pasand aatii hai ya nahiiN?" maiN sharma kar jheNp sa gaya to mere bhai bol paRe ... pasand kiuN nahiN karta yeh, iske maiN ne kaan bahot khaiNche haiN". badr saaHib ne qahqaha laga kar farmaayaa "chalo bhai ek to aaKhiri waqt meN ek to musalmaan huaa" maiN ne dabe alfaaz meN ne 'arz kiyaa, "moHtaram, Islam meN "laa ikraaha fi-ddiin" ka fatwa bhi apnii jagah hai". is par ham sabhii haNs paRe aur apnii apnii raah pakRii. unheN aur mujhe raat meN flight pakaRnii thii na!

Hashmat

Posted: Wed Feb 09, 2005 8:49 am
by rahmed25682
Bohat khoob Mahtab sahab ... Waqai ye Basheer Badr kee umda ghazloN main say aik hay ...

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed