Page 1 of 1
Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Posted: Mon Jan 08, 2007 8:01 am
by Raji
Azeezan-e-bazm:
Aadaab-o-tasleemaat,
is bazm meN aaj apnii ek taazah Ghazal pesh karnaa chahtee hooN.
apnee aaraa aur rehnumayii se zaroor navaziye gaa bohat mamnoon hooNgii.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Ver: 2
Ghazal:
~~~~
nafeer-e-SubHa bajaao keh shab tamaam hoovii
Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
taveel shab kee masaafat ke saakinooN se kaho
safar se lauT bhi aaho keh shab tamaam hoovii
najaane kab se GhamooN kaa jamood thaa qaa,im
Khushii se aaNkh milaao keh shab tamaam hoovii
jo kho gaye heN rah-e-zindagii ke mele meN
unheN bhi DhooNDh ke laaho keh shab tamaam hoovii
HiSaar e zeeYst se bahar nah ab raho hamdam
mire madaar meN aaho keh shab tamaam hoovii
kaheN bhanwar nah uchak le safeenah-e-ulfat
kinaar-e-dil se lagaao keh shab tamaam hoovii
jo choR kar they gaye zindagi kee shaamooN meN
unheN bhi jaa ke batao keh shab tamaam hoovii
hawa-e-waqt-e-saHar kee yeh taazgii tobaa!
Dyaar-e-dil meN basaao keh shab tamama hoovii
azaan-e subHa kee :Raaji: yahii manadaii hai
leHaaf-e-Shab ko hatao keh shab tamaam hoovii
Zahida Raees :Raji:
Umdah ghazal
Posted: Mon Jan 08, 2007 10:00 am
by Mahtab Qadr
Raji sahiba Assalam alaikum
Bahut umdah zameen mai aik khoobsurat ustaazana tarz ki ghazal par dili mubarakbaad.
nafeer-e-SubHa bajaao keh shab tamaam hoovii
Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
wah wah bahut khoob
taveel shab kee masaafat ke saakinooN se kaho
safar se lauT bhi aaho keh shab tamaam hoovii
bahut achcha sher hai
najaane kab se GhamooN kaa jamood thaa qaa,im
Khushii ke deep jalao keh shab tamaam hoovii
bahut khoob ,
"ghamoN par jamood taari thaa "ziada achcha lagega aur jab shab tmaam huvi to kia saher mai bhi deep jalaye ja sakte haiN.
jo kho gaye heN rah-e-zindagii ke mele meN
unheN bhi DhooNDh ke laaho keh shab tamaam hoovii
bahut khoob
HiSaar-e zeYst se bahar tiraa paRao hai
mire madaar meN aaho keh shab tamaam hoovii
pahle misre mai tiraa kahkar misra e saani mai aao kahna kuch jach nahi raha hai. sher achchaa hai.
kaheN bhanwar nah uchak le safeenah-e-ulfat
kinaar-e-dil se lagaao keh shab tamaam hoovii
khooob
jo choR kar they gaye zindagi kee shaamooN meN
unheN bhi jaa ke batao keh shab tamaam hoovii
theek hai
hawa-e-waqt-e-saHar kee yeh taazgii tobaa!
Dyaar-e-dil meN basaao keh shab tamama hoovii
khoob laikin tobaa ki bajaye kuch aur likheN to ziada haseen lagega
azaan-e subHa kee :Raaji: yahii manadaii hai
leHaaf-e-Shab ko hatao keh shab tamaam hoovii
wah waah bahut khoob bahut umdah balke bemisaal sher kahdia aapne.
shukria
Mahtab
Re: Umdah ghazal
Posted: Tue Jan 09, 2007 11:59 am
by Raji
Mahtab Qadr wrote:Raji sahiba Assalam alaikum
Bahut umdah zameen mai aik khoobsurat ustaazana tarz ki ghazal par dili
mubarakbaad.
nafeer-e-SubHa bajaao keh shab tamaam hoovii
Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
wah wah bahut khoob
moHtaram janab-e-Mahtab Qadr SaaHeb:
Walaikum Assalam,
Ghazal kee pasandeegi aur mubarakbaad ke liye bohat mamnoon hooN.
taveel shab kee masaafat ke saakinooN se kaho
safar se lauT bhi aaho keh shab tamaam hoovii
bahut achcha sher hai
bohat shukriyah
najaane kab se GhamooN kaa jamood thaa qaa,im
Khushii ke deep jalao keh shab tamaam hoovii
bahut khoob ,
"ghamoN par jamood taari thaa "ziada achcha lagega aur jab shab tmaam huvi to kia saher mai bhi deep jalaye ja sakte haiN.
mere Khayal se GhamooN ka jamood aur GhamooN par jamood meN manviyat ke e'itbaar se bohat farq hai. aur shayed keh mere Khayal ko awwaluz zikr tarkeeb ziyadah behtar taur par adaa karne meN kaamyaab hai.
haaN aap kee is baat meN sau feeSad wazan hai keh roshnii meN deep jalane kee gunjahish naheeN hai
maiN ise is naye miSre se tabdeel karna chah rahii hooN aap kee is baare meN kyaa raaYe hai?
Khushii se aaNkh milao keh shab tamaam hoovii
jo kho gaye heN rah-e-zindagii ke mele meN
unheN bhi DhooNDh ke laaho keh shab tamaam hoovii
bahut khoob
bohat shukriya
HiSaar-e zeYst se bahar tiraa paRao hai
mire madaar meN aaho keh shab tamaam hoovii
pahle misre mai tiraa kahkar misra e saani mai aao kahna kuch jach nahi raha hai. sher achchaa hai.
jee yeh aap durust keh rahe heN Ghazal kee Hatamii shakl pesh karne se qabl yeh TukRaa mujhe bhi khaTak raha thaa. is nayee tarkeeb ke baare meN aap ka kyaa Khyaal hai?
HiSaar e zeeYst se bahar nah ab raho hamdam
mire madaar meN aaho keh shab tamaam hoovii
kaheN bhanwar nah uchak le safeenah-e-ulfat
kinaar-e-dil se lagaao keh shab tamaam hoovii
khooob
shukriyah
jo choR kar they gaye zindagi kee shaamooN meN
unheN bhi jaa ke batao keh shab tamaam hoovii
theek hai
jee behtar
hawa-e-waqt-e-saHar kee yeh taazgii tobaa!
Dyaar-e-dil meN basaao keh shab tamama hoovii
khoob laikin tobaa ki bajaye kuch aur likheN to ziada haseen lagega
yahaN par maiN asaatizah ke mashvarooN ka intizaar karnaa chahooNgii keh meree samajhdaanii meN "tobaa!" se ziyadah kuch aur naheeN samaa raha
azaan-e subHa kee :Raaji: yahii manadaii hai
leHaaf-e-Shab ko hatao keh shab tamaam hoovii
wah waah bahut khoob bahut umdah balke bemisaal sher kahdia aapne.
mamnoon-o taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:
Re: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Posted: Sat Jan 13, 2007 10:46 pm
by tahira Masood
Raji wrote:Azeezan-e-bazm:
Aadaab-o-tasleemaat,
is bazm meN aaj apnii ek taazah Ghazal pesh karnaa chahtee hooN.
apnee aaraa aur rehnumayii se zaroor navaziye gaa bohat mamnoon hooNgii.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Ghazal:
~~~~~~
nafeer-e-SubHa bajaao keh shab tamaam hoovii
Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
taveel shab kee masaafat ke saakinooN se kaho
safar se lauT bhi aaho keh shab tamaam hoovii
najaane kab se GhamooN kaa jamood thaa qaa,im
Khushii ke deep jalao keh shab tamaam hoovii
jo kho gaye heN rah-e-zindagii ke mele meN
unheN bhi DhooNDh ke laaho keh shab tamaam hoovii
HiSaar-e zeYst se bahar tiraa paRao hai
mire madaar meN aaho keh shab tamaam hoovii
kaheN bhanwar nah uchak le safeenah-e-ulfat
kinaar-e-dil se lagaao keh shab tamaam hoovii
jo choR kar they gaye zindagi kee shaamooN meN
unheN bhi jaa ke batao keh shab tamaam hoovii
hawa-e-waqt-e-saHar kee yeh taazgii tobaa!
Dyaar-e-dil meN basaao keh shab tamama hoovii
azaan-e subHa kee :Raaji: yahii manadaii hai
leHaaf-e-Shab ko hatao keh shab tamaam hoovii
(Zahida Raees :Raji: )
Raji sis
salaam
kaafe Arash k b'ad aap ki koee ghazal nazroN se guzeri ha.
esk maZaamen aur technicalities meiN kaafee gunjaaish nazar aa rehi hai
dekheiN keh Ustad-e-moHteram kayaa fermaate haiN
tau abhee sirf daad hi qabuul fermaaiN :rose
wassalam
Re: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Posted: Mon Jan 15, 2007 9:26 am
by Raji
tahira Masood wrote:Raji wrote:Azeezan-e-bazm:

Azeezah Tahira Aapi:
Aadaab-o-tasleemaat,
Ghazal par naZ^ar Daalne ke liye bohat mamnoon hooN.
aap agar Ghazal kee tekneekii KharabiyoN kee babat tafseelan likh~ deteeN tu mujhe bohat Khushii hotee.
Asatizah aur kauna-mashq tu jab aaheN tab aaheN mujhe muKhliS doostooN kee aaraa aur rehnumayii ka bhi intizaar rehtaa hai. umeed hai keh aap meree guzaarish ko rad naheeN kareNgii.
mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:
Re: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Posted: Thu Jan 18, 2007 4:53 am
by Raji
sara_j wrote:
Dear Rajii,
bohat din baad apki tehrer dekhi aur khushi hui, aapki ye ghazal
aapki pehli tehreeron se bohat mukhtalif aur ustadana rang liye
hue hai. radeef tou mujhe bohat attract ker rahi hai sabhi
ashaar bohat ache hain aur alfaaz ka chunao bhi umda.
daad qubool keejiye.
sara
Azeezah Sara Jee:
Aadaab-o-tasleemaat,
Aap ka Khat^ dekh~ kar dilee Khushii hoovii. go keh meree taKhleeqaat waqtan fa-waqtan muKhtalif meHfilooN meN post hotee rahee heN lekin shayed meree taraH sab hee maSroof heN isliYe keh hameN ek doosre kee teHreer deyr se milne ko miltee hai.
Aap ne tu sis mujhe sharmindah kar diyaa hai. kahaN maiN aur kahaN ustaadana rang...
abhi ishq ke imtiHaaN aur bhi heN
aap ko yeh radeef pasand aaYii yeh jaan kar Khushii hoovii. bas baiThe bhaiThe zehn peh yeh phrase waarid hoovaa aur likhne bhaiTh gayii ho saktaa hai keh kabhi kisee ne is radeef par mujh se behtar Ghazal kahii ho aur mujhe iskaa ilm nah ho.
Khair aap kee daad aur HoSlah-afzaii sar aankhooN par.
Sada Khush rahiye
mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:
Posted: Thu Jan 18, 2007 6:30 am
by ROSE
BOHAT khub janaab!!!
dahrooooooooooooooooo daad qabool kareN
sada khush rahiye janaab