"guzaarish #25 "hazrate insaan"aik nazm peshe
Posted: Wed Jan 10, 2007 7:33 am
mohtaram abdullah nazir saahib
aapkay diye huay muqaddas micray per humnay pehlibaar nazm kehnay kee kaushish kee hai.
gar qubool uftad zahay......
"hazratay insaan"
arz kiya hai.......
ibtedaa' teri najis intehaa teri hai najis
khaaye tu paak ghiza tujh say nikalta hai najis
chalta hai apnay shikam mei.n tu najaasat kau liye.
ek najis qatray say paida kiya khaaliq nay tujhay
mujhko hairat hai keh kis baat ka tujhko hai ghuroor
tujhko ehsaas nahi.n hai keh tu kitna majboor
tayz raftaar say jau daudta hai tujh mei.n lahu
uski aawaaz bataa kya kabhie sun sakta hai tu
tiree rag rag mei.n rawaa.n hai.n yeh lahu kay qatray
inhee.n qatro.n say hai.n harakat mei.n badan kay hissay
daudtay phirtay hi rehtay hai yeh ruktay hi nahi.n
bandagi kartay chalay jaatay hai.n thaktay hi nahi.n
aik lamhay keliye gar yeh rawaani ruk jaaye
tira bachpan hi nahi.n teri jawaani tham jaaye
garmiye shams say chamdee tiree jal jaati hai
chubhay jau kaanta tiree cheekh nikal jaati hai
aag dauzakh ki tu bardaasht karayga kaisay
jiskee haibat say jahannum ka badan bhi larzay
jisnay pehchaana khudee ko woh musalmaan bana
chod kar kufr ko woh saahibay eemaan bana
chal kay ahmed(sawaw)ki shariat peh woh insaan bana
koyee mighdaad(r.a)bana aur koyee salmaan(r.a.)bana
zahnay muslim say musalsal yahi aatee hai sada
"mire alla'h nay mujh per kiye ehsaa.n kya kya"
kar zara fikr tiray kal ki aye ghaafil insaa.n
aakhirat keliye karlay tu mohayya saamaa.n
'aql dekar tujhay alla'h nay bakhsha hai sharaf
saaray makhlooq mei.n tujhko diya naamay ashraf
tujh peh qur'aan ka haamid nahi.n hauta kyu.n acar
hai agar sharm sharaafat say safar kar yeh basar
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah