Page 1 of 1

Iqbal aur Ishq-e-rasool(saw

Posted: Wed Jan 10, 2007 1:03 pm
by zmufti
Image
Image

Posted: Wed Mar 07, 2007 11:35 am
by sbashwar
:salaam: Zarqa Sahiba, share karne ka shukria.

Posted: Sat Mar 10, 2007 8:29 am
by zmufti
shukria Salem saheb

Posted: Sat Mar 10, 2007 2:50 pm
by Sarwar A. Raz
a'zeezah Zarqa: salaam-e-masnoon!

HuZ^oor (saw) par yeh maZ^moon bohat achhaa lagaa. yooN to sab hee aap (saw) kee ta'reef meN likhte rehte haiN lekin kam log aise haiN jo Haq adaa kar paate haiN. a'llaamah Iqbal ke kalaam meN jaa ba-jaa un kee Rasool Allah (saw) se be-panaah muHabaat kaa patah chaltaa hai. aur yeh baRee baat hai.

Allah hameN bhee aisee taufeeq a't^aa farmaaYe!

aap ne yeh teHreer i'naayat kee. Khush rahiYe!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Sun Mar 11, 2007 7:29 am
by Ibn-e-siddique
zarqa behen

is khoobsurat mazmoon ko pesh karne ke liye bahot bahot shukria.

bila shak-o-shubah Iqbal ka dil Ishq-e-Muhammad SAW se sarshaar tha.

Iqbal ki aik nazm "Bilaal" RA ke ikhtitaam per kis taraH Iqbal ne Bilal-e-Habshi ke Ishq ka izhaar kia hai magar us Ishq meiN Iqbal ke apne Ishq ki taRap nazar aa rahi hai.

us vaqt ko rashk ki nazar se dekha hai jis vaqt aur jis daur meiN Huzoor SAW ka deedaar-e-aam hua karta tha .... subHaan.Allah.

adaaye deed saraapa niyaaz thi teri
kisi ko dekhte rehna namaaz thi teri

azaaN azal se tire Ishq ka taraana banee
namaaz US ke nazaare ka ik bahaana banee

khushaa voh vaqt ke Yasrab maqaam tha us ka
khushaa voh daur ke deedaar-e-aam tha us ka


sadaa khush rahiye

Amjad