Page 1 of 1
Guz.25 per meri ghazal - -- - Abdullah Nazir.
Posted: Thu Jan 11, 2007 1:11 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan,
- -- -
PurkhulooS, Tasleemaat, :rose
Apni beintihaa maSroofiyat ke bawajood, TarHi ghazal kehne meiN kaamyaab housakaa jo pesh-e-khidmat hei. Ummeed ke apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN,
jee jalaati hei tiri junbish-e-mizhgaaN kyaa kyaa
mere seene meiN utar jaate heiN paikaaN kyaa kyaa
ham peh chaltaa nahiN jab naaz o adaa kaa jaadoo
joush khaate heiN tire gaisu-e-pechaaN kyaa kyaa
daar-e-faani meiN nahiN hei havas-e-jaah o Hasham
warnah aaraam se jeene ke heiN imkaaN kya kyaa
kunj-e-tanhaayi meiN routaa rahaa chupke chupke
chaak dar chaak houe jaib o girebaaN kyaa kyaa
dasht-e-ghurbat meiN kise yaad hei Ahd-e-raftah
apne dil meiN bhee khuda jaane thay armaaN kyaa kyaa
aayeenah-khaanah-e-hasti hei ghubaar aaloodah
apni Soorat bhee hameN karti hei HairaaN kyaa kyaa
beniyaazi se guzar jaate heiN ham khaak basar
maah o anjum heiN lab-e-baam pashemaaN kya kyaa
jism hei, jaan hei, sab kuch hei, kami koyee nahiN
"mere Allah ne mujh per kiye iHsaaN kyaa kyaa"
raah-e-ulfat meiN bahar-gaam taAab hei :Nazir:
apnaa sheerazah-e-hasti hei pareshaaN kyaa kyaa.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Guz.25 per meri ghazal - -- - Abdullah Nazir.
Posted: Sat Jan 13, 2007 10:39 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:

mohtaram abdullah nazir saahib
aapki ustadaanah takhleekh nazar nawaaz huee.
bahut 'umdah hai yeh ghazal.
mohtaram muzaffar bhai kee daad kay baad hum yeh sauch rahay hai.n keh hum kin lafzo.n aapko daad de.n.
itna hi kahe.nge keh allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.
is naacheez ki dilee daad qubool farmaaye.n. :rose
mukhlis
haamidbaaqri
Bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Jan 19, 2007 4:21 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Muzaffar Ahmad Muzaffar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Zarrah navaazi hei ke aap ne hameshah kee TaraH khaaksaar kee dil khoulkar HauSalah-afzaayi farmaayi. Aapkaa jisqadar bhee shukriyah adaa kiyaa jaaye kam hei.
MushaaAire he zumreh meiN aap ke ihtimaam se mushtarikeen kee dilchuspi baRhgayee hei. Kalaam-e-sukhanwar meiN bhee aap ne kuch kam HiSSah nahiN liyaa hei phir bhee Taweel tabSiraoN ke saath, ummeed hei keh mukhtaSar tabSre bhee farmaayaa kareN taakeh shoAaraa aur shaayeraat kee himmat afzaayi hou. Shukriyah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Sun Jan 21, 2007 9:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Abdullah Nazir SaHib aadaab!
MushaaAire he zumreh meiN aap ke ihtimaam se mushtarikeen kee dilchuspi baRhgayee hei. Kalaam-e-sukhanwar meiN bhee aap ne kuch kam HiSSah nahiN liyaa hei phir bhee Taweel tabSiraoN ke saath, ummeed hei keh mukhtaSar tabSre bhee farmaayaa kareN taakeh shoAaraa aur shaayeraat kee himmat afzaayi hou. Shukriyah.
jee behtar! jaesa aap Hukm deeN.
Wassalam
Muz^affar
Posted: Wed Jan 24, 2007 6:19 am
by zmufti
daar-e-faani meiN nahiN hei havas-e-jaah o Hasham
warnah aaraam se jeene ke heiN imkaaN kya kyaa
kunj-e-tanhaayi meiN routaa rahaa chupke chupke
chaak dar chaak houe jaib o girebaaN kyaa kyaa
dasht-e-ghurbat meiN kise yaad hei Ahd-e-raftah
apne dil meiN bhee khuda jaane thay armaaN kyaa kyaa
aayeenah-khaanah-e-hasti hei ghubaar aaloodah
apni Soorat bhee hameN karti hei HairaaN kyaa kyaa
beniyaazi se guzar jaate heiN ham khaak basar
maah o anjum heiN lab-e-baam pashemaaN kya kyaa
Mohtaram Nazir saheb
Tasleemaat
aap ki ghazal ka har ik sher anmol hai
darj karda ashaar ke liye khasoosi daad qabool kijye
wasalaam
zmufti