Page 1 of 1
Meri ek aur puraane Ghazal.....................
Posted: Fri Jan 12, 2007 11:29 am
by jawaid badauni
Dosto, Aadaab
Aaj phir ek puraanee Ghazal yaad aa gaii hai. Radeef dushwaar hai isee liye ashAAr bhee kuch rawish se haT kar huuwe haiN. Ummid hai pasaNd farmayeNge. Aapki mo'tabar aara ka muntzir rahooNga.
Apka muKhliS
Jawaid Badauni
-----------------------------------------------------------------
Karke jafayeN saree jafakaar so gaye
mazloom jaagta hai sitamgaar so gaye
bedaar tou unheN bhee kiya tha zameer ne
karWat badal badal ke Khataakaar so gaye
jab aql hosh meN thee qalam haath meN nah tha
ab haath meN qalam hai tou afkaar so gaye
woh waqt bhee hai yaad keh mujh per paRa tha waqt
darwazah bund kar ke mire yaar so gaye
jo subH ki Talab meN nah soye tamaam raat
waqt.e sahar woh saare talabgaar so gaye
din ki than ne shub meN dikhaaya ajab kamal
zardaar jaage mufil.o.laachaar so gaye
:Jawaid: koii ley gaya raunaq sameT kar
lagta hai jaise koocha.o.baazaar so gaye
----------------------------------------------------
Posted: Sun Jan 14, 2007 2:38 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mohtaram Jawaid Bh~aee aadaab!
aap ne jo apnee puranee GhazleeYaat ko pesh karne ka aek dilkash silsilah shura' kar rakh~a hai. baRa pur lut^f hai. aor yeh Ghazal usee silsilah-e-zanjeer kee aek kaRee hai.
is Ghazal meN aap apne u'moomee t^arz-e-baYaan aor a'aam rawish-e-sukhan se haT gae haiN. lekin ba eeN hamah kalam meN dilkashee aor ada bandee kee mehek badastoor meHsoos kee ja saktee hai. Ghazal meN gahe gahe taraqqee pasand fikr bh~ee acarpazeer ho gaee hai. jo us waqt ke garam khoon kee numae,indah bankar jamah-e-Ghazal ko rangeen bana rahee hai.
radeef "sao gaye" ko nibh~ana aasaan naheeN th~a. lekin aap ne maheranah fikr aor ustadanah chabakdastee ko baru-e-kaar late huwe shahkaar Ghazal keh dee hai.
Karke jafayeN saree jafakaar so gaye
mazloom jaagta hai sitamgaar so gaye
bohot khoob! waah waah!! =D>
bedaar tou unheN bhee kiya tha zameer ne
karWat badal badal ke Khataakaar so gaye
kiYa kehne!! waah!!
jab aql hosh meN thee qalam haath meN nah tha
ab haath meN qalam hai tou afkaar so gaye
kiYa kehne waah!! waah!! =D>
woh waqt bhee hai yaad keh mujh per paRa tha waqt
darwazah bund kar ke mire yaar so gaye
bohot khoob!! =D>
jo subH ki Talab meN nah soye tamaam raat
waqt.e sahar woh saare talabgaar so gaye
waah waah!! lajawab hai. =D>
din ki than ne shub meN dikhaaya ajab kamal
zardaar jaage mufil.o.laachaar so gaye
waah!
:Jawaid: koii ley gaya raunaq sameT kar
lagta hai jaise koocha.o.baazaar so gaye
bohot khoob waah waah lajawaab hai. waah!! =D>
is HaseeN tareen aor dilkash Ghazal par meree dad aor mubarak baad qubool kijiYe!
Wassalam
Muz^affar
Posted: Mon Jan 15, 2007 6:28 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:mohtaram Jawaid Bh~aee aadaab!
aap ne jo apnee puranee GhazleeYaat ko pesh karne ka aek dilkash silsilah shura' kar rakh~a hai. baRa pur lut^f hai. aor yeh Ghazal usee silsilah-e-zanjeer kee aek kaRee hai.
is Ghazal meN aap apne u'moomee t^arz-e-baYaan aor a'aam rawish-e-sukhan se haT gae haiN. lekin ba eeN hamah kalam meN dilkashee aor ada bandee kee mehek badastoor meHsoos kee ja saktee hai. Ghazal meN gahe gahe taraqqee pasand fikr bh~ee acarpazeer ho gaee hai. jo us waqt ke garam khoon kee numae,indah bankar jamah-e-Ghazal ko rangeen bana rahee hai.
radeef "sao geYa" ko nibh~ana aasaan naheeN th~a. lekin aap ne maheranah fikr aor ustadanah chabakdastee ko baru-e-kaar late huwe shahkaar Ghazal keh dee hai.
Karke jafayeN saree jafakaar so gaye
mazloom jaagta hai sitamgaar so gaye
bohot khoob! waah waah!! =D>
bedaar tou unheN bhee kiya tha zameer ne
karWat badal badal ke Khataakaar so gaye
kiYa kehne!! waah!!
jab aql hosh meN thee qalam haath meN nah tha
ab haath meN qalam hai tou afkaar so gaye
kiYa kehne waah!! waah!! =D>
woh waqt bhee hai yaad keh mujh per paRa tha waqt
darwazah bund kar ke mire yaar so gaye
bohot khoob!! =D>
jo subH ki Talab meN nah soye tamaam raat
waqt.e sahar woh saare talabgaar so gaye
waah waah!! lajawab hai. =D>
din ki than ne shub meN dikhaaya ajab kamal
zardaar jaage mufil.o.laachaar so gaye
waah!
:Jawaid: koii ley gaya raunaq sameT kar
lagta hai jaise koocha.o.baazaar so gaye
bohot khoob waah waah lajawaab hai. waah!! =D>
is HaseeN tareen aor dilkash Ghazal par meree dad aor mubarak baad qubool kijiYe!
Wassalam
Muz^affar
Azeezi Muzaffar SaaHab
Aadaab.o.tasleeemaat
KahaN tak shukriya adaa karooN aur woh bhee kin alfaaz meN? Aap nihayat bharpoor daad se nawaazte hain aur woh bhee tafSeel ke saath. Bohat himmat afzaaii hoti hai.
Iss Ghazal per aap ke tabsarey ke liye aap ka behud mamnoon hooN.
Khoosh raheN!
Jawaid