Page 1 of 1

aagahi? dard? dawaa dhoondta hai?

Posted: Fri Jan 12, 2007 5:52 pm
by riaz ahmed saraa
aadaab ehle bazm
aik ghazal paish e khidmat hai ummeed hai apni aaraa se navaazain ge


aagahi? dard? dawaa dhoondta hai?
tu kitaaboon mein ye kayaa dhoondta hai?

apni hi zaat ko gum kar baithe
jo na'ae arz o samaa dhoondta hai

dhoondta phirta hai koi hamraaz?
kayaa koi hijr nayaa dhoondta hai?

khawaab ki pehle hi maqrooz hai aankh
phir koi khawaab saraa dhoondta hai?

inti taareeki mein sannaate mein
roushni aur sadaa dhoondta hai?

habs itna hai mire shahr mein aaj
har koi taaza havaa dhoondta hai

kitni khush-haali hai is baat se daikh
bachcha koore mein ghiza dhoondta hai

koun hota hai kisi ka ae dost!
tu koi dost Saraa dhoondta hai?


Riaz

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sat Jan 20, 2007 6:18 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Riaz Ahmed Saraa SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki khoobSoorat ghazal nazar se guzri jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

aagahi? dard? dawaa dhoondta hai?
tu kitaaboon mein ye kayaa dhoondta hai?

apni hi zaat ko gum kar baithe
jo na'ae arz o samaa dhoondta hai

dhoondta phirta hai koi hamraaz?
kayaa koi hijr nayaa dhoondta hai?

khawaab ki pehle hi maqrooz hai aankh
phir koi khawaab saraa dhoondta hai?

inti taareeki mein sannaate mein
roushni aur sadaa dhoondta hai?

habs itna hai mire shahr mein aaj
har koi taaza havaa dhoondta hai

kitni khush-haali hai is baat se daikh
bachcha koore mein ghiza dhoondta hai

koun hota hai kisi ka ae dost!
tu koi dost Saraa dhoondta hai?


Saare sheAr aek naye andaaz ke heiN jin meiN aap ne naye daur kee Akkasi karne kee koushish kee hei. Bahut mushkil kaam ko khush-usloobi se nibhaane kaa Azm bahut hee qaabil-e-sataayish hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Jan 30, 2007 9:08 am
by riaz ahmed saraa
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Riaz Ahmed Saraa SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki khoobSoorat ghazal nazar se guzri jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

aagahi? dard? dawaa dhoondta hai?
tu kitaaboon mein ye kayaa dhoondta hai?

apni hi zaat ko gum kar baithe
jo na'ae arz o samaa dhoondta hai

dhoondta phirta hai koi hamraaz?
kayaa koi hijr nayaa dhoondta hai?

khawaab ki pehle hi maqrooz hai aankh
phir koi khawaab saraa dhoondta hai?

inti taareeki mein sannaate mein
roushni aur sadaa dhoondta hai?

habs itna hai mire shahr mein aaj
har koi taaza havaa dhoondta hai

kitni khush-haali hai is baat se daikh
bachcha koore mein ghiza dhoondta hai

koun hota hai kisi ka ae dost!
tu koi dost Saraa dhoondta hai?


Saare sheAr aek naye andaaz ke heiN jin meiN aap ne naye daur kee Akkasi karne kee koushish kee hei. Bahut mushkil kaam ko khush-usloobi se nibhaane kaa Azm bahut hee qaabil-e-sataayish hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Mohtam Abdullah Nazir sahib

aadaab

janaab sab se pehle to ma'zarat k main aapka shukria aada karne kaafi dair ba'd aaya.

aapne jis mohabbat se mairy kaavish ko paraha aur saraha main tehdil se aapka mamnoon hoon. aap jaise asaazia ki raa'ae se housala milta hai aur kuch aur bhi kehne ko dil karta hai:)

ummeed hai ainda bhi apni qeemati raa'ae se navaazte rahain ge

niaz mand

Riaz