tarahi ghazal kaatoon men sarwo ko jo baRhe qadd e yaar se

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

tarahi ghazal kaatoon men sarwo ko jo baRhe qadd e yaar se

Post by khozema husaini »

hazreen e mehfil assalam o alaikum
apni tarahi ghazal ke saath hazir e mehfil hoon aur aap ki garaaN qadr aaraa ka betaabi se muntazir rahoonga
husaini





ghazal
nok e sinaaN se aur nah Khanjar ki dhaar se
dil ne yeh zaKHm khaye hen abroo e yaar se

dil , kar duAa e KHair e sanam kirdagaar se
bezaar kiyoN he aaj shikaari shikaar se

parhaiz umr bhar tha jinheN KHaaksaar se
rote heN ab lipaT ke woh mere mazaar se

sar KHam rahe to pesh meN aaoonga piyaar se
kaToon meN sarwo ko jo baRhe qadd e yaar se

lamhaat e intezaar qiyaamat se kam nah the
nazil huaa Azaab tire intezaar se

ab sar kashi e qalb ka Aalam nah poochhiye
baher he aajkal woh mire iKHtiyaar se

GHalib ho lalahzaar pay ehsaas e kamtari
hojaye roobaroo jo dil e daaGHdaar se

yakjaa huye heN dil meN GHam e zindagi tamaam
mehfooz kaise rakkhoon ise inteshaar se

GHarq e fuGHaaN rahega yonhi ta dam e ajal
ab aur kiya ummeed karoon sogawaar se

heN aasteeN pay jinki husaini luhoo ke daaGH
woh log aa rahe hen nazar shamsaar se

husaini khandwi
Attachments
51 nok.e sinaan se aur nah KHanjar ki dhaar se.gif
51 nok.e sinaan se aur nah KHanjar ki dhaar se.gif (18.96 KiB) Viewed 146 times
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: tarahi ghazal kaatoon men sarwo ko jo baRhe qadd e yaar

Post by Hashmat Usmani »

salaam Khozaima saaHib,

ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

aapkii taraHii Ghazal nazar guzaar huii aur Hasb e ma'mool aapkaa kalaam bahot pasand aayaa aur meri jaanib se ek kaamiyaab Ghazal kahne par DheroN mubaarak-baad aur daad qubool farmaaiye.

Ghazal ke tamaam tar ash'aar umda haiN magar mujhe zel meN darj ash'aar kuchh ziyaada hii bhale lage.


nok e sinaaN se aur nah Khanjar ki dhaar se
dil ne yeh zaKHm khaye hen abroo e yaar se

parhaiz umr bhar tha jinheN KHaaksaar se
rote heN ab lipaT ke woh mere mazaar se

yakjaa huye heN dil meN GHam e zindagi tamaam
mehfooz kaise rakkhoon ise inteshaar se
Image
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Re: tarahi ghazal kaatoon men sarwo ko jo baRhe qadd e yaar

Post by khozema husaini »

Hashmat Usmani wrote:salaam Khozaima saaHib,

ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

aapkii taraHii Ghazal nazar guzaar huii aur Hasb e ma'mool aapkaa kalaam bahot pasand aayaa aur meri jaanib se ek kaamiyaab Ghazal kahne par DheroN mubaarak-baad aur daad qubool farmaaiye.

Ghazal ke tamaam tar ash'aar umda haiN magar mujhe zel meN darj ash'aar kuchh ziyaada hii bhale lage.


nok e sinaaN se aur nah Khanjar ki dhaar se
dil ne yeh zaKHm khaye hen abroo e yaar se

parhaiz umr bhar tha jinheN KHaaksaar se
rote heN ab lipaT ke woh mere mazaar se

yakjaa huye heN dil meN GHam e zindagi tamaam
mehfooz kaise rakkhoon ise inteshaar se

janaab hashmat saheb
aadaab
hosla afzaaii ka buhat buhat shukriya

husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply