Page 1 of 1

Guz. 25 ke miSreA per TaraHi ghazal. A. Sahil, Jeddah.

Posted: Mon Jan 15, 2007 4:46 am
by abdulqayyum sahil

MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 25 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN. Aapki qeemati aaraa kaa intizaar rahegaa.

GHAZAL: roman meiN:

Khak seenay me huway jatey hain armaN kiya kiya
Naz - e - taqdeer uthati hai miri jaN kiya kiya

Uske deedar ki khwahish meiN haiN koshaN kiya kiya
Khwab tarsi huwi aaNkhoN meiN haiN pinhaN kiya kiya

Dil maiN paiwast hai khushboo- e -baharaN kiya kiya
Naqsh aaNkhoN meiN hai tasweer-e-gulistaN kiya kiya

Zarra -- e – khak ko di surat-e-irfaN kiya kiya
"Meray Allah ne mujh per kiye ehsaN kiya kiya "

But parasti mira shewa hi nahi hai warnah
Aaj bazaar - e – muhabbat meiN hai arzaN kiya kiya

Manba – e – husn ki tausif - o - satayesh ke sabab
Raunaq o rang-e-maHafil heiN numaayaaN kyaa kyaa

Is se waqif they bahut roz isi nam se hum
Aaj dunya meiN muhabbat ke haiN unWaN kiya kiya

kiyoN tasawwur se na bahlaoN Tabiyat apni
zehn aur dil meiN heiN taskeen ke saamaaN kyaa kyaa

kashtiyaN bahr-e-hawadis meiN chala karti thiN
meri mutthi meiN raha kartay they tufaN kiya kiya

mashal-e-shab ki zaroorat hi nahi aiy Sahil
rah-e-manzil meiN sitaray haiN darakhshaN kiya kiya
=======


Aapka MukhliS,
saahil.


Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Jan 16, 2007 3:53 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Abdulqayyum SaaHil SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki ghazal mere computer se bhejne se pahle hee nazar se guzar chuki hei jiske saare ashAar bahut dilkash heiN.

Is khoobSoorat takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,

Nazir.


Posted: Thu Jan 18, 2007 3:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Abdul Qiyyum SaHil SaHib aadaab!

aap kee t^arHee Ghazal hadiyah-e-qaraeen huee hai. bohot u'mdah aor garam asha'aar kahe haiN. meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

kalam meN dard-o-ranj kee farawanee kai. asha'aar barjastah aaeY haiN.
kalam ko dekh~ kar andazah hota hai. keh aap khaaSe kohnah mashq shae,ir waqea' huwe haiN.

Ghazal apne paekar meN qadeem t^arz-e-fikr kee rawayat kee tarjumaan hai. aap ne kalam meN jumlah kalaseekal t^arz-e-bayaan ko malHooz^-e-khat^ir rakh~te huwe rawayatee usloob-e-Ghazal ka daman haath~ se nah jane diya. lekin aap e'hed-e-HaZ^ir ke taqaZ^ooN se na aashna naheeN. is Hawalah se aap kee Ghazal jadeedeeyat aor qadamat pasandee ka HaseeN aor dilkash imtezaaj hai.


Khak seenay me huway jatey hain armaN kiya kiya
Naz - e - taqdeer uthati hai miri jaN kiya kiya

waah! waah!

Uske deedar ki khwahish meiN haiN koshaN kiya kiya
Khwab tarsi huwi aaNkhoN meiN haiN pinhaN kiya kiya

waah!

Dil maiN paiwast hai khushboo- e -baharaN kiya kiya
Naqsh aaNkhoN meiN hai tasweer-e-gulistaN kiya kiya

bohot khoob! waah! waah!

Zarra -- e – khak ko di surat-e-irfaN kiya kiya
"Meray Allah ne mujh per kiye ehsaN kiya kiya "

kiYa kehne!

But parasti mira shewa hi nahi hai warnah
Aaj bazaar - e – muhabbat meiN hai arzaN kiya kiya

bohot khoob! waah! waah!

Manba – e – husn ki tausif - o - satayesh ke sabab
Raunaq o rang-e-maHafil heiN numaayaaN kyaa kyaa

waah! waah!

Is se waqif they bahut roz isi nam se hum
Aaj dunya meiN muhabbat ke haiN unWaN kiya kiya

bohot khoob!

kiyoN tasawwur se na bahlaoN Tabiyat apni
zehn aur dil meiN heiN taskeen ke saamaaN kyaa kyaa

waah!

kashtiyaN bahr-e-hawadis meiN chala karti thiN
meri mutthi meiN raha kartay they tufaN kiya kiya

kiya kehne! waah!

mashal-e-shab ki zaroorat hi nahi aiy Sahil
rah-e-manzil meiN sitaray haiN darakhshaN kiya kiya

bohot u'mdah,waah.

meree dilee mubarak baad qubool farmaeeN.

Wassalam
Muz^affr A Muz^affar
=======

Bahut bahut shukriyah

Posted: Sat Jan 20, 2007 12:10 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -

PurkhulooS Tasleemaat,

SaaHil SaaHib se kabhi kabhi mulaaqaat houti hei. BaaZ auqaat her maah aek martabah yaa do baar. Jab unko furSat milti hei aur kisi doust kee car meiN aasakeN tou mujh se milne aajaate heiN warnah Telephone per hee baat cheet houti hei.

Telephone per unhouN ne poochaa keh kyaa unki ghazal per kis ne tabSirah kiyaa hei tou maiN ne aapkaa aur Muzaffar SaaHib kaa naam liyaa. Is per unhouN ne mujh se kahaa ke unki Taraf se maiN aap dounoN kaa shukriyah adaa karooN.

Is liye unki ghazal kee pazeeraayi ke liye maiN unki jaanib se tah-e-dil se sukriyah adaa kartaa hooN uar ummeed hei ke aayindah bhee aap unkee HauSlah afzaayi farmaati rahengi.


Aapka MukhliS,
Nazir
SaHil SaaHib kee Taraf se,