Ek Ghazal
Posted: Tue Jan 16, 2007 9:35 am
Ehle –Bazm, Tasleemat
Baad muddat ke aap ki mehfil-e-sukhan mein apni chaar ghazlon ke saath phir haazir hoon. Umeed hai ke aap sab inhen pasand farmaenge.
Main Janab-e-Abdur Rahman ka mamnoon hoon ke unhi ki madad se aap tak pahunch raha hoon.
Aap ka, Shafeeq
Lutf-e-sukhan se aisa hai behron ka taal meil
Aab-e-rawan mein jaise ho maujon ka taal meil
Dekha hai hum ne khoob ameeron ka taal meil
Doulat ke waaste rakhen rishton ka taal meil
Hum par khula hai wasl ka uqda shab-e-zifaf
Roohani ban gaya tha jo jimson ka taal meil
Abr-e-siyah shikan hai tira rukh, aye mah jabeen!
Milta hai barq se tire gaalon ka taal meil
Girdaab-e-aashiqi se rihai na mil saki
Mumkin nahin bhanwar se kinaron ka taal meil
Baar-e haya se palken jhuki theen jo uth gayeen
Laaya hai kaisa rang nigahon ka taal meil
Jiski samajh mein ek hon mahmood aur ayaaz
Uski nazar mein khaam hai rutbon ka taal meil
So kar zameen pe odh le jo aasman ko
Kya jaanta nahin who panahon ka taal meil
Dekhoon jidhar bhi khwab si taari hai kaifiyat
Kya sehr hai Shafeeq khayalon ka taal meil