Ek Ghazal
Posted: Tue Jan 16, 2007 9:37 am
Jo mera qalb-o-jan ka bhi makeen hai
Wohi mera khuda ,mera ameen hai
Jahan par tu hai who khuld-e-bareen hai
Bashar ke waaste sab kuch waheen hai
Gunahgaar-e-falak jab khud zameen hai
To phir kyon aasman hi sharmgeen hai
Kahan hain wirsa-o-tehzeeb qadren
Hai kuchh to zan,ya zar,ya phir zameen hai
Tiri khamdaar woh zulf-e-muambar
Siyah hokar jo rashk-e-ambareen hai
Na baal-o-par na dast-o-pa salaamat
Tadapti reh gayee jaan-e-hazeen hai
Falak par chand taare sochte hain
Shafeeq apna zameen par to naheen hai
Wohi mera khuda ,mera ameen hai
Jahan par tu hai who khuld-e-bareen hai
Bashar ke waaste sab kuch waheen hai
Gunahgaar-e-falak jab khud zameen hai
To phir kyon aasman hi sharmgeen hai
Kahan hain wirsa-o-tehzeeb qadren
Hai kuchh to zan,ya zar,ya phir zameen hai
Tiri khamdaar woh zulf-e-muambar
Siyah hokar jo rashk-e-ambareen hai
Na baal-o-par na dast-o-pa salaamat
Tadapti reh gayee jaan-e-hazeen hai
Falak par chand taare sochte hain
Shafeeq apna zameen par to naheen hai