Page 1 of 1

Ek Ghazal

Posted: Tue Jan 16, 2007 9:38 am
by Shafeeq
bachcha dil ka suroor hota hai,bachcha aankhon ka noor hota hai
bequsoor ek wahi hai duniya mein,warna sab se qusoor hota hai

kashti-e-dil ke gharq hone par,jis ko haasil suroor hota hai
us shikasta jigar se kya poochhen,mit ke kitna ghuroor hota hai

saadgi dil hai,aql purkari;tajruba rang de haath donon ke
kijiye sirf dil ki naalish kyon?aql ka bhi futoor hota hai

noor hi noor jis ka chehra ho,fakhr ka us pe kaise pehra ho
hasti apni mita ke duniya mein surkhuroo woh zaroor hota hai

dard is mein na dard us mein hai;dil bhi achcha,jigar bhi achcha hai
daam-e-ulfat mein phansne wale ko dard beshak huzoor hota hai

dard-o-gham is jahan mein kitne hain paikar-e-sher mein jo dhal na sake
ye unhi shaairon ka hissa hai jinko haasil shaoor hota hai

ulta hum par laga hai kyon ilzaam bhool jaane ka aye Shafeeq tumhen
ek wahi hum ko yaad aata hai jo nigahon se door hota hai

Posted: Sun Jan 21, 2007 7:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Shafeeq Ahmad SaHib aadaab! :-)

mashAllah baRe u'mdah andaaz meN aap ne apne kheYalaat aor meHsusaat ka iz^haar kiYa hai. mujh~e hameshah hee aap ke kalam ka intez^aar rehta hai.

mujh~e ummeed hai keh aap baqae,idagee se bazm meN tashreef late raheeN ge.


bachcha dil ka suroor hota hai,bachcha aankhon ka noor hota hai
bequsoor ek wahi hai duniya mein,warna sab se qusoor hota hai

kashti-e-dil ke gharq hone par,jis ko haasil suroor hota hai
us shikasta jigar se kya poochhen,mit ke kitna ghuroor hota hai

saadgi dil hai,aql purkari;tajruba rang de haath donon ke
kijiye sirf dil ki naalish kyon?aql ka bhi futoor hota hai

noor hi noor jis ka chehra ho,fakhr ka us pe kaise pehra ho
hasti apni mita ke duniya mein surkhuroo woh zaroor hota hai

dard is mein na dard us mein hai;dil bhi achcha,jigar bhi achcha hai
daam-e-ulfat mein phansne wale ko dard beshak huzoor hota hai

dard-o-gham is jahan mein kitne hain paikar-e-sher mein jo dhal na sake
ye unhi shaairon ka hissa hai jinko haasil shaoor hota hai

ulta hum par laga hai kyon ilzaam bhool jaane ka aye Shafeeq tumhen
ek wahi hum ko yaad aata hai jo nigahon se door hota hai

is HaseeN koshish par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
muz^affar