Page 1 of 1

aagahi

Posted: Fri Jan 19, 2007 10:12 pm
by tahira Masood
maire Aziz saathio

slaam

kuch gham-e- jaaN kuch gham-e-dauraaN aur kuch gham-e-jehaaN in sab kaa imtezaaj aap ko es meri koshishi maiN mile gaa.

aap sab se iltemaas hai keh apni aara se nawaaz ker HauSlah afza'ee fermaaiN

wassalam


Image

Image

der-e-aagahi jo waa huaa der-e-der dekhaa khulaa huaa

tujhay jitnaa sochaa ay zidagee meraa gham bhee utnaa siwaa huaa

taire ktne chehre heN zindagi Ay zindagi tujhay kyaa huaa

ay mairay rafiq-e-mehrbaan tujhay kayaa kahoN tujhay kayaa sunoN

tujhay kayaa khabar maire derd ki kabhi tujh ko qalaq-e- dawaa huaa?

mujhay de k aik jehaaN kaa derd tuu magann hai apni hi zaat meN

gham khud peh seh k diaa tujhay Jo sakooN hai tujh ko milaa huaa

meraa gham mehaZ nahin jaaN kaa gham Dil meN basaa hai jehaaN kaa gham

her derd-o-gham mairee Zaat kaa esi derd se hai juRaa huaa

ay mire Khuda mujhay de sakooN mairaa dil hai gham se bheraa huaa

kahiN baanT laite haiN log gham kahin jaa giraate haiN log bam

kahiN rehm aur kahin ASbiyyat kahiN zulm Hadd se baRhaa huaa

kahiN faaqah masti kahiN peh jang kahiN zindagaani kaa ghair tang

kahiN zalzale kahiN aafateiN aur kahiN per qeh'r bapaa huaa

kahiN Aish koshee khushee tarab kahiN bhook payaas-o- tashnah lab

yeh kaisaa daur-e-taZaad hai meraa dil bohat hai Deraa huaa

meri chashm-e-HairaaN meN khoon hai mairee dil maiN kaisaa junoon hai

hai talab esay koee Hal mile meraa dil seraapaa duaa huaa

nah tau samjho esko koee baRh nah tau yeh sa"e-e-khaam hai

yeh tareeq sunat-e-anbiyaa yeh mominoN kaa maqaam hai

esi neh'j per rakh k yaqeeN baRhte chalo jo yeh gaam hai

laazim mile gaa yaqeeN kaa phal her uqdah es se kushaa huaa

maiN derd-o-gham ki aseer owN mujhay yeh nah samjho Haqeer hoN

maiN zindagi kaa Zameer hoN mujhay dil hi aisaa Ataa huaa



Posted: Sun Jan 21, 2007 7:37 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Tahirah Masauod SaHibah aadaab!

aap ke meHnat aor lagan kee numaae,indah yeh naz^m dekh~ee aor maiN waqae,iee Haeraan-o-shishdar reh geya. keh aap ne jis khubSuratee se tinooN kaefiyaat-e-Gham ko yakja kiya hai. lae,'iq-e-ta'reef hai.


der-e-aagahi jo waa huaa der-e-der dekhaa khulaa huaa

tujhay jitnaa sochaa ay zidagee meraa gham bhee utnaa siwaa huaa

waah!

taire ktne chehre heN zindagi Ay zindagi tujhay kyaa huaa

ay mairay rafiq-e-mehrbaan tujhay kayaa kahoN tujhay kayaa sunoN

waah!

tujhay kayaa khabar maire derd ki kabhi tujh ko qalaq-e- dawaa huaa?

mujhay de k aik jehaaN kaa derd tuu magann hai apni hi zaat meN

kiya kehne!

gham khud peh seh k diaa tujhay Jo sakooN hai tujh ko milaa huaa

meraa gham mehaZ nahin jaaN kaa gham Dil meN basaa hai jehaaN kaa gham

waah!

her derd-o-gham mairee Zaat kaa esi derd se hai juRaa huaa

ay mire Khuda mujhay de sakooN mairaa dil hai gham se bheraa huaa

kiYa kehne!

kahiN baanT laite haiN log gham kahin jaa giraate haiN log bam

kahiN rehm aur kahin ASbiyyat kahiN zulm Hadd se baRhaa huaa

bohot khoob!

kahiN faaqah masti kahiN peh jang kahiN zindagaani kaa ghair tang

kahiN zalzale kahiN aafateiN aur kahiN per qeh'r bapaa huaa

waah!

kahiN Aish koshee khushee tarab kahiN bhook payaas-o- tashnah lab

yeh kaisaa daur-e-taZaad hai meraa dil bohat hai Deraa huaa

waah!

meri chashm-e-HairaaN meN khoon hai mairee dil maiN kaisaa junoon hai

hai talab esay koee Hal mile meraa dil seraapaa duaa huaa

waah!

nah tau samjho esko koee baRh nah tau yeh sa"e-e-khaam hai

yeh tareeq sunat-e-anbiyaa yeh mominoN kaa maqaam hai

kiYa kehne!!

esi neh'j per rakh k yaqeeN baRhte chalo jo yeh gaam hai

laazim mile gaa yaqeeN kaa phal her uqdah es se kushaa huaa

waah!

maiN derd-o-gham ki aseer owN mujhay yeh nah samjho Haqeer hoN

maiN zindagi kaa Zameer hoN mujhay dil hi aisaa Ataa huaa

waah! waah!


meree janib se is koshish par dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar

Posted: Mon Jan 22, 2007 10:02 pm
by tahira Masood
moHteram Zafar Saheb

salaam-e-khuloos

aap ne jis teraH meri iss nigaarish ko aik aik ker ka alaiHdah alaiHdah seraaha hai woh maire liye beHadd khushee kaa mujib huaa hai

Sirf iss liye nahiN keh kisee ne meri aik teHreer ki pazeera'ee ki
balekh iss ki aik wajah yeh bhi hai keh aap ne aik achchaa'ee ko aik Hassas mozuu ko meHsuus ker k eski HauSlah afza'ee ferma'ee

mujhay aap kaa shuekriyah adaa kerne k liye munaasib alfaaz nahiN mil rehay

Allah ta'aala aap ko isskaa kahaaS AlkhaaS ajr-e-Azeem Ataa fermaay.aameen

sadaa khush rehai

pls accept my heart felt regards and gratitude

wassalam
Image Image Image

Posted: Mon Jan 22, 2007 10:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Tahirah Masaud SaHibah aadaab!

aap ne is khulooS se mere khat^ ka jawab likh~a hai keh maiN khushee se ph~ule naheeN sama raha. aap ka be Had sukriyah!

aap kee naz^m waqa'ee qabil-e-satae,ish hai. balkeh aap ka sara kalam hee dad-o-teHseen ka muttaqaZ^ee hai woh waqt door naheeN jab mujh~ se kaheeN behtar alfaaz^ meN aap ke kalam ko pasand kiya jae ga. aor mustanad naqqaad apnee naok-e-qalam se aap ke Haq meN sinhre alfaaz^ meN likh~e ga. aor khuda kare keh woh zamanah ham bh~ee dekh~eeN.

ijazut chahooN ga!

Wassalam
Muz^affar

Posted: Tue Jan 23, 2007 1:39 am
by tahira Masood
bohat bohat shukeriyah Mazaffar SaaHeb

yeh meHaZ aap kaa Husn-e-nazar aur beRaa pan hai

aap k signatures meN Nazir Saheb kaa shaer paRh ker tau bohat hi achaa lagaa

aaybdah bhi ham un se istefaadah keraiN ge.Inshallah

Inhi mudabbiraan ki badaulat hamne bohat kuch seekhaa hai yehaan