Page 1 of 1

"haugee dillagee kab tak"tarhi kalaam peshay khidm

Posted: Sat Jan 20, 2007 4:59 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto

taaza tarhi kalaam aapki bacaarato.n ke hawaalay kar rahy hai.n.

gar qubool uftad zahay.......

arz kiya hai..

khel mei.n bitaaye.nge,hum yeh zindagee kab tak
nafs aur shaitaa.n ki,haugi bandagee kab tak

jinkay dil mei.n eemaa.n hai,woh kabhie nahi.n kehtay
"darday baybasee kab tak,ranjay 'aashiqee kab tak"

tu agar musalmaa.n hai,phir kabhie nah bolaygaa
imtihaan laygee yeh,meri zindagee kab tak

sher bolay shaayer say,qaum ka tu rahbar hai
apni zimmhaydaari say,teri bayrukhee kab tak

fannay shaayeri bayshak,ek 'azeem n'emat hai
bol is say aye shayer,haugee dillagi kab tak

chaa'h daaray faani kee,tujhko laykay doobaygee
chaahaygaa tu aye haamid,'aarizee khushee kab tak

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sat Jan 20, 2007 5:57 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil TaraHi ghazal jo aapke makhSooS rang meiN hei beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

khel mei.n bitaaye.nge,hum yeh zindagee kab tak
nafs aur shaitaa.n ki,haugi bandagee kab tak

jinkay dil mei.n eemaa.n hai,woh kabhie nahi.n kehtay
"darday baybasee kab tak,ranjay 'aashiqee kab tak"

tu agar musalmaa.n hai,phir kabhie nah bolaygaa
imtihaan laygee yeh,meri zindagee kab tak

sher bolay shaayer say,qaum ka tu rahbar hai
apni zimmhaydaari say,teri bayrukhee kab tak

fannay shaayeri bayshak,ek 'azeem n'emat hai
bol is say aye shayer,haugee dillagi kab tak

chaa'h daaray faani kee,tujhko laykay doobaygee
chaahaygaa tu aye haamid,'aarizee khushee kab tak

Aapka MukhliS,
Nazir.

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Sat Jan 20, 2007 4:53 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:

mohtaram abdullah nazir saahib
Assalaam o alaikum

aapki purkhuloos daad aur dilee mubaarakbaad hamaaray liye sanad hai mohtaram.

hausalah afzaayee ka bahut bahut shukriya.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Sun Jan 21, 2007 8:24 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Hamid bh~aee Assalam alikum! :-)

be laag fikr meN hee milee shaoqat-e-dawaam
aor bulhawas wajahat-e-jab Dh~unDte rahe!

kiYa kehne Hamid bh~aee! baRe peyare aor roHparwar she'er kahe haiN.
sare she'er apne micaal aap haiN. aor aap ke munfarid aor makhSooS andaaz-e-fikr kee e'lamat haiN.

zameeN kee sakhtee aor talkhee ko aap ne kaheeN aaRe nah aane diya aor baRee kamyabee se sabh~ee nasheb-o-faraz se guzar kar kamyaab aae haiN. maiN is zimn meN kahooN ga keh agar koee shakhS khud apna imteHaan lena chahe to woh is zameen meN qalam uTh~ae to woh jald hee Haqiqat aashna ho jae ga. lekin aap ne yeh she'er keh kar nah Sirf rah hamwaar kar dee hai. balkeh sar-e-rah sang-e-meel ka bh~ee ehtamaam kar diya hai.=D>

aap kee mehnat-e-shaqqah aor infaradiyat ke bae,ic zamanah aap ke fan aor kaarkardagee ko faramoosh nah kar pae ga!

khel mei.n bitaaye.nge,hum yeh zindagee kab tak
nafs aur shaitaa.n ki,haugi bandagee kab tak

jinkay dil mei.n eemaa.n hai,woh kabhie nahi.n kehtay
"darday baybasee kab tak,ranjay 'aashiqee kab tak"

tu agar musalmaa.n hai,phir kabhie nah bolaygaa
imtihaan laygee yeh,meri zindagee kab tak

sher bolay shaayer say,qaum ka tu rahbar hai
apni zimmhaydaari say,teri bayrukhee kab tak

fannay shaayeri bayshak,ek 'azeem n'emat hai
bol is say aye shayer,haugee dillagi kab tak

chaa'h daaray faani kee,tujhko laykay doobaygee
chaahaygaa tu aye haamid,'aarizee khushee kab tak

meree janib se dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe! =D>

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

shukriya

Posted: Mon Jan 22, 2007 5:55 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Hamid bh~aee Assalam alikum! :-)

wa alaikumussalaam
muzaffar bhai

motiyo.n say alfaaz

daad hai ya lafzo.n ka khazana.lafzo.n say khelna tau koyee aap say seekhay.

aapkay is khazanay kau hum bahut sambhaal kar rakhe.nge.insha allah.is anmol tohfay kay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.

aur

aatay hai.n aapkay kalaam ki taraf

is khoobsoorat micray per aapki ghazal aapkay andaaz mei.n bahut khoob hai.

jiskay liye hamaari dilee daad haazir hai qubool farmaaiye. :rose :rose :rose

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.

mukhlis
haamidbaaqri