Page 1 of 1
rashk-e-faSl-e-bahaar hai Nazir*
Posted: Sat Jan 20, 2007 4:40 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
moHtaram Abdullah Nazir SaHib aor ehl-e-meHfil aadaab!
mera aor Nazir SaHib ka taa'luq zeyadah purana naheeN. maiN unheeN aek DeDh~ saal se Ghae,banah t^aor par hee janta hooN. lekin is daoraan un se jo muHabbat aor murawwat milee use dekh~te huwe lagta hai. keh yeh safar SadyooN par muHeet^ hai.
maiN ne apne jazbaat aor aHsaas ko qalam band kar diya hai. aap khwateen-o-HaZ^raat se guzarish hai. keh mulaHiZ^a farma kar shukriyah ada karne ka maoqa' deeN.
aor agar koee meherbaaN ise urdu rasmul khat^ meN bana de to umr bh~ar eHsaan mand rahooN ga. e'lawah azeeN maqaamee jarae,id waGhaerahko bh~ejane meN aasanee ho jae gee.
1,
gul ka Husn-o-nikh~aar hai Nazir
rashk-e-faSl-e-bahaar hai Nazir!
2,
raonaq-e-gulsitaaN sahee Ghunche
par naseem-e-bahaar hai Nazir!
3,
ik jahaaN hai woh rang-o-khushbu ka
kiYa HaseeN lalah zaar hai Nazir!
4,
she'er kehta hai ik jahaaN lekin
moonis o TarHdaar hei Nazir.
5,
jaan de de jo Husn-e-ma'nee par
aek hee jaaN nicaar hai Nazir!
6,
kisht-e-urdu kee aabYaree meN
kitna maSroof-e-kaar hai Nazir!
7,
"urdu bandh~an" meN baNdh~ lo khud ko
jis ka takhleeq kar hai Nazir!
8,
HirS-e-dunYa se la ta'luq hai
mat kaho dunYa daar hai Nazir!
9,
aarzu ka fareb khurdah hai
kushtah-e-intz^aar hai Nazir!
10,
dosto rehguzaar-e-dunYa meN
qabil-e-aa'tabaar hai Nazir!
11,
mulk-e-urdu adab ka puch~o to
aakhree taaj daar hai Nazir.
zeyadah hadd-e-adab
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar[/align]
Posted: Thu Feb 01, 2007 1:37 pm
by tahira Masood
waaaaaaaaah waaaaaaaaaah waaaaaaaaaah =D> =D> =D>
bohat khoobSurat bohat a'alaa
itnaa HaseeN khiraaj???
bohat khush qismat haiN Nazir Saheb
yaqeenan yeh alfaaz kisee bhee isnaan kl liye sunehri Huruuf se likhe jaane k qaabil haiZ
aur maiN yeh jaanti hoN woh shaairee jo pur aCar ho woh Sirf aur Sirf dil se nikaltee hai
aur itnaa khiraaj koee bhee insaan aise hi nahiN paa laitaa siwaaey iss baat k kwh woh iskaa Haq daar ho
mujh per bhee Nazir SahHeb kaa majmuee tuaur achaa tuaacur hai
Haalnkeh bohat ziyadah nahiN jaanti magar jab bhee unki zaroorat paRee hai unhoN ne baRe rasaan aur shafqat se rehnumaa'ee fermaa'ee hai aur Sirf wahiN tabdeeli krte haiN jehaaN per intehaa'ee naa guzeer ho
wernah ziyaadh ter HauSlah afaz'ee hi fermaate haiN
Allah Ta'ala unko ajr-e-Azeem Ataa fermaaey
m'aloom huaa thaa keh woh pichle dinoNAleel thay magar bafazleh Khudaa ab ru baSeHat ho ker gher aa achuke haiN
Allahmadulillah
meti teraf se iss Haseen manzoom kalaam per Zafar Bahe'ee aap bhi shukeriyah aur daad qabuul fermaain :rose :rose :rose
wassalam
Posted: Fri Feb 02, 2007 7:11 am
by muhammad_19k
Muzaffar Sb,
Gustakhi Mua'aaf, aap ki likhee huwee ghazal(qaSeedaa) haqeeqat par mabni aisi khoobsoorat ghazal hai ke aisaa lagaa jaise apne hi khyaalaat ki tarujmaani ho rahi ho. iss leeaye ghazal ke aakhir meiN aik gustakhi kar baithaa. yaqeenun ye (mairi ghalati) qabil e iSlaaH hai. aap jaisaa hukam karaiN.
aor Saraa ji se bhi muazirat ke un ki itni khoobsoorat "composed" ghazal ke baad bhi meiN urdu rasmul khat meiN isse dobaaraa paish kar rahaa hooN. Izhaar wajaa aakhir meiN khud ba khud ho jaataa hai.
aap sub ka laadla,
Muhammad Khawar.
Posted: Fri Feb 02, 2007 3:59 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Tahirah Masaud SaHibah aadaab!
aap ne itne bh~arpoor andaaz meN kalam ko pasand farmate huwe mere Haq meN HaseeN aor HaoSilah afza alfaaz^ chune haiN keh dil a'jeeb see kaefiyat meN mubtila ho geya hai. aap aese mukhliS afraad kee HaoSilah afzaee se aek aadh~ Harf likh~ne kee hammat mil jatee hai.
aap ka jitna bh~ee shukriyah ada kiya jae utna hee kam ho ga. khuda aap ko salamat rakh~e.
jahaaN tak Naz^ir SaHib ke maqaal-o-martabah ka taa'luq hai. to maiN yaqeen se keh sakta hooN. keh yeh chand she'er un kee SalaHiyatooN ka aHat^ah har giz naheeN karte haaN itna Z^aroor hai keh shae'ir ke haath~ khulooS aor muHabbat par aek adna see daleel aa jatee hai.
un ka martabah to taqaZ^ah karta hai keh un par saal ha saal tal ikh~a jae. aor aek nasal un par likh~e. balkeh har daor meN un par likh~a jae.
un ke naam-e-garamee-e-qadr se adabee tanz^eemeeN banaee jaeeN.
khuda ham sab ko in batooN ke liye taofeeq de.
aap ka zeyadah waqt nah looN ga!
ijazut dijiye!
Wassalam
Muz^affar
Posted: Fri Feb 02, 2007 4:16 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram M,Khawar SaHib aadaab! :rose
aap kee muHabbat ka rang bh~ee baRa gehra der pa aor munfarid hai. dil se aap ke liye dua'a nikaltee hai. khuda aap ko salamat rakh~e.
aap ne Ghazal ko urdu rasmul khat^ meN bana kar waqae'ee mujh~ par aHsaan kiya hai. Hasb-e-wa'dah u'mr bh~ar aap ka aHsaan mand rahooN ga.
aap ne kalam meN maqt^a'e ka iZ^afah farma kar kalam meN aek naee rooH bh~ooNk dee hai. dad qubool kijiYe! kiya kehne maiN to yahee kahooN ga keh aap ka she'er hee sab she'erooN meN behtareen laga hai.jaesa keh aap ne kaha hai.
"sach kaha hai yeh sab Muz^affar ne
aesa hee shaahkaar hai Naz^air"
bohot khoob, waah, waah!
meree janib se is dilkash maqt^a' par dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!
aor aek bat jo qabil-e-zikr hai. woh yeh keh pehle she'er meN aap ne :gulooN: likh~a hai. jabkeh yeh :gul: hai.
inshaAllah daoraan-e-t^abaa'at is baat kee waZ^aHat ko Z^aruree samjh~ooN ga. aor Hashiyah meN aap ka zikr bh~ee karooN ga.
Wassalam
Muz^affar
Posted: Sat Feb 03, 2007 6:38 am
by muhammad_19k
Muzaffar Sb,
Jis faraakhdili se aap doosroaN ki Hoslaa afzaayi farmateiN haiN woah aap hi ka Turaa imtiaaz hai. maire maqtA ki hasiat aap ki ghazal ke khoobsoorat chehray par aik til se ziada naheeN hai. jo kissi ko khoobSoorat lag saktaa hai aor kissi ko bad numaa. aap ki baat par aitebaar kartaa hooN. agar aap ka buraa naheeN lagaa to mujhe bohat khushi hoee.
mairaa maqSad ye thaa ke agar aap buraa na lagaa to mair bhi "haaziri" ho ja-aye gi. aor wajaa sirf Nazir sb ki mohabbat aor shafqat rahi.
ghalati ki nishandahi ka shukriyaa. meiN us ki tasHeeH fursat milte hi kar dooN ga.
aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar.
Posted: Tue Feb 06, 2007 6:06 am
by muhammad_19k
Saraa ji,
aap kaa shukriyaa.
Dua'go,
Muhammad Khawar.