TaraHi miSraA Salam kehne waalaoN ke liye: Abdullah Nazir
Posted: Sun Jan 21, 2007 11:04 am
MuHtaram dousto
,
PurkhulooS Tasleemaat,
Maah-e-MuHarram-ul-Haraam jo maah-e-Azaa hei, uski nisbat se maiN salaam kehne ke liye mandarja-e-zeil pesh karrahaa hooN. KhaaS Taur per hamare Azeez saathi Jawaid Badauni aur Haamid baaqri ke kalaam se hamko seekhne kaa kauqaA milegaa.
Mir Babar Ali Anees amrouhawi kaa miSraA hei:
"aahuu na muu.Nh nikalate the sabzazaar se"
radeef = se
qaafiye = (bahaar, ghubaar, intizaar, taabdaar, naa kardah kaar, HiSaar, lail o nahaar, shikaar, sawaar, ikhtiyaar, ) waghairah.
Yeh miSreA BeHr-e-MuZaariA akhrab mafoof maqSoor MeHzoof meiN hei jiskaa vazn hei:
/0/0/.../0//0/...//0/0/.../0//0
=221…..2121…..1221……212
= maf'oo'lu….faa'ilaa'tu….mufaa'eelu….faa'ilun
ijaazut:
ghair qaafiyah=band miSraAoN ke aakhiri rukn ko "faa'ilun" kee bajaaye "faa'ilaatu" = ///0/ = 1121 isteAmaal karsakte heiN.
Aapka MukhliS,
Nazir.