Page 1 of 1
"t'ajjub hai"taaza nazm peshay khidmat hai
Posted: Mon Jan 22, 2007 8:12 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto
aik taaza nazm pesh kar rahay hai.n aapki khidmat mei.n.
gar qubool uftad zahay.....
arz kiya hai.......
unwaan "t'ajjub hai"
yeh kehta hai hamaara rab t'ajjub hai mujhay usper
jau har din dekhta hai marnay waalo.n ko yahaa.n akcar
magar phir bhi nahi.n hai yaad karta mout ko apni
samjhta hai ajal jaisay kabhie isko nahi.n aani
aray ghafil jau paida hau chuka hai uskau marna hai
yeh duniya chorkar tujhkau hamaaray paas aana hai
tujhay m'aaloom hai duniya mei.n aaya hai akayla tu
tujhay jaana hai tanha yeh samjhta kyu.n nahi.n hai tu
hisaab apna tujhay dayna hai tanhaai mei.n ghurbat mei.n
uthaaye.nge akaylay hi tujhay hum phir qayaamat mei.n
jinhe.n khush kar raha hai woh tire kaam aa nahi.n saktay
yeh khud mohtaj hai.n yeh saath tere jaa nahi.n saktay
zabaa.n say keh raha hai tu' khuda hai aik barhaq hai
ajal hai qabr mei.n barzakh hai janaat aur dauzakh hai
zabaani kalma padhnay say shifaa'at mil nahi.n sakti
'amal gar nek na ho.n tujhko jannat mil nahi.n sakti
tu aayega jau khaali haath mehshar mei.n tau kya hauga
"mohabbat bhi 'tabiyat ko nah raas aayee tau kya hauga"
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Posted: Tue Jan 23, 2007 11:42 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Hamid bh~aee Assalam alikum!
kiYa kehne Hamid bh~aee!
mashAllah ab to aap baqae,eedagee se likh~ rahe haiN. aor sach baat yahee hai keh khoob likh~ rahe haiN. khuda kare keh aap ka yeh qalamee safar puree aab-o-taab se jaree rahe. aor dusre laog bh~ee aap ke hamsafar ho jaeeN takeh aek karwaaN kee see Surat-e-Haal paeda ho jae. aor is baat se kis ko inkaar ho ga keh aap ke raoshan kheyaalaat-o-nazreeyaat jo keh a'en kitaab-o-sunnat kee a'zmat aor perawee ke a'alambardaar haiN. agar inheeN bat^aor-e-rakht-e-safar bandh~ liya jae to hamare beshtar masaae,il Hal ho jaeeN ge.
yeh kehta hai hamaara rab t'ajjub hai mujhay usper
jau har din dekhta hai marnay waalo.n ko yahaa.n akcar
magar phir bhi nahi.n hai yaad karta mout ko apni
samjhta hai ajal jaisay kabhie isko nahi.n aani
aray ghafil jau paida hau chuka hai uskau marna hai
yeh duniya chorkar tujhkau hamaaray paas aana hai
bohot khoob!! Hamid bh~aee! waah, waah
tujhay m'aaloom hai duniya mei.n aaya hai akayla tu
tujhay jaana hai tanha yeh samjhta kyu.n nahi.n hai tu
hisaab apna tujhay dayna hai tanhaai mei.n ghurbat mei.n
uthaaye.nge akaylay hi tujhay hum phir qayaamat mei.n
jinhe.n khush kar raha hai woh tire kaam aa nahi.n saktay
yeh khud mohtaj hai.n yeh saath tere jaa nahi.n saktay
mashAllah! mashAllah!
zabaa.n say keh raha hai tu' khuda hai aik barhaq hai
ajal hai qabr mei.n barzakh hai janaat aur dauzakh hai
zabaani kalma padhnay say shifaa'at mil nahi.n sakti
'amal gar nek na ho.n tujhko jannat mil nahi.n sakti
tu aayega jau khaali haath mehshar mei.n tau kya hauga
"mohabbat bhi 'tabiyat ko nah raas aayee tau kya hauga"
bohot khoob! girah ka she'er bara pasand aaya hai. mashAllah!
aakhir meN meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!
eyadah hadd-e-adab!
Muz^affar
shukriya
Posted: Fri Jan 26, 2007 2:48 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Hamid bh~aee Assalam alikum!
wa alaikumussalaam
muzaffar bhai.
kiYa kehne Hamid bh~aee!
bahut bahut shukriya.
mashAllah ab to aap baqae,eedagee se likh~ rahe haiN. aor sach baat yahee hai keh khoob likh~ rahe haiN.
al hamdulillah.yeh aapki mohabbat hai.jazakallah.
khuda kare keh aap ka yeh qalamee safar puree aab-o-taab se jaree rahe. aor dusre laog bh~ee aap ke hamsafar ho jaeeN takeh aek karwaaN kee see Surat-e-Haal paeda ho jae.
aameen ya rabbul aalameen
aor is baat se kis ko inkaar ho ga keh aap ke raoshan kheyaalaat-o-nazreeyaat jo keh a'en kitaab-o-sunnat kee a'zmat aor perawee ke a'alambardaar haiN. agar inheeN bat^aor-e-rakht-e-safar bandh~ liya jae to hamare beshtar masaae,il Hal ho jaeeN ge.
is mei.n koyee shak nahi.n hai.al hamdulillah.
yeh kehta hai hamaara rab t'ajjub hai mujhay usper
jau har din dekhta hai marnay waalo.n ko yahaa.n akcar
magar phir bhi nahi.n hai yaad karta mout ko apni
samjhta hai ajal jaisay kabhie isko nahi.n aani
aray ghafil jau paida hau chuka hai uskau marna hai
yeh duniya chorkar tujhkau hamaaray paas aana hai
bohot khoob!! Hamid bh~aee! waah, waah
bahut bahut shukriya.
tujhay m'aaloom hai duniya mei.n aaya hai akayla tu
tujhay jaana hai tanha yeh samjhta kyu.n nahi.n hai tu
hisaab apna tujhay dayna hai tanhaai mei.n ghurbat mei.n
uthaaye.nge akaylay hi tujhay hum phir qayaamat mei.n
jinhe.n khush kar raha hai woh tire kaam aa nahi.n saktay
yeh khud mohtaj hai.n yeh saath tere jaa nahi.n saktay
mashAllah! mashAllah!
zahay naseeb.shukran
zabaa.n say keh raha hai tu' khuda hai aik barhaq hai
ajal hai qabr mei.n barzakh hai janaat aur dauzakh hai
zabaani kalma padhnay say shifaa'at mil nahi.n sakti
'amal gar nek na ho.n tujhko jannat mil nahi.n sakti
tu aayega jau khaali haath mehshar mei.n tau kya hauga
"mohabbat bhi 'tabiyat ko nah raas aayee tau kya hauga"
bohot khoob! girah ka she'er bara pasand aaya hai. mashAllah!
mamnoon hai.n aapkay.
aakhir meN meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!
aapki hausalah afzaayee aur purkhuloos daad kay hum behad shukrguzaar hai.n.
allah(sbhnwt)aapko salaamat rakkhay.aameen.
der say jawaab denay kayliye hum aapsay muaazirat chaahtay hai.n.
eyadah hadd-e-adab!
Muz^affar
mukhlis
haamidbaaqri