Page 1 of 1

us ka bhi gham (ghazal)

Posted: Tue Jan 23, 2007 6:19 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Aik ghazal...us ka bhi gham bohot ab madoomho chuka hai

Posted: Thu Jan 25, 2007 3:16 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Sara jee, AADAB,
HAMESHA KEE TARAH AAP NAY APNI BELOOS MOHABAT AUR HALOOS KA MUZAHIRA KARTAY HOWAY PAZERAI FARMAI HAI ,JIS K LIYE AAP KA TEH-E-DIL SAY SHUKR GUZAR HOON.ALLAH TALA AAP KO SADA KHUSH RAKHAIN, AMEEN
DUA GOO,
ATIQ-UR-REHMAN SAFFY

Posted: Thu Jan 25, 2007 3:23 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Atiq-ur-Rehman Saffy SaHib aadaab! :-)

kaese mizaaj haiN kiya kehne bohot u'mdah koshish kee hai. Ghazal ke sabh~ee asha'aar khubSurat haiN. meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

ham sam mimbaraan ke liye yeh baRe fakhr kee baat hai keh aap pakistan meN rehte huwe bazm meN shirkar farmate haiN. aor apne kalam se meHfil kee raonaq baRhate haiN.

kiya hee achch~a ho agar aap yooN hee tashreef late raheeN. aor apne kalam se gulshan-e-urdu ko mehkate raheeN.

meree janib se dobarah dad aor mubarak baad qubool kijiY! hamare mahanah t^arHee mushae,irah meN bh~ee HiSSah lijiYe ga!


Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

Posted: Fri Jan 26, 2007 6:48 am
by muhammad_19k
Azeezam Saffy sahib,

Salam arz hai. pehli baar aap ki mehfil meiN haazir ho rahaa hooN. aap ki ghazal yaqunun bohat khoobsoorat hai. phir pasand apni apni .

Mujhe ye ye walaa sha'aer sub se ziadaa pasand aaye.


ik baar log phir se dewaane ho rahaiN haiN
kehte hain woa dobaraa maSoom ho chukaa hai.



Mukhils,
Muhammad Khawar.

aap ka bohot bohot shukriya

Posted: Sun Jan 28, 2007 1:07 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Mohtram Muzaffar Ahmad muzaffar sahib, AADAB,
AAP KAY MOHABAT BHARAY JAWAB KA AUR HOSLA AFZAI KA BOHOT BOHOT SHUKRIYA, AAP NAY JIS HALOOS SAY NAWAZA HAI ISS KAY LIYE SHUKRIYA KAY ALFAAZ KAM HAIN,
MEIN KOSHISH KAROON GA K YAHAN REGULAR VISIT KARTA RAHOON.
AIK PHIR AAP KA BOHOT BOHOT SHUKRIYA.
Atiq-ur-Rehman Saffy

Posted: Sun Jan 28, 2007 1:10 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Muhammad Khawar sahib, aadab,
mein sab say pehlay aap ko iss adbi mehfil mein khush aamdeed kehta hoon, yahan baqaidgee say tashreef latay rahayay ga,
ghazal pasand karnay ka aur apni khoobsorat graanqadar rai sai mustafeed karnay ka bohot bohot shukriya,
Muhlis,
Atiq-ur-Rehman Saffy