Page 1 of 1
Urdu Bandhan ki MeHfil.e Masaalma ke liye mera salam
Posted: Wed Jan 31, 2007 9:59 pm
by jawaid badauni
Dosto, aadaab
Main MoHtram Abdullah Nazir Saahab ka behud mamnoon hooN keh unhoN ne meHfil.e Masalma aarasta karke hum aaSiyoN ko nek kaam karne ka ek mauqa faraham kiya. Allah Nazir Saahab ko jazaa.e Khair se nawaze. Waise tou qafiyoN ke e'tbaar se aasaan zameen thee magar "se" radeef ne isey KhaaSa dushwaar bana diya hai. Meree kamzori yeh hai keh koii zameen saamne aa jaye tou salam kahe baGair mujh se rahaa nahiN jata. Chund ashaar ho gaye haiN so is miSrey ke saath aap ki nazr kar raha hooN: "Haq tou yeh hai keh Haq adaa nah huuwa."
Aapka MUKhliS
Jawaid Badauni
--------------------------------------------------------
bach kar dikhaao sabr.e Shaih-e deeN ke vaar se
ab Shaih kareNge jung isee Zoolfeqaar se
kahne ko qaid.e Shaam se aazaad ho gaye
“Abid” nikal sake nah GhamoN ke Hisaar se
naadim haiN hum keh unke masaaiib they beshumaar
hum ne bahaaye ashk bohat iKhteSaar se
ya Rub yehee doa hai hamesha banaa rahe
rabt.e Gham.e Husain dil.e sogwaar se
“lo ab chiraaG gul hai chaley jaao mujh se door”
kahte rahe Husian harik jaaN NiSaar se
tha lashkar.e “Husain” meN lashkar harek furd
lagte the muKhtaSar woh yaqeenan shumaar se
yeh nafs.e mutmaiin hai jhuke ga nah ai Yazeed
apne jawaan beTe ki mayyat ke baar se
“Jawaid” tere sher muwaddat se mushkbaar
laaya ho jaise phool koyee laalahzaar se
Posted: Thu Feb 01, 2007 9:10 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Jawaid Badauni bh~aee aadaab!
MeHfil-e-Masalma ke liye aap ka salam dekh~ne kee taofeeq milee. mashAllah asha'aar ko dekh~te huwe aap kee khuda daad she'eree SalaHiyat ka aa'taraaf kiye baGhaer koee charah naheeN.
qudrat ne aap ko quwwat-e-gaoyaee ke HaseeN aor maocar iz^haar ke liye she'er gaoee ke malikah se sarfaraaz kar rakh~a hai. aor aap is SalaHiyat ko nihayat mucbat andaaz meN baru-e-kaar la rahe haiN.
kaheeN Ghazal ke paekar meN she'er-o-miSra' ke maotee bakh~er rahe haiN aor kaheeN naz^m kee Surat meN akabar (baRe) kee a'zmatooN ke mua'tarif dikh~aee dete haiN to kaheeN aSaGhir ke sarooN par dast-e-shafqat rakh~te haiN. GharZ^ har lamHah maSroof-e-a'amal haiN. is ka ajar aap ko Sirf khuda hee de sakta hai.
bach kar dikhaao sabr.e Shaih-e deeN ke vaar se
ab Shaih kareNge jung isee Zoolfeqaar se
subHanAllah,
kahne ko qaid.e Shaam se aazaad ho gaye
“Abid” nikal sake nah GhamoN ke Hisaar se
mashAllah,
naadim haiN hum keh unke masaaiib they beshumaar
hum ne bahaaye ashk bohat iKhteSaar se
subHanAllah,
ya Rub yehee doa hai hamesha banaa rahe
rabt.e Gham.e Husain dil.e sogwaar se
mashAllah,
“lo ab chiraaG gul hai chaley jaao mujh se door”
kahte rahe Husian harik jaaN NiSaar se
mashAllah,
tha lashkar.e “Husain” meN lashkar harek furd
lagte the muKhtaSar woh yaqeenan shumaar se
mashAllah,
yeh nafs.e mutmaiin hai jhuke ga nah ai Yazeed
apne jawaan beTe ki mayyat ke baar se
mashAllah,
“Jawaid” tere sher muwaddat se mushkbaar
layaa ho jaise phool koyee laalahzaar se
mashAllah, bohot u'mdah,
meree dua'a hai keh khuda wand aap ko is salaam ke badlah ajar-e-a'azeem a't^a farmae.
ijazut dijiye!
Wassalam
Muz^affar
Posted: Thu Feb 01, 2007 10:18 pm
by jawaid badauni
Azeezi Muzaffar Saahab, aadaab
Husb.e dastoor aap ka giraaNqadr tabsarah izzat afzaaii ka bayiS bana aur meri behud himmat afzaaii huwee, jiske liye aap ka bohat mamnoon hooN. IsmeN koii shak nahiN keh aap hamesha hi apne purKhulooS kalmaat se nawazte haiN. Bohat bohat shukriya.
Urdubandhan ne MoHarram ki munasibat se Masalma munAqid karke ek nihayat nek kaam anjaam diya hai. Mujhe ummid hai deegar membraan bhi is kaam meN dilchaspee leNge. Main janta hooN har shayar is maZmoon per sher nahiN kahta phir bhee mujhe khooshee hogee agar chund membraan apne salam se nawaazeNge.
KhulooS kaar,
Jawaid
Re: Urdu Bandhan ki MeHfil.e Masaalma ke liye mera salam
Posted: Mon Feb 05, 2007 5:56 am
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:Dosto, aadaab
Main MoHtram Abdullah Nazir Saahab ka behud mamnoon hooN keh unhoN ne meHfil.e Masalma aarasta karke hum aaSiyoN ko nek kaam karne ka ek mauqa faraham kiya. Allah Nazir Saahab ko jazaa.e Khair se nawaze. Waise tou qafiyoN ke e'tbaar se aasaan zameen thee magar "se" radeef ne isey KhaaSa dushwaar bana diya hai. Meree kamzori yeh hai keh koii zameen saamne aa jaye tou salam kahe baGair mujh se rahaa nahiN jata. Chund ashaar ho gaye haiN so is miSrey ke saath aap ki nazr kar raha hooN: "Haq tou yeh hai keh Haq adaa nah huuwa."
Aapka MUKhliS
Jawaid Badauni
--------------------------------------------------------
bach kar dikhaao sabr.e Shaih-e deeN ke vaar se
ab Shaih kareNge jung isee Zoolfeqaar se
kahne ko qaid.e Shaam se aazaad ho gaye
“Abid” nikal sake nah GhamoN ke Hisaar se
naadim haiN hum keh unke masaaiib they beshumaar
hum ne bahaaye ashk bohat iKhteSaar se
ya Rub yehee doa hai hamesha banaa rahe
rabt.e Gham.e Husain dil.e sogwaar se
“lo ab chiraaG gul hai chaley jaao mujh se door”
kahte rahe Husian harik jaaN NiSaar se
tha lashkar.e “Husain” meN lashkar harek furd
lagte the muKhtaSar woh yaqeenan shumaar se
yeh nafs.e mutmaiin hai jhuke ga nah ai Yazeed
apne jawaan beTe ki mayyat ke baar se
“Jawaid” tere sher muwaddat se mushkbaar
laaya ho jaise phool koyee laalahzaar se
biradram jawaid saahib
assalaam o alaikum
behtareen salaam hai yeh aapka imaame 'aalimuqaam(as) kay naam.
daad qubool keejiye.
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
insha allah thodee der mei.n hum apna salaam imaam(as) kay huzoor pesh kare.nge.
iltemaasay dua
aapka apna
haamidbaaqri
Re: Urdu Bandhan ki MeHfil.e Masaalma ke liye mera salam
Posted: Sat Feb 10, 2007 7:20 pm
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:jawaid badauni wrote:Dosto, aadaab
Main MoHtram Abdullah Nazir Saahab ka behud mamnoon hooN keh unhoN ne meHfil.e Masalma aarasta karke hum aaSiyoN ko nek kaam karne ka ek mauqa faraham kiya. Allah Nazir Saahab ko jazaa.e Khair se nawaze. Waise tou qafiyoN ke e'tbaar se aasaan zameen thee magar "se" radeef ne isey KhaaSa dushwaar bana diya hai. Meree kamzori yeh hai keh koii zameen saamne aa jaye tou salam kahe baGair mujh se rahaa nahiN jata. Chund ashaar ho gaye haiN so is miSrey ke saath aap ki nazr kar raha hooN: "Haq tou yeh hai keh Haq adaa nah huuwa."
Aapka MUKhliS
Jawaid Badauni
--------------------------------------------------------
bach kar dikhaao sabr.e Shaih-e deeN ke vaar se
ab Shaih kareNge jung isee Zoolfeqaar se
kahne ko qaid.e Shaam se aazaad ho gaye
“Abid” nikal sake nah GhamoN ke Hisaar se
naadim haiN hum keh unke masaaiib they beshumaar
hum ne bahaaye ashk bohat iKhteSaar se
ya Rub yehee doa hai hamesha banaa rahe
rabt.e Gham.e Husain dil.e sogwaar se
“lo ab chiraaG gul hai chaley jaao mujh se door”
kahte rahe Husian harik jaaN NiSaar se
tha lashkar.e “Husain” meN lashkar harek furd
lagte the muKhtaSar woh yaqeenan shumaar se
yeh nafs.e mutmaiin hai jhuke ga nah ai Yazeed
apne jawaan beTe ki mayyat ke baar se
“Jawaid” tere sher muwaddat se mushkbaar
laaya ho jaise phool koyee laalahzaar se
biradram jawaid saahib
assalaam o alaikum
behtareen salaam hai yeh aapka imaame 'aalimuqaam(as) kay naam.
daad qubool keejiye.
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
insha allah thodee der mei.n hum apna salaam imaam(as) kay huzoor pesh kare.nge.
iltemaasay dua
aapka apna
haamidbaaqri
Himmat afzaaii ke liye behud mamnoon hooN Hamid Baaqree SaaHab.
Khoosh raheN!
MuKhliS
Jawaid