Page 1 of 1

Ek "seedhi-saadhi-ghazal"......!!

Posted: Sat Feb 03, 2007 2:05 pm
by munir-armaan-nasimi
Pyare Dosto,

Apni ek "seedhi-saadhi-ghazal" ke saath aap ki mehfil main haazir hoon. Apne tassurat se nawaz kar shukriya ada karne ka mauqa inayat farmayein.

Khuda ka laakh laakh shukr hai ke A.Nazir Bhai hospital se ghar laut aaye hain. Alla'h kare woh din doni raat chauguni.... seehat hasil karein aur iss suni suni bazm ko.... dobara zindagi mil jaaye. Aameen!

Duaon ka taalib,

aap ka apna,

armaan

Posted: Thu Feb 15, 2007 10:19 pm
by Anmol
Aadaab, Armaan SaaHib!

Aap ki ghazal achchhi hai. teesra she'r paRh kar lutf aaya.

daad!!!!!

Posted: Sun Feb 18, 2007 9:00 am
by Star Mind
Arman SaaHib, aadaab !

aap ki yeh Ghazal nehaayat pasand aa'ii. meri taraf se daad qubool kejiye ! shukriya

Zia Baloch

Posted: Sat Feb 24, 2007 3:03 pm
by munir-armaan-nasimi
My Dear(s) Anmol ji aur Zia ji,

Intehaayi majerat chaahta hoon ke aap ki zarra nawazi ka shukriya ada karne main der nahin...kaafi der ho gayi.... !! I was busy in my official works so could not able to visit urdubandhan.

Ghazal pasand aayi jaan kar behad khushi hoyi. Alla'h kare aage bhi achcha likh sakoon. Duaaon main yaad rakhkhein.

khair andesh,

armaan

Posted: Sat Feb 24, 2007 4:48 pm
by sbashwar
:salaam: Munir sahib,
Waqiye aapne aik seedhi saadhi ghazal kahi hai. Aapki ghazal ke teesra sheir bohat pasand ayaa.
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria