roz-o-shab rulaaYe gee aap kee kamee kab tak?
Posted: Tue Feb 06, 2007 6:40 am
yaaraan-e-meHfil: aadaab a'rZ^ hai!
UrduDuniya ke t^araHee mushaa,i'rah #20 ke liYe miSra' thaa:
dard-e-bekasee kab tak, ranj-e-a'ashiqee kab tak?
is t^araH meN apnee Ghazal pesh kar rahaa hooN. sach poochhiYe to isee mushaa,i'reh ke bahaane maiN bhee kuchh keh letaa hooN warnah shaa,i'ree aaj kal bohat kam ho rahee hai!
aap kee raaYe aur tabSiroN kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=============================
GHAZAL:
roz-o-shab rulaaYe gee aap kee kamee kab tak?
:dard-e-bekasee kab tak? ranj-e-a'ashiqee kab tak?
"Sarwar"-e-pareshaaN se aisee dil-lagee kab tak?
be-ruKhee ke parde meN naaz-o-dilbaree kab tak?
daaGh-e-naarasaayee kyoN, zaKhm-e-kajrawee kab tak?
SubH nauHah-KhwaaN ho gee shaam-e-yaas kee kab tak?
kyoN nah ham bhee dikhlaaYeN daaGh-haaYe shaam-e-Gham?
meHshar-e-muHabbat meN yeh rawaa-rawee kab tak?
ab to apnee Soorat bhee ajnabee see lagtee hai
de gee yooN fareb aaKhir meree zindagee kab tak?
SubH-o-shaam shikwah hai, roz-o-shab kaa ronaa hai
is t^araH nibhaa,o ge ham se dostee kab tak?
raah-e-maikadah yaa Rab! har qadam peh khoTee hai
karb-e-tishnagee kab tak? jaam yeh tehee kab tak?
maiN shikaar-e-naumeedee, too wafaa se begaanah
dekhiYe rahe apnee zeest ajnabee kab tak!
ho chukeeN bohat baateN, soch to Zaraa "Sarwar"
manzil-e-muHabbat meN Sirf shaa,i'ree kab tak?
--------------------------