Page 1 of 1
zaroorat khurdare jismon ko itna dhaar kar de gi(gazal)
Posted: Sat Feb 10, 2007 6:02 am
by dilshadnazmi
qaraeen kran
salam _o_alaekum ,,,,
eak taweel arse ke baad iss bazm mein hazir ho raha hoon ,
apni eak adna si gazal ke saath , hosla afzaayee ki darkhwast hai .
Posted: Sat Feb 10, 2007 8:54 pm
by tahira Masood
waaaaaaaaaaaaaaaaaaah
bohat khooob
bohat a'alaa
ummeed hai keh aayndah bhee aap ki nigaarshaat paRhne ko miltee rehaiN gee
Posted: Mon Feb 12, 2007 8:44 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Naz^ami SaHib aadaab!
aap ke asha'aar dekh~e kiya kehne neya rang aor neya andaaz le kar aap dunya-e-adab meN tashreef lae haiN. maiN aap kee jadeediyat aor kalam kee infaradiyat dekh~ kar is nateejah par pohncha hooN keh yeh meHeZ^ khuda daad SalaHiyat hee ho saktee hai.
meree janib se dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
Posted: Thu Feb 15, 2007 10:16 pm
by Anmol
Dilshad SaaHib, aadaab!
aap ka kalaam hamesha mujhe kuchh munfarid sa lagta hai. is baar bhi aap ki ghazal paRh kar bahut mutassir hui. Bahut Khoob mazameen aur umda andaaz-e-bayaaN!!! aik aik sher nageena hai. maiN daad pesh karti huuN.
Posted: Sun Feb 18, 2007 9:06 am
by Star Mind
Dilshaad Nazmi SaaHib, aadaab !!
aap ki Ghazal nehaayat munfarid aur Khoob hai , dil-o-jaan se pasand aa'ii hai ! andaaz-e-bayaaN bahut alag saa hai
aur mazaameen bhii Khoob haiN , daad qubool kejiye ! shukriya
Zia Baloch