Page 1 of 1

Ghazal: ~*shikast.e.khawaab ka manzar bhi daikho*~

Posted: Fri Feb 04, 2005 4:34 pm
by Khalish
Azeezan.e.Bazm: Salaam.o.Aadaab

Saraa Behan aur Baradarm Mehtab Qadar ki daawat per aap ki bazm meiN haazir ho raha hooN. Mashaa.allah buhot khoobsurat mefil hai aur mujhe yahaan aa kar buhot khushi mehsoos ho rahi hai. MaiN iss qadar khoobsurat site tashkeel deyne per muntazameen ko dili mubarakbaad paish karta hooN.

Apni aik taaza ghazal batour ta'aruf paish kar raha hooN. Aap ki aaraa ka muntazar rahooNga.

niyaazmand

Nazimuddin :Khalish:

Ghazal Roman/Urdu versions meiN paish karne ki koshish kar raha hooN

Ghazal

shikast.e.khawaab ka manzar bhi daikho
jalaa aaya hooN apna ghar bhi daikho

sukooN kitna hai iss deevaaNgi meiN
yahaaN aaou, mire andar bhi daikho

khirad ka raaz khul jaaey ga tum per
kabi mujh meiN zara jee kar bhi daikho

na daikho mujh ko duniyaa ki nazar se
mujhe mujh meiN he khaakastar bhi daikho

tumhaare haath ko chooma tha jiss ne
uthaa laaya hooN voh pathar bhi daikho

sulagti jaan hai kaisi :Khalish: ki
kabhi duniyaa se tum kat kar bhi daikho

Image

Bahut khoob Waah waah

Posted: Sat Feb 05, 2005 3:18 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Nazimuddin Khalish Saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi jo aapke dili iHsaasaat kaa muraqqaA hei. Saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN aur jaisaa ke maiN yeh kehne per majboor hooN (saans lete houe maloom houte heiN). Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.

Aapka Mukhlis,

Nazir.

Re: Ghazal: ~*shikast.e.khawaab ka manzar bhi daikho*~

Posted: Sat Feb 05, 2005 5:42 pm
by naheedv
Khalish wrote:Azeezan.e.Bazm: Salaam.o.Aadaab

Saraa Behan aur Baradarm Mehtab Qadar ki daawat per aap ki bazm meiN haazir ho raha hooN. Mashaa.allah buhot khoobsurat mefil hai aur mujhe yahaan aa kar buhot khushi mehsoos ho rahi hai. MaiN iss qadar khoobsurat site tashkeel deyne per muntazameen ko dili mubarakbaad paish karta hooN.

Apni aik taaza ghazal batour ta'aruf paish kar raha hooN. Aap ki aaraa ka muntazar rahooNga.

niyaazmand

Nazimuddin :Khalish:

Ghazal Roman/Urdu versions meiN paish karne ki koshish kar raha hooN

Ghazal

shikast.e.khawaab ka manzar bhi daikho
jalaa aaya hooN apna ghar bhi daikho

sukooN kitna hai iss deevaaNgi meiN
yahaaN aaou, mire andar bhi daikho

khirad ka raaz khul jaaey ga tum per
kabi mujh meiN zara jee kar bhi daikho

na daikho mujh ko duniyaa ki nazar se
mujhe mujh meiN he khaakastar bhi daikho

tumhaare haath ko chooma tha jiss ne
uthaa laaya hooN voh pathar bhi daikho

sulagti jaan hai kaisi :Khalish: ki
kabhi duniyaa se tum kat kar bhi daikho

Image
janaab Khalish saahab,

iss mehfil meiN khush.aamdeed.

aap kee ghazal paRhee aur buhat pasaNd aa'ee.
iss se aap ke shaa'irana zoq kaa aNdaazah hotaa hai ke aap ko iss taSnif par uboor haaSil hai.
umeed hai ke aap kaa mazeed kalaam bhee paRhne ko miltaa rahe gaa.
main iss khobsoorat kaavish par aap ko daad paish karti hooN.

aik choTi see baat, aap ne lafz-e- :khaakistar: ko :khaakastar: likhaa hai, iss ko durust kar lijiye!

mukhliS
Naheed

Re: Ghazal: ~*shikast.e.khawaab ka manzar bhi daikho*~

Posted: Sun Feb 06, 2005 7:11 pm
by Khalish
sara_j wrote:

bohat khoob kaha....shikast-e-khwaab ki kaifiyet ko jis andaaz mein aapne bayaan kiya bohat acha laga.

sukooN kitna hai iss deevaaNgi meiN
yahaaN aaou, mire andar bhi daikho

bohat khoob!

khirad ka raaz khul jaaey ga tum per
kabi mujh meiN zara jee kar bhi daikho

waah!

na daikho mujh ko duniyaa ki nazar se
mujhe mujh meiN he khaakastar bhi daikho

bohat khoob!

tumhaare haath ko chooma tha jiss ne
uthaa laaya hooN voh pathar bhi daikho

wah waah!

sulagti jaan hai kaisi :Khalish: ki
kabhi duniyaa se tum kat kar bhi daikho

bohat khoob Khalish saahib!

Nazim saahib,

hum aapke tahe dil se mamnoon hain aur shukriya ada karte hain jo aapne yehan tashreef laaker humari izzat mein izafa kiya hai. aur umeed karte hain ke aap humara saath dete rahenge.

aap itna khobsurat kalam lekar aayein hain jise paRh ker bohat khushi hui, aur aapke aur kaalm ka intezar rahega.
Sara Sahiba: Aadaab

Buhot buhot shikria. Aap ki bazm meiN shirkat mere liye baais.e.sharf hai. Yahaan aa kar dili musarrat mehsoos ho rahi hai.

Na.cheez ki ghazal ko aap ne pasand farmaaye aur saraha, maiN tah.e.dil se mamnoon hooN. Buhot nawaazish hai aap ki.

Meri poori poori khoshish rahe gi keh maiN aap ki bazm meiN ba.qaaedigi se shareek hota rahooN.

Mukhlis

Nazimuddin Khalish

Re: Bahut khoob Waah waah

Posted: Sun Feb 06, 2005 7:21 pm
by Khalish
Abdullah Nazir wrote:
MuHtarami
Nazimuddin Khalish Saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi jo aapke dili iHsaasaat kaa muraqqaA hei. Saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN aur jaisaa ke maiN yeh kehne per majboor hooN (saans lete houe maloom houte heiN). Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.

Aapka Mukhlis,

Nazir.

Muhtaram: Aadaab!

Buhot karam.farmaaee hai iss na.cheez per aapki. MaiN teh.e.dil se mamnoon hooN. Ghazal ko aap ne pasand famaaya mujhe aur kya chahiye !

Apna khayyal rakhiye aur mujhe duaaouN meiN yaad rakhiye

niyaazmand

Nazimuddin Khalish

Re: Ghazal: ~*shikast.e.khawaab ka manzar bhi daikho*~

Posted: Sun Feb 06, 2005 7:37 pm
by Khalish
naheedv wrote:

janaab Khalish saahab,

iss mehfil meiN khush.aamdeed.

aap kee ghazal paRhee aur buhat pasaNd aa'ee.
iss se aap ke shaa'irana zoq kaa aNdaazah hotaa hai ke aap ko iss taSnif par uboor haaSil hai.
umeed hai ke aap kaa mazeed kalaam bhee paRhne ko miltaa rahe gaa.
main iss khobsoorat kaavish par aap ko daad paish karti hooN.

aik choTi see baat, aap ne lafz-e- :khaakistar: ko :khaakastar: likhaa hai, iss ko durust kar lijiye!

mukhliS
Naheed
Muhtarma Naheed Saahiba:

Aap ke istaqbaaliya kalamaat ka buhot buhot shukria, aap se ghaeebana ta'aruf raha hai, tahreeri taur per pehla raabta ho raha hai.

Ghazal aap ne pasand farmaaee, maiN tah.e.dil se mamnoon aur shukar guzaar hooN. Buhot nawaazish hai aap ki.

Imla ki jis ghalati ki aap ne nishaan dehi ki hai usse aainda durust kar liya jaaey ga. Iss silsile meiN bhi meraa shukria qabool kijiay.

Mukhlis

Nazimuddin Khalish