beraa-e-mehr baani koee mujhe in alfaaz kaa SaHiH wazan aur talffuz bataa saktaa hai?
too
tau
saamne
yazdaaN
hangaamah-e-meHshar
nazar
bohat
kabhi
aa (alif madd aa)
waghera waghera
mamnoon rehoN gi.
sos basis peh asap

almaded!!!!!!!
wassalam
tahira Masood wrote:sabko salaam
Walekum Salam,
beraa-e-mehr baani koee mujhe in alfaaz kaa SaHiH wazan aur talffuz bataa saktaa hai?
Ji zaroor, maiN koshish karti huN. :)
too = 2, can be 1 also
tau =1 or 2
saamne = 212
yazdaaN = 22
hangaamah-e-meHshar =2212 22, can be 2211 22 also
nazar =12
bohat =12
kabhi =12, can be 11 also
aa (alif madd aa) =2
waghera waghera :? 122 122![]()
mamnoon rehoN gi.
Anonymous wrote:Anmol wrote:tahira Masood wrote:sabko salaam
Walekum Salam,
beraa-e-mehr baani koee mujhe in alfaaz kaa SaHiH wazan aur talffuz bataa saktaa hai?
Ji zaroor, maiN koshish karti huN. :)
so nice and cute of u Anmol ji aap ne itnee jaldi reply bhi ker diyaa
Allah aapko khush rekhe.aameen
mujhe en auzaan kaa nayaa nayaa hi ilm huaa hai kisee ne mujhe bataaya thaa keh yeh aawaz per munHaSir hai jitne aawazaIn badleiN untni baar i add ker lo
maclan agar
lafz "baaher" hai tau 2 yaa aik number "baa" ka aur aik "her" kaa ho gaa Wallah aAlamm
agar
too = 2, can be 1 also
yeh kayaa her jagah aisaa ho saktaa hai yaa Sirf khaaS haalat meN 1 yaa 2 ki gunjaaish ho sakti hai?
tau =1 or 2
saamne = 212
yeh 212 kaa matlab 2+1+2=5 hai yaa 212 hi hai
yazdaaN = 22
22 yaa 2+2=4
hangaamah-e-meHshar =2212 22, can be 2211 22 also
nazar =12
1 2
yani keh na-zar =12
bohat =12
kabhi =12, can be 11 also
aa (alif madd aa) =2
waghera waghera :? 122 122![]()
hahahah so cute!!!! waah! waaaah!!! ustaad ho tau aisaa! :D you made me laugh real hard!!!!
God Bless you.
wassalam
.[/color]