Page 1 of 1

DO-BARA POST KIYA.....Dil ki Hasrat Hai....

Posted: Sat Feb 24, 2007 3:13 pm
by munir-armaan-nasimi
Urdubandhan ke saathiyo,

Ek Ghazal pesh-e-khidmat hai. Mujhe yaad nahin ke, ye ghazal urdubandhan pe pahle post kar chuka hoon ya kisi aur website pe... bas itna yaad hai ke kahin post kiya tha.

Agar pahle post kar chuka hoon to plz. dobara padh lein aur apni aara se nawazein.

aap ka apna,

armaan

Posted: Sat Feb 24, 2007 4:50 pm
by sbashwar
:salaam: Munir Sahib, aapki ghazal ki image adhori hai. Dubara post karein.
Shukria

Posted: Sun Feb 25, 2007 7:57 pm
by Anmol
Mujhe to image hi sire se nazar nahiiN aa raha.

:(

Posted: Mon Feb 26, 2007 5:08 pm
by munir-armaan-nasimi
I M REALLY SORRY FOR THE MIS-COMMUNICATION. MERE COREL PHOTO MAIN KUCHH GAD BAD HAI YAAR. KYA KAROON. BHAI, MERA YEH POST 'DELETE' KAISE HOGA????

ARMAAN

Posted: Mon Feb 26, 2007 7:08 pm
by sbashwar
:salaam: Armaan Sahib, lagta hai image aapne delete kardi hai. Post delete kyon karna chahte hain. Edit ke option se aap dubara image attach karsakte hain. X mark jo nazar araha hai, wahi delete button hai.
Waise mere laiq koi khidmat ho to bataiyega.
Shukria
Salem Bashwar

Posted: Tue Feb 27, 2007 4:20 pm
by munir-armaan-nasimi
BHAI JAAN,

AAP KI BAAT MAAN KAR... MAIN NE DOBARA POST KAR DI HAI. DEKHIYE, KAHAAN TAK KAMYAAB HOA HOON.

ARMAAN

Posted: Tue Feb 27, 2007 5:55 pm
by sbashwar
:salaam: Munir Sahib.
Shukria dubara post karne ka.
Bohat achchi ghazal kahi aapne. Matla bhi pasand aya. Sheir # 2 & 5 bohat khoob hain. Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.

Posted: Wed Feb 28, 2007 9:22 am
by muhammad_19k
Mohtaram Armaan Sb,

Assalamo Alaikum,

aik khoobSoorat ghazal par mubarikbaad qabool keejiaye. maqtA ne bohat mutaSSir kiya.

chhatay shair ka wazn zaraa aik nazar daikh leejiaye. mujhe donoaN miSroaN meiN kuch farq meHsoos ho rahaa hai. pehlay miSra meiN aap chaand ki noon giraa rahay haiN ( jo maire khayaal se jaaiz naheeN hai) aor doosre miSra meiN aap inhaiN ko sirf aik mutaharik ke leeaye istemal kar rahaiN. aap daikh leejiaye aor agar mujhe ghalati lag rahi ho ti mairi iSlaaH farmaa dijiaye ga.

shukarguzar,
Muhammad Khawar.

Posted: Wed Mar 07, 2007 2:31 pm
by munir-armaan-nasimi
Beradaram Muhammad Khawar Saheb,

Armaan-nawazi ka behad shukr-guzaar hoon! Jawab main der hoyi uske liye sharmindah bhi. Aap ko maqtA pasand aaya..... Jo mujhe bhi behad pasand hai. Aap ki islaah main ne note karli hai. apne Ustaad ji se tazkera karoonga... agar unko bhi sahi laga to... Insha'Allah apne sher ko sudhar loonga.

Honestly, Jab mere Ustaad Islaah kar dete hain to unke islaah pe kisi aur Ustaad-e-fann ka islaah lena mere liye mushkil hai.

Khuda Hafiz,

Aap ka bhai,

armaan

Re: DO-BARA POST KIYA.....Dil ki Hasrat Hai....

Posted: Mon Mar 19, 2007 6:09 am
by dilshadnazmi
munir-armaan-nasimi wrote:Urdubandhan ke saathiyo,

Ek Ghazal pesh-e-khidmat hai. Mujhe yaad nahin ke, ye ghazal urdubandhan pe pahle post kar chuka hoon ya kisi aur website pe... bas itna yaad hai ke kahin post kiya tha.

Agar pahle post kar chuka hoon to plz. dobara padh lein aur apni aara se nawazein.

aap ka apna,

armaan

munir nasimi sahib
aadab

aap ki gazal nazar nawaz hui , bahot khoob aur rawaan lahje ki gazal hai
meri daad qabool kijiey , albatta yeh shear

dooba suraj to dhala , chand sitarey soey
zindagi tu hi bata kon inhein bedaar kare .

manuee aur wazn ke aetebaar dono se naz_e_r cani chahta hai .

mafhoom ke lehaaz se yon ke aap zikr kar rahe hain ke dooba suraj to dhala ...................
suraj ka doob kar dhalna ,,, dhalna kin mano me istemaal kar rahein hain aap . dhalna se muraad dubarah tuloo hona ya dhalne se aap ka matlab doob jana , keya hai ???? ye aap behtar jante hain .

lekin dhalne se muraad aam qari yon leta hai , jaese

shaam dhal gaeei

dusri aur aham baat yeh ke chand sitarey soey , yani subh ke aasaar
ka zikr kar rahein hain yahaan aap subh ki aamad ka zikr kar rahein hain
misra_e_ cani me dekhiye ,

:" zindagi tu hi bata kon inhein bedaar kare "

yahaan " kon .aur, inhein :' ke darmiyaan misra be wazn ho gaya hai .
sirf :kon hein : aa raha hai aap yeh misra yon bhi kah sakte they .

" zindagi kon inhein khwab se be daar kare"
lekin misraE _ ula ka mas_ala waesa hi hai . jun ka tun
aap uss pe dubara gaur karein , umeed hai koi behtar baat aa jaey .

baqi gazal ke sabhi ash_aar ach_che hain ,

shukriya

Posted: Tue Mar 20, 2007 6:58 pm
by Star Mind
moHtaram Arman SaaHib, aadaab !!

aap ki kaavish beHad pasand aa'ii aur us par Dilshaad SaaHib ka tabSira bhii ! aap un ke mashvare par sanjeedgee se Ghor kareN ! bahut mufeed aur munaasib mashvara hai !

mazeed yeh k

"shaiKh-o-panDit" ki izaafat jach naheeN rahii ! meiN hindii aur farsii ki izaafat ko munaasib naheeN samajhtaa ! , aap "vaao'" ko "aur" se bhi badal sakte haiN ! kyaa Khayaal hai ?

daad Haazir hai ! shukriya

Zia Baloch

Posted: Wed Mar 21, 2007 4:36 am
by Sarwar A. Raz
Star Mind wrote:moHtaram Arman SaaHib, aadaab !!

aap ki kaavish beHad pasand aa'ii aur us par Dilshaad SaaHib ka tabSira bhii ! aap un ke mashvare par sanjeedgee se Ghor kareN ! bahut mufeed aur munaasib mashvara hai !

mazeed yeh k

"shaiKh-o-panDit" ki izaafat jach naheeN rahii ! meiN hindii aur farsii ki izaafat ko munaasib naheeN samajhtaa ! , aap "vaao'" ko "aur" se bhi badal sakte haiN ! kyaa Khayaal hai ?

daad Haazir hai ! shukriya

Zia Baloch
a'zeezee Zia SaaHeb: aadaab!

maiN yahaaN aayaa to yeh dilchasp guftgoo dekhee. maiN apnee raaYe phir likhooN gaa. is waqt to aap se do baateN a'rZ^ karnee haiN:

(1) meraa Khayaal hai keh Arman SaaHeb ke muta,naazia'h she'r meN comma Ghalat lag gayaa hai aur woh shaayad yooN likhnaa chaahate the:

dooba suraj to, dhala chand, sitarey soey
zindagi tu hi bata kon inhein bedaar kare .

ab she'r baa-rabt^ ho jaataa hai. ma'nee aap Khud hee samajh leN! :-)

(2) aap ne Hindustaanee/Farsi alfaaz^ kee taraakeeb par jo likhaa hai us par maiN ne ek maZ^moon likhaa hai! aaj kal chooN.k ghar se baahar hooN aur Urdu kitaabat kee sahoolat naheeN hai is liYe us ko chand din ba'd hee kaheeN lagaa sakooN gaa. yaqeena" aap kee dilchaspee kaa saamaan us meN bohat hai! yaar zindah, SuHbat baaqee?

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Wed Mar 21, 2007 4:44 pm
by munir-armaan-nasimi
BERADARAN DILSHAD NAZMI AUR ZIA SAAHEB,

Tahe Dil su sukr guzaar hoon ke aap ko meri ghazal ke kuchh sher pasand aaye aur aap ne (dono hazrat ne ek ek sher pe) jo tabsira kiya wohh bhi mere liye mufeed hai. ummeed ke aaindah bhi hosla afzai aur islaah se nawazte rahenge.....

USTAAD-E-SUKHAN SARWAR ALAM RAZ 'SARWAR' SAAHEB, AADAAB!!

Ghazal pasand aayi, mere liye badi baat hai. Aage bhi rahnumai karte rahein, nawazish hogi.

Sir, Aap ka Khayaal... bilkul sahi hai....she'r meN comma Ghalat lag gayaa hai..... BALKI AGAR AAP MERI GHAZAL KA SHER DEKHEIN TO COMMA KAHIN BHI NAHIN HAI USS SHER MAIN..... (jabki mujhe comma dekar 'confusion' door karna chahiye tha). Aap USTAAD hain.. aap ne bilkul sahi pakda hai ke... mujhe sher yoon likhna chahiye tha...

Dooba Suraj to, Dhala chand, Sitarey soey
Zindagi Tu hi bata kon inhein bedaar kare.

Aur Rahi Baat.....hindii aur farsii ki izaafat ko munaasib naheeN samajhne kii.... to main ye arz karna chaahta hoon ke.... munaasib aur gair-munaasib wali koyi baat nahin hai.... main apne sher main "Hindu aur Muslim Rahnumaon" se mukhatib tha to "shaiKh-o-panDit" kehna pada.

Ummeed hai ke aage bhi apni giranqadr aara se nawazte rahenge.

taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi

Posted: Thu Mar 22, 2007 4:03 am
by Sarwar A. Raz
munir-armaan-nasimi wrote:BERADARAN DILSHAD NAZMI AUR ZIA SAAHEB,

mukarram-e-bandah Armaan SaaHeb: aadaab!

aap ke Khat^ ko dekh kar Khushee bhee huyee aur kuch uljhan bhee paidaa huyee! aap ne mujh so do baateN aisee mansoob kee haiN jin kaa mere pichhle Khat^ meN Zikr hee naheeN hai! :-)

(1) maiN ne aap kee Ghazal par abhee koyee tabSirah naheeN kiyaa hai. so pasand/naa-pasand kee baat kahaaN huyee? ab soch rahaa hooN keh likhooN yaa nah likhooN?

(2) Hindi/Farsi kee taraakeeb kee munaasibat/naa-munaasibat par to Zia SaaHeb ne likhaa thaa. maiN ne to Sirf un se kahaa hai keh is mauZ^oo' par mere maZ^moon kaa intiz^aar kareN!

meraa Khayaal hai keh aap ko yeh Ghalat^-fehmee is liYe huyee keh aap ne Zia aur mere jawaab ko ek hee Khat^ meN nimTaane kee koshish kee hai! wassalaam!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Sat Mar 24, 2007 2:57 pm
by munir-armaan-nasimi
Sir!

CONFUSION... ke liye maa'fi chahta hoon. Mujhe ek hi khat main...aap dono hazrat ko jawab nahin likhna tha... Anyway, aap ne meri 'ghazal' pe 'tabsirah' iss baar bhi nahin kiya.... aakhir kyon? kya meri 'ghazal' aap ko pasand nahin aayi???

Regards,

Armaan