Page 1 of 2

EK GHAZAL

Posted: Fri Feb 04, 2005 11:22 pm
by najma
ek ghazal

hawaaon say gilah karnay lagii hoo
chalay aaein! k ab bujhnay lagii hoon

wo meray haal par hansnay lagay hain
main unn k haal par hansnay lagii hoon

miray ehbaab nay kii wo inayatt
k her saaey say ab darnay lagii hoon

zmanay say to hay shikwah sitam ka
main phirr bhii usko behlanay lagii hoon

qasam tark-e-ta,alluqq kii bhi khaaee
or-unn-kii aaas bhi rakhnay lagii hoon

ab-itnii barh gaee hay gham ki qeemat
rulanay per na main ronay lagii hoon

miray eemaan ko kya hogaya hay
mazaron par jabeen dharnay lagii hoon

inayat hay ye sab apnon kii NAJMA!
mai-orr bhii surkh-ruu honay lagii hoon

NAJMA ANSAR NAJMA

Bahut khoob

Posted: Sat Feb 05, 2005 3:10 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
N A J M A Saahibah


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye khaksaar kii daad aur mubaarakbad haazir hei.

Sir aakhiri misraA beHr se khaarij hei jisko yooN kiyaa jaasaktaa hei:

keh ab maiN surkhroo houne lagii hooN


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: Bahut khoob

Posted: Sat Feb 05, 2005 5:29 pm
by najma
Abdullah Nazir wrote:
MuHtaramah
N A J M A Saahibah


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye khaksaar kii daad aur mubaarakbad haazir hei.

Sir aakhiri misraA beHr se khaarij hei jisko yooN kiyaa jaasaktaa hei:

keh ab maiN surkhroo houne lagii hooN


Aapka Mukhlis,
Nazir.

janab abdullaah nazir sahib
assalam-o-alaikum
iss misra, ko yuun parha jata hay
:main-orr bhi surkh-ruu honay lagii hoon: (sounds--mayor) jo k adaaigii mein jaaiz hay :)
aap apnii raey say agaah farmaiyeyga :)
pasandeedgii ka shukriya
khair-andesh
najma
:)

Posted: Sat Feb 05, 2005 9:06 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Najma Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat,

Aap ne bajaa farmaayaa ke us misreA meiN se agar harf "ye" aur harf "waawo" ko giraadeN tou vazn durust housaktaa hei.

meem + alif zabar ke saath + rey = m'ar.
Agar yeh sauti adaayagi aap ko bhali lagti hei tou phir theek hei.

Is mauzooA per aur baataiN bhii qaabil-e-ghaur heiN jinkaa zikar maiN aayindah kisi munaasibat se karungaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sun Feb 06, 2005 1:49 pm
by najma
WEBMASTER wrote:
MuHtaramah
Najma Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat,

Aap ne bajaa farmaayaa ke us misreA meiN se agar harf "ye" aur harf "waawo" ko giraadeN tou vazn durust housaktaa hei.

meem + alif zabar ke saath + rey = m'ar.
Agar yeh sauti adaayagi aap ko bhali lagti hei tou phir theek hei.

Is mauzooA per aur baataiN bhii qaabil-e-ghaur heiN jinkaa zikar maiN aayindah kisi munaasibat se karungaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


zaroor janab!
intizar rahega. :)
najma
:)

Re: EK GHAZAL

Posted: Mon Feb 07, 2005 3:52 pm
by Shummu
hawaaon say gilah karnay lagii hoo
chalay aaein! k ab bujhnay lagii hoon

miray ehbaab nay kii wo inayatt
k her saaey say ab darnay lagii hoon

qasam tark-e-ta,alluqq kii bhi khaaee
or-unn-kii aaas bhi rakhnay lagii hoon



wah najma sis..wah maano mere dil ka haal bayaan kar diya ho in teen sheroN mein aapne...

qasam tark-e-ta,alluqq kii bhi khaaee
or-unn-kii aaas bhi rakhnay lagii hoon


ye sher to seedhe dil ko jaa ke laga... :(

miray eemaan ko kya hogaya hay
mazaron par jabeen dharnay lagii hoon


ye sher bhi khoob hai!

bahut saari daad haazir hai ..!Allah aap ko hamesha khush rakhe..ameen!

talib-e-dua,
Shumaila

Posted: Mon Feb 07, 2005 8:11 pm
by Anis Hasan
Mohtarma "Najma" saahiba buhat khubsurat ghazal likhi hai aap nay buhat ssari daad qabool kijiyay. Saaray hi ashaar pasand aayay laikin pehla shair apni khas kaifiat ki wajah say dil ko chy gaya.

Re: EK GHAZAL

Posted: Mon Feb 07, 2005 8:29 pm
by najma
Shummu wrote:hawaaon say gilah karnay lagii hoo
chalay aaein! k ab bujhnay lagii hoon

miray ehbaab nay kii wo inayatt
k her saaey say ab darnay lagii hoon

qasam tark-e-ta,alluqq kii bhi khaaee
or-unn-kii aaas bhi rakhnay lagii hoon



wah najma sis..wah maano mere dil ka haal bayaan kar diya ho in teen sheroN mein aapne...

qasam tark-e-ta,alluqq kii bhi khaaee
or-unn-kii aaas bhi rakhnay lagii hoon


ye sher to seedhe dil ko jaa ke laga... :(

miray eemaan ko kya hogaya hay
mazaron par jabeen dharnay lagii hoon


ye sher bhi khoob hai!

bahut saari daad haazir hai ..!Allah aap ko hamesha khush rakhe..ameen!

talib-e-dua,
Shumaila

shummu jeeeee :)
bohat hi bohat shukriya :D
khush rahiyey
:D

Posted: Mon Feb 07, 2005 8:33 pm
by najma
Anis Hasan wrote:Mohtarma "Najma" saahiba buhat khubsurat ghazal likhi hai aap nay buhat ssari daad qabool kijiyay. Saaray hi ashaar pasand aayay laikin pehla shair apni khas kaifiat ki wajah say dil ko chy gaya.

:D
anis hasan sahib
1 sher bhi dill ko chuu jaey to barii baat hay.ghazl likhnay ki koshish kamyab lagtii hay.
:)
ap ka kalam bhi umdah tha, acha likhtay hain aap bhii.acha ho to kalam parhnay mein bhi lutf ata hay.
pasandeedgii ka shukriya
khush rahiyey
najma
:)

Posted: Mon Feb 28, 2005 11:05 am
by Raji
Najma jee aadaab,

bohat ma'azrat khwah hooN ke aap ke iss kalam ko daikhne aur uss par apni aaraa likhne meN takheer hoovii. aap ka yeh kalaam aur uss meN majood mazameen bohat khoob heN. dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Mon Feb 28, 2005 12:44 pm
by tahira Masood
Bohat achi Najma ji :rose

salaam-e-khuloos

es khoobsurat ghazal k inaayat kerne per meri jaanib sae bhi daad qabul fermaaieN.

wassalam

Posted: Mon Feb 28, 2005 8:11 pm
by najma
Raji wrote:Najma jee aadaab,

bohat ma'azrat khwah hooN ke aap ke iss kalam ko daikhne aur uss par apni aaraa likhne meN takheer hoovii. aap ka yeh kalaam aur uss meN majood mazameen bohat khoob heN. dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:






bohat shukriya raji
:-) ap ko meri kawish pasand aaee, nawazosh
khush rahiyey
:-)

Posted: Mon Feb 28, 2005 8:12 pm
by najma
tahira Masood wrote:Bohat achi Najma ji :rose

salaam-e-khuloos

es khoobsurat ghazal k inaayat kerne per meri jaanib sae bhi daad qabul fermaaieN.

wassalam
tahira jee
meri iss ghazal ko pasand karen k liyey shukriya
khush rahiyey
:-)

Posted: Fri Mar 04, 2005 1:22 am
by najma
sara_j wrote:Najma ji,

aap bohat khoobsurat ghazal ke saath aayein, sab hi ashaar ache hain # 1, 2, 3, 4 aur 8 bohat pasand aaye. humein bohat khushi hui.

ainda bhi aapke kalaam ka intezar rahega.

sara



arrrrayyyyyyyyyyyyyyysara jee
sorry
na jane kese miss hogaee apki post :oops:
bohat bohat aur bohat hi shukriya iss hausla afzaaee aur pazeeraee ka.
khush rahiyey
:-)

Posted: Fri Mar 04, 2005 1:24 am
by najma
sara_j wrote:
sara_j wrote:Najma ji,

aap bohat khoobsurat ghazal ke saath aayein, sab hi ashaar ache hain # 1, 2, 3, 4 aur 8 bohat pasand aaye. humein bohat khushi hui.

ainda bhi aapke kalaam ka intezar rahega.

sara
:cry: koi jawab nahi mila :cry:

dekhiyey sara jee! :grin:
ab ham ne jawab dediya hay aur raseed hazir hay :wink:
oopar dekhiyey zara :roll:
ab khushhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh? :grin:
:-)