Page 1 of 1

"koee kaese dil lagana ch~ooR de" Guzarish 26!

Posted: Sat Mar 03, 2007 5:01 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 26 ke liye apnee ma'mulee see kawish pesh kar raha hooN. mulaHiZ^ah farmaiye!

1,

bakht-e-khuftah ko jagana ch~ooR de!
sang-e-dar par sar jh~ukana ch~ooR de!

2,

maiN nah kh~aooN ga fareb-e-justuju
laakh~ woh daman ch~uRana ch~ooR de!

3,

YooN nah kar khon-e-jigar ko rae,igaaN
hijr meN aaNsu bahana ch~ooR de!

4,

Shaekh SaHib ne a'jab tajweez dee
dil gariftah hai to peena ch~ooR de!

5,

jal chuka kab ka jhaan-e-aarzu
aasmaaN bijlee girana ch~ooR de!

6,

dard-e-dil se ho nah jaooN jaaN baHq
jaan-e-man nishtar lagana ch~ooR de!

7,

dil se jata hee naheeN tera kheyaal
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"?

8,

dekh~ le Zahad* agar dilbar mira
woh khuda se lao lagana ch~ooR de!
(Zahad=parhezgaar)

9,

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]

Re: "koee kaese dil lagana ch~ooR de" Guzarish 26!

Posted: Sun Mar 04, 2007 6:36 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 26 ke liye apnee ma'mulee see kawish pesh kar raha hooN. mulaHiZ^ah farmaiye!

1,

bakht-e-khuftah ko jagana ch~ooR de!
sang-e-dar par sar jh~ukana ch~ooR de!

2,

maiN nah kh~aooN ga fareb-e-justuju
laakh~ woh daman ch~uRana ch~ooR de!

3,

YooN nah kar khon-e-jigar ko rae,igaaN
hijr meN aaNsu bahana ch~ooR de!

4,

Shaekh SaHib ne a'jab tajweez dee
dil gariftah hai to peena ch~ooR de!

5,

jal chuka kab ka jhaan-e-aarzu
aasmaaN bijlee girana ch~ooR de!

6,

dard-e-dil se ho nah jaooN jaaN baHq
jaan-e-man nishtar lagana ch~ooR de!

7,

dil se jata hee naheeN tera kheyaal
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"?

8,

dekh~ le Zahad* agar dilbar mira
woh khuda se lao lagana ch~ooR de!
(Zahad=parhezgaar)

9,

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]

Azeezi Muzaffar SaaHab,
Aadaab

Aap ki tarahee Ghazal nazar nawaz huuwee. Bohat achche sher kahe haiN aap ne. Chund ashAAr ne bohat mutaASSir kiya. Daad qubool kijiye.

MaiN Amuman Urdubandhan ke tarahee Mushaairey meN sub se pahle Ghazal bhejta raha hooN magar iss baar aap mujhe maat dey gaye. Bus shayad kuch lamHon ke her pher huuwa. Jab main ne apni Ghazal post ki tou dekha nau ashAAr per mushtamil aapki mukammal Ghazal aa chukee thee. Boaht Khub.

KhulooSkaar,
Jawaid Badauni

Posted: Sun Mar 04, 2007 7:24 pm
by zmufti
Muzaffar bhai
aadaab
Mushaire meN aap ki khoobsurat ghazal dekhi
is ke liye daad qabool kijye
yeh samajh nahiN aayaa keh aap ne sher no.4 meN "peena" aur sher no.9 meN "tanha" qafia istemaal kiyya hai yeh paRhne deegar qafioN se alag maaloom ho rahe heN (kyaa in ka istemaal theek he??)
wasalaam
zmufti

Posted: Sun Mar 04, 2007 7:33 pm
by jawaid badauni
zmufti wrote:yeh samajh nahiN aayaa keh aap ne sher no.4 meN "peena" aur sher no.9 meN "tanha" qafia istemaal kiyya hai yeh paRhne deegar qafioN se alag maaloom ho rahe heN (kyaa in ka istemaal theek he??)
wasalaam
zmufti
Azeezah Zarqa Saahibah
aadaab


MaiN ne apni Ghazal meN "Dhana", "jana" "Pilana" qawafee istaimal kiye haiN yAAni woh alfaaz jinke iKhtetaam per "na" ho magar Bhaii Muzaffar saahab ne chund ashAAr men aazaadee se qawafee istaimal kiye haiN jinke iKhtetaam per sirf alif hai. Yeh Surat bhee durust hai. Iss se shayar ko aur khoolker sher kahne ki aazaadee mil jaatee hai. Buzurgaane Urdu ne bhi iss aazaadee ka faidah uThaya hai.

Ummid haai baat wazeh ho gaii hogee.Mushaire meN aap ki Ghazal ka intezaar hai aap chaheN to aazaadee se qawafee ka istaimal kar saktee haiN.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Sun Mar 04, 2007 11:28 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
zmufti wrote:Muzaffar bhai
aadaab
Mushaire meN aap ki khoobsurat ghazal dekhi
is ke liye daad qabool kijye
yeh samajh nahiN aayaa keh aap ne sher no.4 meN "peena" aur sher no.9 meN "tanha" qafia istemaal kiyya hai yeh paRhne deegar qafioN se alag maaloom ho rahe heN (kyaa in ka istemaal theek he??)
wasalaam
zmufti

mohtarmah Zarqa Mufti Baji aadaab-o-tasleemaat!

Ghazal ko pasand farmane par aap ka shukrguzaar hooN. khuda aap ko salamat rakh~e!

moHtaram Jawaid bh~aee kee waZ^ahat ke ba'd mera kuch~ a'rZ^ karna sood mand naheeN. lekin aap ka Hukm apnee jagah hai.

1,

daraSl arkaan par Ghaor karne se ma'loom hota hai. keh she'er #4 meN :tanha: se pehle :to: ka lafz^ hai. yeh ko (1)=(i') kee awaaz de raha hai. jaesa keh afae,eel se z^ahir hai.

dil gariftah hai to peena ch~ooR de!
2122....2122....212=

dil........ga.......rif........tah=
2..........1.........2..........2=

hai.......to.......pee.......na=
2..........1........2...........2

ch~o......R........de=
2..........1.........2


cabet huwa keh yahaaN aap dusre qawafee kee t^arH :peena: ko :ko peena: paRh~eeN. jaesa keh dusre qawafee haiN, macala", nibh~aba, uTh~ana, lgana, pilana, macala" is lafz^ :pilana: ko dekh~eeN yeh 122 kee aawaz par hai. aor durust hai. GharZ^ dekh~a jae to is naoi.yat ke qawafee meN aakhree lafz^ ::::na::: ko khat^ir nasheen rakh~ne kee Z^arurat hai. :Dagmgana:=2122 is ko agar qafiyah ke t^aor par isee beher meN istemaal karna ho to yooN keh sakte haiN,


pee ke maikash Dagmgana ch~ooR de!

pee......ke.....mai.....kash=
2...........1.......2.........2

Dag.......m.......ga......na=
2............1.........2.......2

ch~o.........R..........de=
2...............1...........2

aese qawafee kee chand micaaleeN,

nibh~ana=122
pilana=122
uTh~ana=122
girana=122
aor isee t^arH mera qafiyah hai.
to peena=122 pas :na: ka aana Z^aruree hai.



2,

isee t^arH she'er #9 ko lete haiN. miSra' hai.

" ja Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de"=
2122...2122....212=


ja........mu......z^af......far=
2.........1..........2..........2

mujh~....ko.....tan......ha=
2............1.......2.........2

ch~o........R.........de=
2............1..........2

ab aap dekh~ saktee haiN keh :tanha: kaese ada ho raha hai. ya yooN bh~ee baat samjh~aee ja saktee hai. keh agar aek miSra' banaya jae aor us ka qafiyah :aazmana: liya jae to kiya Surat ho gee. to miSra' banate haiN.

"a'aashiqoN ko aazmana ch~ooR de"=

a'aa......shi.....qoN......ko=
2...........1........2........2

aa.........z.........ma....na=
2...........1.........2.......2

ch~o......R........de=
2............1.........2

agar aap Ghaor se dekh~eeN to pata chale ga keh :aazmana:=2122=faai'laatun. meN agar :aazmana: ke aakhree do rukan ya'anee :mana:=22 aor mere qafiyah pena=22 meN kitnee mushabehat hai. :-) pas aap :pena: ko tanha nah samjh~eeN. akela samajh~ne se yeh manoos naheeN lagta.

pas aese istema'al ko maiN jae,iz samajh~ta hooN.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar














Re: "koee kaese dil lagana ch~ooR de" Guzarish 26!

Posted: Mon Mar 05, 2007 5:35 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 26 ke liye apnee ma'mulee see kawish pesh kar raha hooN. mulaHiZ^ah farmaiye!

1,

bakht-e-khuftah ko jagana ch~ooR de!
sang-e-dar par sar jh~ukana ch~ooR de!

2,

maiN nah kh~aooN ga fareb-e-justuju
laakh~ woh daman ch~uRana ch~ooR de!

3,

YooN nah kar khon-e-jigar ko rae,igaaN
hijr meN aaNsu bahana ch~ooR de!

4,

Shaekh SaHib ne a'jab tajweez dee
dil gariftah hai to peena ch~ooR de!

5,

jal chuka kab ka jhaan-e-aarzu
aasmaaN bijlee girana ch~ooR de!

6,

dard-e-dil se ho nah jaooN jaaN baHq
jaan-e-man nishtar lagana ch~ooR de!

7,

dil se jata hee naheeN tera kheyaal
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"?

8,

dekh~ le Zahad* agar dilbar mira
woh khuda se lao lagana ch~ooR de!
(Zahad=parhezgaar)

9,

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]
Assalaam o alaikum
muzaffar bhai

bahut acchay acchay sher kahay hai.n aapnay.

bahut lutf aaya.

zindabaad

hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri

Re: "koee kaese dil lagana ch~ooR de" Guzarish 26!

Posted: Wed Mar 07, 2007 9:53 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
haamidbaaqri wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 26 ke liye apnee ma'mulee see kawish pesh kar raha hooN. mulaHiZ^ah farmaiye!

1,

bakht-e-khuftah ko jagana ch~ooR de!
sang-e-dar par sar jh~ukana ch~ooR de!

2,

maiN nah kh~aooN ga fareb-e-justuju
laakh~ woh daman ch~uRana ch~ooR de!

3,

YooN nah kar khon-e-jigar ko rae,igaaN
hijr meN aaNsu bahana ch~ooR de!

4,

Shaekh SaHib ne a'jab tajweez dee
dil gariftah hai to peena ch~ooR de!

5,

jal chuka kab ka jhaan-e-aarzu
aasmaaN bijlee girana ch~ooR de!

6,

dard-e-dil se ho nah jaooN jaaN baHq
jaan-e-man nishtar lagana ch~ooR de!

7,

dil se jata hee naheeN tera kheyaal
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"?

8,

dekh~ le Zahad* agar dilbar mira
woh khuda se lao lagana ch~ooR de!
(Zahad=parhezgaar)

9,

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]
Assalaam o alaikum
muzaffar bhai

bahut acchay acchay sher kahay hai.n aapnay.

bahut lutf aaya.

zindabaad

hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri
moHtaram Hamid bh~aee aadaab!

Ghazal ko pasand farmane ke liye aap ka nihayat shukrguzaar hooN.aap kee hammat afzaee se baRa HaoSilah baRh~ta hai. aap khuda aap ko salamat rakh~e!

Wassalam
Muz^affar

Posted: Wed Mar 07, 2007 11:49 am
by muhammad_19k
Salam Muzaffar Sb,

ji toa ye hai woh ghazal jo ghazal paRhte paRhte ho gayee thi :-)


1,

bakht-e-khuftah ko jagana ch~ooR de!
sang-e-dar par sar jh~ukana ch~ooR de!


bohat khoob!

2,

maiN nah kh~aooN ga fareb-e-justuju
laakh~ woh daman ch~uRana ch~ooR de!


un ke daaman chuRane se fareb e justuju ka ta'alluq meiN samajh naheeN payaa. apni kam ilmi ke leeaye ma'zirat chahtaa hooN.

3,

YooN nah kar khon-e-jigar ko rae,igaaN
hijr meN aaNsu bahana ch~ooR de!


Sir, pehlaa miSra acchccha hai oar doosraa miSra aam sa. is shaer ne koi bohat khaaS acar naheeN chhoRaa.

4,

Shaekh SaHib ne a'jab tajweez dee
dil gariftah hai to peena ch~ooR de!


peenaa ke leeaye aap ne zarqaa ji ko jo wazaHat ki hai woh meiN ne daikhi hai. maazirat ke saath meiN uss se mutafiq naheeN hooN.

aap apna matla'A daikhiaye,

bakht-e-khuftah ko jagana ch~ooR de!
sang-e-dar par sar jh~ukana ch~ooR de!



is matla'A ki roo se chhoR de radeef huwaa oar anaa ke lafz oar aawaaz ka hiSSa huway. aor agar ghor se daikhaiN to na ki awaaz bhi donoaN qafiyooN jagaanaa aor jhukaanaa meiN mushtarik hai. iss leeaye qafiyaa na ki aawaaz par naheeN balke na se pehli aawaaz par ho gaa jo ke kaa aor gaa hai. jis ke teHt, banaana, bichaanaa, sunaana, jhukaana, uthaana waghairaa qaafiaye thehray. mujhe naheeN pataa ke asaataza iss ke baray meiN kia raa-aye daitay haiN. laikin mairi samajh ke mutaabiq jhukaanaa oar jagaanaa ke aakhir meiN ane walaa naa ki awaaz dar aSal radeef ka hi HiSSa hai. Aor jo tashreeH aap ne wazn ke mutabiq farmaa-ii hai. jahaaN tak meiN seekh payaaa hooN qafiaa meiN alfaz oar aawaaz to aham hai laikin wazn naheeN. woh baat alaihdaa hai ke kuch qawaafi wazn ki bandish ki wajaa se kissi beHr meiN istemaal naheeN hosakte. to peenaa wazn par bilkul pooraa utartaa hai laikin peenaa mein naa se phele alif naheeN hai. yani peenaa meiN pee ki aawaaz jhukaa ke kaa aor jagaa ke gaa ki ham awaaz naheeN hai. iss leeaye is ko in qawafi mieN likhnaa manasib naheen ho gaa. peenaa ke qawaafi jeena, seenaa, meenaa waghaira hoaN ge. (jee, see, mee, waghairaa ham aawaaz haiN ) agar mujhe bhi samajhne meiN ghalati lagi ho mazeed wazaaHat farmaa kar shukriyaa ka moqa dijiaye ga.

5,

jal chuka kab ka jhaan-e-aarzu
aasmaaN bijlee girana ch~ooR de!


bus theek hi hai. kia karooN muzaffar sb. aap ke aise shaandaar ashaar paRh kar nisbatan kam shaandar sha'er par daad daine ko dil naheen kartaa.

6,

dard-e-dil se ho nah jaooN jaaN baHq
jaan-e-man nishtar lagana ch~ooR de!


boht khoob! mujhe be jaan, jaan e man, jaanaaN waghaira ka istemaal bohat pasand hai. laikin astaaza kehte haiN ke in lafz ka bar maHal istemaal thoraa mushkil hai. baaz auqaat in alfaaz se kissi achhchhay khaase sha'er meiN amiyaana pan aajaataa hai. ub chooNke mujhe pasand hai to meiN to ta'reef karooN ga hi :-)

7,

dil se jata hee naheeN tera kheyaal
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"?



mujh donoaN miSroaN ka rabt kuch kamzor lag rahaa hai. dil lagane se khayaal e yaar mazboot hotaa hai. laikin aap ke sha'er se aisaa lagtaa hai jaise aap iss leeaye dil lagaanaa naheeN chhoR sakte kyooN ke us ka khyaal naheeN jaa rahaa. kuch gaR baR hai.

8.

dekh~ le Zahad* agar dilbar mira
woh khuda se lao lagana ch~ooR de!

(Zahad=parhezgaar)

aap ki baat maan laite haiN. :-)

9,

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


tanha ke leeaye bhi mariaa wohi khyaal hai jo peena ke leeaye thaa. abhi aamaad hoee hai woh daikh leejiaye,

kushtah e teGh e firaq e yaar hooN
too Muzaffar aanaa jaanaa choR de.



apni kam ilmi par sharmindaa hooN oar aap se seekh kar khushi meHsoos karooN ga.


aap ka shukarguzar,
Muhhammad K. Siddiqui.

Posted: Sat Mar 10, 2007 7:46 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Sara SaHibah aadaab!

aap kee hammat afzaee se bohot HaoSilah baRta hai. khuda aap ko salamat rakh~e.
mushae,rah meN aap kee Ghazal ka shiddat se intez^aar hai. ummeed hai. mayoos naheeN kareeN gee.

Wassalam
Muz^affar

Posted: Sun Mar 11, 2007 8:02 am
by Ibn-e-siddique
Mohtaram Muzaffar saHib

salaam arz hai

aap ne taraHi misre per bahot umda ghazal pesh ki hai.

kuch ash'aar to khaas taur per pasand aaye.

she'r no. 4 per maiN Muhammad_19K saHib se mutaffiq hooN.

aap apni ghazal meN "peena", ko "jagaana" "jhukaana" ke saath bilkul iste'maal kar sakte haiN, magar us ke liye aap ko ghazal ke matle meiN ye aazaadi dena hogi.

chooNke aap ki ghazal ke matla meiN "jagaana" aur "jhukaana" bataur qavaafi iste'maal kiye gaye haiN, is liye ab agar aap lafz "peena" ko iste'maal kareN to ye "eetaaye khafee" ki aik soorat hogi, ye koi baRaa aeb nahiN hai, magar bahar.haal aeb hai.

is liye behtar hai ke aap matla meiN lafz "jagaana" "jhukaana" jaise qavaafi ke saath "lafz "peena" seena, jeena ka koi qaafiya iste'maal kareN. is taraH aap ko deegar tamaam ash'aar meiN ye qavaafi iste'maal karne ki aazaadi Haasil ho jaaye gi.

umeed hai maine apna nuqta-e-nazar vaazeH kar diya hoga.

aap ki ghazal ke jo as'aar khaas taur per pasand aaye voh Haazir haiN :
maiN nah kh~aooN ga fareb-e-justuju
laakh~ woh daman ch~uRana ch~ooR de!

YooN nah kar khon-e-jigar ko rae,igaaN
hijr meN aaNsu bahana ch~ooR de!

jal chuka kab ka jhaan-e-aarzu
aasmaaN bijlee girana ch~ooR de!

dil se jata hee naheeN tera kheyaal
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"?
darj-e-baala tamaam ash'aar per meri jaanib se daad qubool farmaaiN

Amjad

Re: "koee kaese dil lagana ch~ooR de" Guzarish 26!

Posted: Sun Mar 18, 2007 3:26 am
by yasir shah
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 26 ke liye apnee ma'mulee see kawish pesh kar raha hooN. mulaHiZ^ah farmaiye!

1,

bakht-e-khuftah ko jagana ch~ooR de!
sang-e-dar par sar jh~ukana ch~ooR de!

2,

maiN nah kh~aooN ga fareb-e-justuju
laakh~ woh daman ch~uRana ch~ooR de!

3,

YooN nah kar khon-e-jigar ko rae,igaaN
hijr meN aaNsu bahana ch~ooR de!

4,

Shaekh SaHib ne a'jab tajweez dee
dil gariftah hai to peena ch~ooR de!

5,

jal chuka kab ka jhaan-e-aarzu
aasmaaN bijlee girana ch~ooR de!

6,

dard-e-dil se ho nah jaooN jaaN baHq
jaan-e-man nishtar lagana ch~ooR de!

7,

dil se jata hee naheeN tera kheyaal
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"?

8,

dekh~ le Zahad* agar dilbar mira
woh khuda se lao lagana ch~ooR de!
(Zahad=parhezgaar)

9,

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]
Muzaffar SaaHib !

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


Ghazal kaa maqt'a' jaan-e-Ghazal hay laiken 'aibdaar, yahaaN "tanhaa" bat'or-e-qaafiyah naheeN aa saktaa - yooN keejiye keh isee qaafiye ki ri'aayat se dubaarah Ghazal kah deejiye-



aap ki farmaaish peh a'mal ke iraaday ke baawajood tabee'at ne ziyaadah saath nah diyaa, bas yeh do she'r ho sakay, aap ki nazr kartaa hooN:


1-Dagmagaanaa, laRKhaRaanaa ChoR day
aisaa kar too mairaa shaanah ChoR day

2-ai dil-e-badbakht usay ab bhool jaa
raat din aaNsoo bahaanaa ChoR day



ma'moolee se heN-



yasir

Re: "koee kaese dil lagana ch~ooR de" Guzarish 26!

Posted: Sun Mar 18, 2007 5:22 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yasir shah wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

Guzarish 26 ke liye apnee ma'mulee see kawish pesh kar raha hooN. mulaHiZ^ah farmaiye!

1,

bakht-e-khuftah ko jagana ch~ooR de!
sang-e-dar par sar jh~ukana ch~ooR de!

2,

maiN nah kh~aooN ga fareb-e-justuju
laakh~ woh daman ch~uRana ch~ooR de!

3,

YooN nah kar khon-e-jigar ko rae,igaaN
hijr meN aaNsu bahana ch~ooR de!

4,

Shaekh SaHib ne a'jab tajweez dee
dil gariftah hai to peena ch~ooR de!

5,

jal chuka kab ka jhaan-e-aarzu
aasmaaN bijlee girana ch~ooR de!

6,

dard-e-dil se ho nah jaooN jaaN baHq
jaan-e-man nishtar lagana ch~ooR de!

7,

dil se jata hee naheeN tera kheyaal
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"?

8,

dekh~ le Zahad* agar dilbar mira
woh khuda se lao lagana ch~ooR de!
(Zahad=parhezgaar)

9,

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]
Muzaffar SaaHib !

kushtah-e-teGh-e-firaq-e-Yaar hooN
jaa Muz^affar mujh~ ko tanha ch~ooR de!


Ghazal kaa maqt'a' jaan-e-Ghazal hay laiken 'aibdaar, yahaaN "tanhaa" bat'or-e-qaafiyah naheeN aa saktaa - yooN keejiye keh isee qaafiye ki ri'aayat se dubaarah Ghazal kah deejiye-



aap ki farmaaish peh a'mal ke iraaday ke baawajood tabee'at ne ziyaadah saath nah diyaa, bas yeh do she'r ho sakay, aap ki nazr kartaa hooN:


1-Dagmagaanaa, laRKhaRaanaa ChoR day
aisaa kar too mairaa shaanah ChoR day

2-ai dil-e-badbakht usay ab bhool jaa
raat din aaNsoo bahaanaa ChoR day



ma'moolee se heN-



yasir

mohtaram Yasir Shah Sahib aadaab! :-)

aap ka mamnoon hooN keh aap ne Guzarish 26 ke liye asha'aar kehe. mujh~e aap se ittefaaq hai. t^abiyat par kahaaN kisee ka zaor chalta hai. aor she'er gaoee jo keh sarasar t^abiyat par inHeSaar kartee hai. agar dil-o-demaaGh is janib mai,l nah hooN to kiya majaal keh aek she'er bh~ee maozooN ho sake. maiN bar ha is kaefiyat se do chaar huwa hooN. kabh~ee kabh~ee to das barah minTooN meN puree Ghazal ho jatee hai. aor kabh~ee das barah dinooN meN aek she'er tak maozooN naheeN hota.



1-Dagmagaanaa, laRKhaRaanaa ChoR day
aisaa kar too mairaa shaanah ChoR day

bohot khoob, kiya kehne! yasir SaHib!

2-ai dil-e-badbakht usay ab bhool jaa
raat din aaNsoo bahaanaa ChoR day

kiya kehne! waah! waah!

donooN she'er khubSurat haiN. mujh~ee ummeed hai. keh chand she'er aor ho jaeeN ge. agar aap t^abiyat par zaor deeN to 5 she'er mukammal kar deeN. to kiya kehne!!

aakhir meN meree janib se dobarah dilee t6aor par mubarak baad qubool kijiYe aor bazm meN tashreef la kar rang-o-raonaq baRh~ane par aap ka mamnoon hooN.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
[/color]

Re: "koee kaese dil lagana ch~ooR de" Guzarish 26!

Posted: Sun Mar 18, 2007 6:14 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sara_j wrote:
yasir shah wrote: Muzaffar SaaHib !

aap ki farmaaish peh a'mal ke iraaday ke baawajood tabee'at ne ziyaadah saath nah diyaa, bas yeh do she'r ho sakay, aap ki nazr kartaa hooN:


1-Dagmagaanaa, laRKhaRaanaa ChoR day
aisaa kar too mairaa shaanah ChoR day

2-ai dil-e-badbakht usay ab bhool jaa
raat din aaNsoo bahaanaa ChoR day



ma'moolee se heN-



yasir
Yasir bhai aapke dono sheAr bohat pasand aaye

dono per doheri daad qubool keejiye :grin:

muzaffar sahib ka bhi shukriya :-)
moHtarmah Sara JabeeN SaHibah aadaab!

yaad aawaree ka shukriyah khush raheeN.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar