Tarahee Ghazal Guzarish (26)
Posted: Sat Mar 03, 2007 7:49 pm
MoHtarmee Muzaffar SaaHab
Tasleemaat
Aap ka bohat bohat shukriya keh aap ne ek hote huwwey achche adabee kaam ko rukne nah diya. Abdulla Nazir SaaHab ko yeh jaan ker bohat Khooshee hogee keh unki Alaalat ke dauran bhee hum logoN ne unke kaam ko jaree rakhkha. Allah unheN jald shifa de aur woh aainda Khood iss mehfil ka eHtmaam kareN, aamin.
Koii bohat murassah Ghazal tou nahiN ho sakee hai. ChoTee zameen meN kahan waise bhi dushwaar hota hai. Bus baiThe baiThe chund ashAAr kah liye haiN jo aap ki nazr haiN. Ummid hai aap wa deegar membaraan apni giraaNqadr aara se nawazeNge.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
-------------------------------------------------------------------------------
bekasoN per zulm Dhaanaa choR de
Arsh ka paaya hilaana choR de
mehfiloN meN aana jaana choR de
warna phir aaNsoo bahaana choR de
Iss se baRh ker bhee koii n’emat hai kya
“Koii kaise dil lagaana choR de”
Main tou duniya se bohat beezaar hooN
Kaash mujh ko bhee zamaana choR de
shiddat.e eHsas.e gham apni jagah
Kaise koii muskuraana choR de
Main Gam.e janaN bhulaa dooN, kya kahaa?
yAAni ik muflis Khazana choR de
phir saNbhalNge tujhe tere qadam
pahle tou auroN ka shaana choR de
ho raha hai phir kisaanoN per sitam
phir kaho "Mamata" se khaana choR de *
yeh nahiN :Jawaid: tere bus ka kaam
shaairee per zulm Dhaanaa choR de
* iss sher ka taAlluq ek siyasee
bhook haRtaal se hai jo W.Bengal meN
ek Khatoon ne kisanoN pe zulm ke Khilaaf kee thee.