Page 1 of 1
"koee kaese dil lagana ch~ooR de" aek aor koshish!
Posted: Mon Mar 05, 2007 12:24 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaran-e-meHfil aadaab! :rose
hamare bohot hee a'zeez dost aor bh~aee moHtaram Jawaid SaHib kee Ghazal dekh~ raha th~a aor lut^f andooz ho th~a. keh dareeN acna chand she'er maozooN ho gae. mulaHiz^ah farmaleeN.
Ghazal
1,
khaak gar majnooN uRana ch~ooR de!*
Yaar bh~ee aawazah kasna ch~ooR de!*
2,
aa kareeN tajdeed*-e-e'hd-e-daostee
kaj rawee se pesh aana ch~ooR de!
3,
meree kisht*-e-jaaN peh kar naz^r-e-karam
gul chaTanooN* par kh~ilana ch~ooR de!
4,
zindagee dushwaar ho jae miree!
tu agar ch~at par bulana ch~ooR de!
5,
reHm kar mere dil-e-naa shaad* par!
neem kash nawak chalana ch~ooR de!
6,
hijr ka aazaar aor dunya ke Gham!
yeh naheeN miTte miTana ch~ooR de!
7,
jane wale laoT kar aate naheeN!
deep rahooN meN jalana ch~ooR de!
8,
dil peh kab hai aadmee ka ikhteYaar?
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"
9,
kh~ul nah jae Shaekh taqwa* ka bh~aram
pee magar YooN Dagmgana chooR de!
10,
a'aashiq-e-beemar kee le kuch~ khabar!
Ghaer ke dil ko lubh~ana ch~ooR de!
11,
baar-e-Gham se jh~uk gaee teree kamar
naatawaaN is ko uTh~ana chooR de!
12,
YooN muz^affar dard kab hota hai kam?
daaGh dunya ko dikh~ana ch~ooR de!
*khaak uRana=muHawerah hai, aawarah ph~irna.
*aawazah kasna=muHawerah hai, t^anz karna, fiqrah chust karna, ch~eRna waGhaerah.
*tajdeed=nae sire se kaam shuru' karna.
kisht=zameen
*naa shaad= naa khush
*taqwa=zahad,parhezgaree
*chaTaan=baRa pathth~ar, saNglaakh pahaRee.
Muz^affar A Muz^affar
Re: "koee kaese dil lagana ch~ooR de" aek aor kosh
Posted: Thu Mar 08, 2007 6:40 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaran-e-meHfil aadaab! :rose

Yeh Bhi khub huuwee Muzaffar SaaHab keh meree nacheez Ghazal dekh kar aap ne kuch aisa "mood" banaya keh darjan bhar sher aur kah Dale. Aur ab shayad aap ki Ghazal dekh kar mera bhi kuch aisa hi "mood" ho raha hai. Khair yeh to mazaaq ki baat thee, amagar aap ne bohat mehnat ki hai aur yeh ashAAr bhi bohat Haseen haiN. KhuSusan iss baar mejhe aap ke tazmeen baohat achchee lagee. Saadgee meN kuch baat hoti hai janab.
Daad qubool farmaaiye.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
Posted: Fri Mar 09, 2007 10:41 am
by muhammad_19k
Janab Muzaffar Sb,
wah kia baat hai.
zindagee dushwaar ho jae miree!
tu agar ch~at par bulana ch~ooR de!
=D> =D> =D> =D> =D> =D>
Posted: Sat Mar 10, 2007 5:44 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Khawar SaHib aadaab!
aap ka teh-e-dil se mamnoon hooN.
khush raheeN!
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
Re: "koee kaese dil lagana ch~ooR de" aek aor kosh
Posted: Sat Mar 10, 2007 5:52 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaid badauni wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaran-e-meHfil aadaab! :rose
hamare bohot hee a'zeez dost aor bh~aee moHtaram Jawaid SaHib kee Ghazal dekh~ raha th~a aor lut^f andooz ho th~a. keh dareeN acna chand she'er maozooN ho gae. mulaHiz^ah farmaleeN.
Ghazal
1,
khaak gar majnooN uRana ch~ooR de!*
Yaar bh~ee aawazah kasna ch~ooR de!*
2,
aa kareeN tajdeed*-e-e'hd-e-daostee
kaj rawee se pesh aana ch~ooR de!
3,
meree kisht*-e-jaaN peh kar naz^r-e-karam
gul chaTanooN* par kh~ilana ch~ooR de!
4,
zindagee dushwaar ho jae miree!
tu agar ch~at par bulana ch~ooR de!
5,
reHm kar mere dil-e-naa shaad* par!
neem kash nawak chalana ch~ooR de!
6,
hijr ka aazaar aor dunya ke Gham!
yeh naheeN miTte miTana ch~ooR de!
7,
jane wale laoT kar aate naheeN!
deep rahooN meN jalana ch~ooR de!
8,
dil peh kab hai aadmee ka ikhteYaar?
"koee kaese dil lagana ch~ooR de"
9,
kh~ul nah jae Shaekh taqwa* ka bh~aram
pee magar YooN Dagmgana chooR de!
10,
a'aashiq-e-beemar kee le kuch~ khabar!
Ghaer ke dil ko lubh~ana ch~ooR de!
11,
baar-e-Gham se jh~uk gaee teree kamar
naatawaaN is ko uTh~ana chooR de!
12,
YooN muz^affar dard kab hota hai kam?
daaGh dunya ko dikh~ana ch~ooR de!
*khaak uRana=muHawerah hai, aawarah ph~irna.
*aawazah kasna=muHawerah hai, t^anz karna, fiqrah chust karna, ch~eRna waGhaerah.
*tajdeed=nae sire se kaam shuru' karna.
kisht=zameen
*naa shaad= naa khush
*taqwa=zahad,parhezgaree
*chaTaan=baRa pathth~ar, saNglaakh pahaRee.
Muz^affar A Muz^affar
Yeh Bhi khub huuwee Muzaffar SaaHab keh meree nacheez Ghazal dekh kar aap ne kuch aisa "mood" banaya keh darjan bhar sher aur kah Dale. Aur ab shayad aap ki Ghazal dekh kar mera bhi kuch aisa hi "mood" ho raha hai. Khair yeh to mazaaq ki baat thee, amagar aap ne bohat mehnat ki hai aur yeh ashAAr bhi bohat Haseen haiN. KhuSusan iss baar mejhe aap ke tazmeen baohat achchee lagee. Saadgee meN kuch baat hoti hai janab.
Daad qubool farmaaiye.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
mohtaram Jawaid SaHib aadaab!
aap kee Ghazal par Ghazal kehna aasan naheeN lekin aap ke asha'aar ne rehnumaee kee to rah hamwaar hotee chalee gaee.
kalam ko pasand farmane ka shukriyah ada karta hooN. khuda aap ko salamat rakh~e.
ph~ir aap kee Ghazal par nigah paR gaee hai. is se pehle ke chand she'er aor maozooN ho jaeeN. ijazut chahooN ga.
Wassalam
Muz^affar AHmad