Page 1 of 1
tarhi ghazal guzarish # 26
Posted: Tue Mar 06, 2007 7:53 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
muzaffar bhai
mohtaram abdullah nazir saahib kay micray per hamaari m'aamooli see kaushish peshay khidmmat hai.
gar qubool uftad zahay......
arz kiya hai.......
but kay aagay gidgidaana chor day
apni 'azmat ko ghataana chor day
aatishay dauzakh say bachna hai agar
haq yateemo.n ka too khaana chor day
saath hauta hai ghareebo.n kay khuda
dil ghareebo.n ka dukhaana chor day
'aql kay but taudna aasaa.n nahi.n
'aql mei.n unko basaana chor day
kehti hai taqdeer kuch tadbeer kar
raat din aansoo bahaana chor day
daulatay duniya kisee kee kab huee
isko too apna banaana chor day
aakhirat kee nemate.n anmol hai.n
"koyee kaisay dil lagaana chor day"
khudgharaz insaa.n hai.n haamid bhediye
aiso.n say rishta nibhaana chor day
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Posted: Wed Mar 07, 2007 11:23 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mukarram-o-moHtaram Hamid Baqri bh~aee
moa'tabar shae,ir Abdullah Nazir saHib ke miSra' aap ke asha'ar dekh~ne kee taofeeq milee. maashAlah bohot pur acar aor ieeman afrooz she'er keh kar aap ne apnee qadir-ul-kalamee aor pukhtah mashq-e-sukhan ka cuboot diya hai.
meree dua'a hai keh khuda-e-buzurg-o-bartar aap SeHat-o-salamtee se rakh~e. aor aap ka babarakat wujood hamare darmiyaan salamat rahe.
but kay aagay gidgidaana chor day
khud ki 'azmat ko ghataana chor day
mashallah
aatishay dauzakh say bachna hai agar
haq yateemo.n ka too khaana chor day
mashallah
saath hauta hai ghareebo.n kay khuda
dil ghareebo.n ka dukhaana chor day
mashallah
'aql kay but taudna aasaa.n nahi.n
'aql mei.n unko basaana chor day
mashallah
kehti hai taqdeer kuch tadbeer kar
raat din aansoo bahaana chor day
mashallah
daulatay duniya kisee kee nah huee
isko too apna banaana chor day
mashallah
aakhirat kee nemate.n anmol hai.n
"koyee kaisay dil lagaana chor day"
mashallah
khudgharaz insaa.n hai.n haamid bhediye
aiso.n say rishta nibhaana chor day
mashallah
is khubSurat kalam par meree janib se dilee mubaral baad aor Dh~erooN dad qubool farma kar shukriyah ada karne ka maoqa' deeN.
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
Posted: Thu Mar 08, 2007 5:03 am
by yasir shah
muHtaram Hamid SaaHib !
assalamoa'laikum
aap ki Ghazal paRhee ,, mashaaAllah khoob hay ,, sachchay khayaalaat ko saadgee se naZ'm kartay heN ,, 'aam rawish se haT kar yeh aap ki sukhan.t'araazee cuboot hay keh aap ko taHseen ki khaaS parwaa naheeN -Allaah aap ko istiqaamat a't'aa farmaa.ay-
aur kyaa kahooN ,, yahaaN aa kar muNh baNd kartaa hooN keh
ud.'oo ilaa sabeeli rabbika bil.Hikmati wal.maui'Z'at.il.Hasanati,,,,
mukhliS
yasir
haamidbaaqri wrote:
but kay aagay gidgidaana chor day
khud ki 'azmat ko ghataana chor day
aatishay dauzakh say bachna hai agar
haq yateemo.n ka too khaana chor day
saath hauta hai ghareebo.n kay khuda
dil ghareebo.n ka dukhaana chor day
'aql kay but taudna aasaa.n nahi.n
'aql mei.n unko basaana chor day
kehti hai taqdeer kuch tadbeer kar
raat din aansoo bahaana chor day
daulatay duniya kisee kee nah huee
isko too apna banaana chor day
aakhirat kee nemate.n anmol hai.n
"koyee kaisay dil lagaana chor day"
khudgharaz insaa.n hai.n haamid bhediye
aiso.n say rishta nibhaana chor day
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Posted: Fri Mar 09, 2007 10:49 am
by muhammad_19k
Mohtaram Janab Hamid Sb,
Assalam o Alaikum,
aap ki ghazal ke tamaam hi ashhar bohat achhay oar dil fareb haiN. aap ke ashaar paRh kar hameshaa khushi hoti hai ke maqSad bohat wazeH aor soch bohat mazboot nazar aatee hai. darj zail shaer, ma'ani o bayaan ke leHaz se behtareen lagaa.
kehti hai taqdeer kuch tadbeer kar
raat din aansoo bahaana chor day
Allah kare zore qalam aor ziayaada,
Muhammad K. Siddiqui.
shukriya
Posted: Sat Mar 10, 2007 6:47 am
by haamidbaaqri
yasir shah wrote:muHtaram Hamid SaaHib !
assalamoa'laikum
mohtaram yasir shah saahib
aap ki Ghazal paRhee ,, mashaaAllah khoob hay ,,
bahut bahut shukriya janaab aapka.
sachchay khayaalaat ko saadgee se naZ'm kartay heN ,,
al hamdulillah....
'aam rawish se haT kar yeh aap ki sukhan.t'araazee cuboot hay keh aap ko taHseen ki khaaS parwaa naheeN -Allaah aap ko istiqaamat a't'aa farmaa.ay-
aameen ya rabbal 'aalameen
aur kyaa kahooN ,, yahaaN aa kar muNh baNd kartaa hooN keh
ud.'oo ilaa sabeeli rabbika bil.Hikmati wal.maui'Z'at.il.Hasanati,,,,
mukhliS
yasir
wa mnyyatuqallaaha yaj'aluhui makhrjah
wa yarzuquhu min haico laa yahtacib
wa manyyatawakkal 'ala allaahay fahua hasbuhu
innallaha baaligho amray hi
qad ja'allahu lay kullay shayyin qadra.
holy quran
haamidbaaqri wrote:
salaamat rahe.n.
mukhlis
haamidbaaqri
but kay aagay gidgidaana chor day
khud ki 'azmat ko ghataana chor day
aatishay dauzakh say bachna hai agar
haq yateemo.n ka too khaana chor day
saath hauta hai ghareebo.n kay khuda
dil ghareebo.n ka dukhaana chor day
'aql kay but taudna aasaa.n nahi.n
'aql mei.n unko basaana chor day
kehti hai taqdeer kuch tadbeer kar
raat din aansoo bahaana chor day
daulatay duniya kisee kee nah huee
isko too apna banaana chor day
aakhirat kee nemate.n anmol hai.n
"koyee kaisay dil lagaana chor day"
khudgharaz insaa.n hai.n haamid bhediye
aiso.n say rishta nibhaana chor day
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Re: tarhi ghazal guzarish # 26
Posted: Sat Mar 10, 2007 6:50 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:haamidbaaqri wrote:
but kay aagay gidgidaana chor day
khud ki 'azmat ko ghataana chor day
aatishay dauzakh say bachna hai agar
haq yateemo.n ka too khaana chor day
saath hauta hai ghareebo.n kay khuda
dil ghareebo.n ka dukhaana chor day
'aql kay but taudna aasaa.n nahi.n
'aql mei.n unko basaana chor day
kehti hai taqdeer kuch tadbeer kar
raat din aansoo bahaana chor day
daulatay duniya kisee kee nah huee
isko too apna banaana chor day
aakhirat kee nemate.n anmol hai.n
"koyee kaisay dil lagaana chor day"
khudgharaz insaa.n hai.n haamid bhediye
aiso.n say rishta nibhaana chor day
hamid bhai,
salaam.
azeezah sara sahebah
bohat khoob! dhair saari daad qubool keejiye is
khoobsurat kawish per.
sara
aapki mukhlisaanah daad kay liye hum aapkay behad amnono mashkoor hai.n.
jazakallah
aapka bhai
haamid baaqri
shukriya
Posted: Sat Mar 10, 2007 6:54 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Hamid Sb,
Assalam o Alaikum,
mohtaram mohammed khawar siddiqui saahib
aap ki ghazal ke tamaam hi ashhar bohat achhay oar dil fareb haiN.
bahut bahut shukriya aapka
aap ke ashaar paRh kar hameshaa khushi hoti hai ke maqSad bohat wazeH aor soch bohat mazboot nazar aatee hai.
taufeeqay ilaahi hai mohtaram.
darj zail shaer, ma'ani o bayaan ke leHaz se behtareen lagaa.
kehti hai taqdeer kuch tadbeer kar
raat din aansoo bahaana chor day
Allah kare zore qalam aor ziayaada,
Muhammad K. Siddiqui.
is purkhuloos du kayliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri