Page 1 of 1

Marciyah-e-Ghalib.................Altaf Hussain Hali

Posted: Wed Mar 07, 2007 4:44 am
by yasir shah
muHtaram qaari'een-e-karaam !
assalamOa'laikum


aap ke saamne aik paakbaaz shaagird (Haali) kaa apne rind ustaad(Ghaalib) ki mout par kahaa gayaa marciyah paish kartaa hooN jis se keh Haali ki Ghaalib se a'qeedat kaa andaazah bhi bakhoobhee lagaayaa jaa saktaa hay,,bayaan ke taiwar bataa rahay heN keh naZ'm 'ain tadfeen ke moqe' par sar.zad huee hay - yeh marciyah mukhtaSaran aur qist'waar paish karooN gaa-mulaaHizah keejay:







%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%




kyaa kahooN Haal-e-dard-e-pinhaanee
waqt kotaah-o-qiSSah t'oolaanee


'aish-e-dunyaa se ho gayaa dil sard
daiKh kar raNg-e-'aalam-e-faanee


kuCh naheeN juz t'ilism-e-khwaab-o-khayaal
goshah-e-faqr-o-bazm sult'aanee


bai.Haqeeqat hay shakl-e-moj-e-saraab
jaam-e-jamshaid-o-raaH-e-raiHaanee


lafZ'-e-muhmal hay nutq-e-a'raabee
Harf-e-baat'il hay a'ql-e-yoonaanee


baHr-e-hastee bajuz saraab naheeN
chashmah-e-zindagee meN aab naheeN




--


jis se dunyaa ne aashnaaee kee
us se aakhir ko kaj.adaaee kee


tujh peh bhoolay koi a'bac ai u'mr !
too ne kee jis se baiwafaaee kee


hay zamaanah wafaa se baigaanah
haaN qasam mujh ko aashnaaee kee


yeh woh bai.mehr hay keh hay is kee
SulH meN chaashnee laRaaee kee


hay yahaaN HaZ'Z' waSl se maHroom
jis ko t'aaqat nah ho judaaee kee


hay yahaaN HifZ' waZa' se maayoos
jis ko 'aadat nah ho gadaaee kee


khandah-e-gul se bai.baqaa.tar hay
shaan ho jis meN dil.rubaaee kee


jins-e-kaasid se naarawaa.tar hay
khoobiyaaN jis meN hoN khudaaee kee


baat bigRee rahee sahee afsos
aaj "khaaqaanee"-o-"sanaaee" kee


rashk-e-"u'rfee" wa fakhr-e-"t'aalib" mard
Asadullah Khan Ghalib mard



---



bulbul-e-hind mar gayaa hai.haat !
jis ki thee baat baat meN ik baat


nuktah.daaN, nuktah.sanj ,nuktah.shanaas
paak dil ,paak zaat , paak Sifaat


laaKh maZmoon aur us kaa aik ThaThol
so takalluf aur us ki seedhee baat


dil meN chubhtaa thaa woh agar ba.macal
din ko kahtaa thaa din aur raat ko raat


ho gayaa naqsh dil peh jo liKhKhaa
qalam us kaa thaa aur us ki dawaat


theeN to "dillee" meN us ki baateN theeN
lay chaleN ab wat'an ko kyaa soGhaat


yaaN agar bazm thee to us ki bazm
yaaN agar zaat thee to us ki zaat


aik roshan dimaaGh thaa nah rahaa
shahr meN ik chiraaGh thaa nah rahaa




,,,,,,,,,,,,

,,,marciyah,,,

Posted: Fri Mar 09, 2007 3:34 am
by yasir shah
,,,,,

dil ko baateN jab us ki yaad aa.aiN
kis ki baatoN se dil ko bahlaa.aiN



kis ko jaa kar sunaa.aiN she'r-o-Ghazal
kis se daad-e-sukhanwaree paa.aiN



marciyah us kaa liKhtay heN aHbaab
kis se iSlaaH leN kidhar jaa.aiN



past maZmooN hay noHah-e-ustaad
kis t'araH aasmaaN peh pahNchaa.aiN



log kuCh pooChnay ko aa.ay haiN
ahl-e-mayyat janaazah Thahraa.aiN



laa.aiN gay Phir kahaaN se "Ghaalib" ko
soo-e-madfan abhee nah lay jaa.aiN



us ko agloN peh kyooN nah deN tarjeeH
ahl-e-inSaaf Ghor farmaa.aiN



"Qudsee"-o-"Saaib"-o-"Ameer"-o-"Kaleem"
log jo chaahaiN un ko Thahraa.aiN



ham ne sab kaa kalaam daiKhaa hay
hay adab shart' muNh nah Khulwaa.aiN


"Ghaalib"-e-nuktah.daaN se kyaa nisbat
khaak ko aasmaaN se kyaa nisbat




nacr Husn-o-jamaal ki Soorat
nazm Ghunj-o-zulaal ki Soorat



tahniyat ik nishaat' ki taSweer
ta'ziyat ik malaal ki Soorat



qaal us kaa woh aainah jis meN
naZ'ar aatee thee Haal ki Soorat


us ki toujeeh se pakaRtee thee
shakl-e-imkaaN muHaal ki Soorat



us ki taaweel se badaltee thee
rang-e-hijraaN wiSaal ki Soorat


luTf aaGhaaz se diKhaataa thaa
sukhan us kaa ma.aal ki soorat



chashm-e-doraaN se aaj Chuptee hay
Anwaree-o-Kamaal ki Soorat



louH-e-imkaaN se aaj miT.tee hay
i'lm-o-faZl-o-kamaal ki Soorat



daiKh lo aaj Phir nah daiKho gay
"Ghaalib"-e-bai.micaal ki Soorat



ab nah dunyaa meN aa.aiN gay yeh log
kaheeN DhooNDhay nah paa.aiN gay yeh log

Posted: Fri Mar 09, 2007 7:34 am
by BeeKay
Waah wah, bahut khoob, Yasir Saheb!

bk

Posted: Fri Mar 09, 2007 9:33 am
by sbashwar
:salaam:
Yashir Saheb, share karne ka bohat shukria.

Posted: Sat Mar 10, 2007 3:54 am
by yasir shah
shahr meN jo hay sogawaar hay aaj
apnaa baigaanah ashkbaar hay aaj


naazish-e-khalq kaa maHal nah rahaa
reHlat-e-fakhr-e-rozgaar hay aaj


thaa zamaanay meN aik rangeeN t'aba'
rukhSat-e-mausam-e-bahaar hay aaj


baar-e-aHbaab jo uThaataa thaa
dosh-e-aHbaab par sawaar hay aaj


thee har ik baat naishtar jis ki
us ki chup se jigar figaar hay aaj


dil meN muddat se thee khalish jis kee
wuhee barChee jigar ke paar hay aaj


dil-e-muZt'ir ko kon day taskeeN
maatam-e-yaar Ghamgusaar hay aaj


talkhi-e-Gham kahee naheeN jaatee
jaan-e-sheereeN bhi naagawaar hay aaj


kis ko laatay heN bahr-e-dafn keh qabr
hamah.tan chashm-e-intiZ'aar hay aaj


Gham se bhartaa naheeN dil-e-naashaad
kis se khaalee huwaa jahaaN aabaad




naqd-e-ma'nee kaa ganjdaaN nah rahaa
khwaan-e-maZmooN kaa maizbaaN nah rahaa


saath us ke ga.ee bahaar-e-sukhan
ab kuCh andaishah-e-khizaaN nah rahaa


huwaa aik aik kaarwaaN saalaar
koi saalaar-e-kaarwaaN nah rahaa


i'shq kaa naam us se roushan thaa
Qais-o-Farhaad kaa nishaaN nah rahaa


ho chukeeN Husn-o-i'shq ki baataiN
gul-o-bulbul kaa tarjumaaN nah rahaa


ahl-e-hind ab karaiN gay kis par naaz
rashk-e-Sheeraaz-o-IsfahaaN nah rahaa


zindah kyooNkar rahay gaa naam-e-malook
baadshaahoN kaa madH.khwaaN nah rahaa


koi waisaa naZ'ar naheeN aataa
woh zameeN aur aasmaaN nah rahaa


uTh gayaa hay jo maayah.daar-e-sukhan
kis ko Thahraa.aiN ab madaar-e-sukhan

Posted: Sun Mar 11, 2007 7:36 am
by Ibn-e-siddique
Yasir saHib

salaam arz hai

nabbaaz-e-Ghalib Altaf Hussain Haali saHib ka "marciya-e-Ghalib" yahaaN pesh karne ke liye bahot bahot shukria.

lutf aa gayaa paRh ker. marciyah is baat ka mooNh bolta cuboot hai ke Haali saHib ko Ghalib se kis qadar aqeedat-o-moHabbat thi.

ham aap ke mamnoon haiN ke aap ne ise yahaaN pesh kia.

aik guzaarish :

"Ghalib mard" = "Ghalib murd" (meem maftooH nahiN mazmoom hai)

shukria

Amjad

Posted: Tue Mar 13, 2007 3:53 am
by yasir shah
kyaa hay jis meN woh mard-e-kaar nah thaa
ik zamaanah keh saazgaar nah thaa



shaai'ree kaa kiyaa Haq us ne adaa
par koi us kaa Haq.guzaar nah thaa



bai.Silah madH-o-she'r-e-bai.taHseeN
sukhan us kaa kisee peh baar nah thaa



nazr-e-saail thee jaan tak laiken
dar.khur-e-himmat iqtidaar nah thaa



mulk-o-dolat se bahrah.war nah huwaa
jaan dainay peh ikhtiyaar nah thaa



khaaksaaroN se khaaksaaree thee
sar.bulandoN se inkisaar nah thaa



lab peh aHbaab se bhee thaa nah gilah
dil meN u'daa se bhi Ghubaar nah thaa



bai.riyaaee thee zuhd ke badlay
zuhd us kaa agar shi'aar nah thaa



aisay paidaa kahaaN heN mast-o-kharaab
ham ne maanaa keh hoshiyaar nah thaa


maZ'har-e-shaan-e-Husn-e-fitrat thaa
ma'ni-e-lafZ'-e-aadmiyyat thaa




kuCh naheeN farq baaGh-o-zindaaN meN
aaj bulbul naheeN gulistaaN meN



shahr saaraa banaa hay bait-e-Huzn
aik "Yousuf" naheeN jo "Kin'aaN" meN



mulk yaksar huwaa hay bai.aaeeN
ik "Falaat'ooN" naheeN jo "YoonaaN" meN



lab-e-jaadoo bayaaN huwaa khaamosh
gosh-e-gul waa hay kyooN gulistaaN meN



woh gayaa jis se bazm thee roshan
shama' jaltee hay kyooN shabistaaN meN



nah rahaa jis se thaa faroGh-e-naZ'ar
surmah bantaa hay kyooN "SafaahaaN" meN



maah-e-kaamil meN aa ga.ee Z'ulmat
aab-e-HaiwaaN peh Chaa ga.ee Z'ulmat

Posted: Thu Mar 15, 2007 3:20 am
by yasir shah
Hind meN naam paa.ay gaa ab kon
sikkah apnaa biThaa.ay gaa ab kon

ham ne jaanee hay is se qadr-e-salaf
un par eemaan laa.ay gaa ab kon

is ne sab ko bhulaa diyaa dil se
is ko dil se bhulaa.ay gaa ab kon

thee kisee kee nah jis meN gunjaaish
woh jagah dil meN paa.ay gaa ab kon

is se milnay ko yaaN ham aa.ay thay
jaa ke "dillee" se aa.ay gaa ab kon

mar gayaa qadrdaan-e-fahm-o-sukhan
she'r ham ko sunaa.ay gaa ab kon

mar gayaa tishnah-e-mazaaq-o-kalaam
ham ko ghar se bulaa.ay gaa ab kon

thaa bisaat'-e-sukhan meN shaat'ir aik
ham ko chaalaiN bataa.ay gaa ab kon

she'r meN naatamaam hay
Haalee
Ghazal us kee banaa.ay gaa ab kon

Posted: Thu Mar 15, 2007 3:33 am
by yasir shah
assalamOa'laikuM!

qaabil-e-iHtiraam qaari'een-e-karaam, Saaraa SaaHibah , Beekay SaaHib , Sbashwar SaaHib aur ibn-e-Siddique SaaHib ! aap sab ne marciye ko pasand kiyaa , baiHad mamnoon hooN-

baaqee "murd" waalee baat, sanad ke faraaham honay tak uThaa raKhtay heN-



yasir