Page 1 of 1

URDUDIYA

Posted: Thu Mar 08, 2007 1:25 pm
by urdudiya
Ahl-e-Bazm

Salaam 'arz hai


[align=center]Nazm

UrduDiya

diye ki roshni mein jab

koii aansu bahaata hai

laraz ke urdu kehti hai

ye ban ke phool mehekti hai

jo dil pe gham ke saaye hain

chuninda mere lafzon se

shairoN mein sajaana tum

ghazal koii sunaana tum
[/align]

Posted: Fri Mar 09, 2007 9:30 am
by sbashwar
Mohtarama Urdudiya Sahiba
:salaam:
Nazam bhoot khoob kahi aapne. Yeh zyada pasand ayaa;

shairoN mein sajaana tum
ghazal koii sunaana tum

Aapke mazeed kalaam ka intezar rahega.
Shukria

Posted: Fri Mar 09, 2007 11:03 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
moHtarmah Duniya saHibah aadaab-o-tasleemaat! :-)

aap kee naz^m dekh~ne kee taofeeq milee. kiya kehne bohot u'mdah aor dilkash peraeY meN aap ne apne ma fiZ^ameer ko ada kar diya hai. naz^m par daqeeq nigah Dalne par ma'loom hota hai. keh kalam gaoya aek barjastah koshish hai. aor dafa'ata" pura ka pura band naz^m ho geya hai.

is kamyaab sa'ee par meree dilee dad aor mubarak baad qubool farmaeeN. aor azrah-e-karam aae,indah bh~ee arbaab-e-meHfil ko apne munfarid aor puracar kalam se mustafeed hone ka maoqa' deeN.


diye ki roshni mein jab

koii aansu bahaata hai

laraz ke urdu kehti hai

ye ban ke phool mehekti hai

jo dil pe gham ke saaye hain

chuninda mere lafzon se

shairoN mein sajaana tum

ghazal koii sunaana tum :clap01:

kiya kehne, bohot u'mdah aor dilkash naz^m hai. waah Duniya SaHibah bohot khoob kaha hai aap ne!!

Wassalam
aap ka mukhliS
Muz^affar A Muz^affar
[/align]

Re: URDUDIYA

Posted: Fri Mar 09, 2007 7:29 pm
by jawaid badauni
urdudiya wrote:Ahl-e-Bazm

Salaam 'arz hai


[align=center]Nazm

UrduDiya

diye ki roshni mein jab

koii aansu bahaata hai

laraz ke urdu kehti hai

ye ban ke phool mehekti hai

jo dil pe gham ke saaye hain

chuninda mere lafzon se

shairoN mein sajaana tum

ghazal koii sunaana tum
[/align]

MoHtarma Urdudiya SaaHibah
aadaab

Aapka PM nazar nawaz huuwa. Yaad aawree ke liye behud mamnoon hooN.

MaiN ne aap kee Nazm paRhee aur behud pasaNd aaii. MaiN aazaad shaairee se ziyadah waqif nahiN is liye tafSeelee tabsarey se qaaSir hooN. Ummid hai aaindah bhee aap apne kalam se hum sub ko nawaaztee raheNgee.

Khoosh raheN!

KhulooSkaar,

Jawaid Badauni

Posted: Sat Mar 17, 2007 5:46 pm
by urdudiya
sbashwar wrote:Mohtarama Urdudiya Sahiba
:salaam:
Nazam bhoot khoob kahi aapne. Yeh zyada pasand ayaa;

shairoN mein sajaana tum
ghazal koii sunaana tum

Aapke mazeed kalaam ka intezar rahega.
Shukria
Nawazish.

Posted: Sat Mar 17, 2007 5:49 pm
by urdudiya
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]
moHtarmah Duniya saHibah aadaab-o-tasleemaat! :-)

aap kee naz^m dekh~ne kee taofeeq milee. kiya kehne bohot u'mdah aor dilkash peraeY meN aap ne apne ma fiZ^ameer ko ada kar diya hai. naz^m par daqeeq nigah Dalne par ma'loom hota hai. keh kalam gaoya aek barjastah koshish hai. aor dafa'ata" pura ka pura band naz^m ho geya hai.

is kamyaab sa'ee par meree dilee dad aor mubarak baad qubool farmaeeN. aor azrah-e-karam aae,indah bh~ee arbaab-e-meHfil ko apne munfarid aor puracar kalam se mustafeed hone ka maoqa' deeN.


diye ki roshni mein jab

koii aansu bahaata hai

laraz ke urdu kehti hai

ye ban ke phool mehekti hai

jo dil pe gham ke saaye hain

chuninda mere lafzon se

shairoN mein sajaana tum

ghazal koii sunaana tum :clap01:

kiya kehne, bohot u'mdah aor dilkash naz^m hai. waah Duniya SaHibah bohot khoob kaha hai aap ne!!

Wassalam
aap ka mukhliS
Muz^affar A Muz^affar
[/align]
Hazrat muzaffar saheb "Duniya saHibah" main vo nahi......

ina'YatoN ka shukriya

Re: URDUDIYA

Posted: Sat Mar 17, 2007 5:52 pm
by urdudiya
jawaid badauni wrote:
urdudiya wrote:Ahl-e-Bazm

Salaam 'arz hai


[align=center]Nazm

UrduDiya

diye ki roshni mein jab

koii aansu bahaata hai

laraz ke urdu kehti hai

ye ban ke phool mehekti hai

jo dil pe gham ke saaye hain

chuninda mere lafzon se

shairoN mein sajaana tum

ghazal koii sunaana tum
[/align]

MoHtarma Urdudiya SaaHibah
aadaab

Aapka PM nazar nawaz huuwa. Yaad aawree ke liye behud mamnoon hooN.

MaiN ne aap kee Nazm paRhee aur behud pasaNd aaii. MaiN aazaad shaairee se ziyadah waqif nahiN is liye tafSeelee tabsarey se qaaSir hooN. Ummid hai aaindah bhee aap apne kalam se hum sub ko nawaaztee raheNgee.

Khoosh raheN!

KhulooSkaar,

Jawaid Badauni
Huzoor-e-a'ala

nawazishoN ka shukriya........bohat jald aur kuch pesh karungi.