Page 1 of 1

Guzarish 26 -------- Abdullah Nazir

Posted: Sat Mar 10, 2007 1:31 pm
by muhammad_19k
Yaaran e bazm,

kuch waqt faarigh thaa to sochaa ke pichlee moshairoaN meiN likhaa huwaa asaatazaa ka kalaam hi paRh looN. toa ustaad e mohtaram janab Abudullah Nazir SaHib ki uss ghazal par nazar paRi jis se muzaffar SaHib ne ye taraH miSraA diyaa hai.

Ustaad e mohtaram naa saazi-aye tabiyat ki wajaa se bazm se door haiN. toa sochaa kyooN na un ke bar maHal kalaam se iss moshaa-i-ray ko gulo gulzaar kiyaa ja-aye.

leejiaye Abdullah Nazir SaHib ki ghazal paish khidmat hai. paRhiaye, sar dhuniaye aor ustaad e moHtaram ke qalam se aise mazeed shaah paaroaN ki takhleeq ki dua kijiaye.

Du'aa goa,
Muahmamd K. Siddiqui

Posted: Sat Mar 10, 2007 3:14 pm
by sbashwar
:salaam: Khawar saheb, Nazir saheb ki ghazal post karne ka shukria. Qarieen ko Nazir sahib ke kalaam aur nazir sahib ki ghair hazri mehsoos horahi thi.