AIK GHAZAL
Posted: Thu Mar 15, 2007 4:42 am
Apni aik ghazal aap sub doston ki khidmat mein pesh kar raha houn apni aara say zaroor nawaziay ga.
DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN
PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN
MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY
ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN
ZINDAGI MEIN JITNI BHI ROSHNI THI US SAY THI
MUSTAQIL ANDHAIRON MEIN AB UTAR GAYA HOUN MAIN
US KA SAATH JUB TAK THA RUNG RUNG MAUSAM THAY
BUS KHIZAAN KAY MANZAR MEIN AB THEHAR GAYA HOUN MAIN
BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN
AAINA BHI HAIRAT SAY DAIKHTA HAI AB MUJH KO
KAUN AJNABI HAI YEH AUR KIDHAR GAYA HOUN MAIN
Anis Hasan