Page 1 of 1

Posted: Mon Mar 26, 2007 11:09 am
by sbashwar
:salaam: Sara Saheba,
Ahmad Faraz Saheb ki ghazal share karne ka shukria.
Bohat achcha intekhab hai.

Posted: Tue Apr 17, 2007 1:49 pm
by muhammad_19k
Saraa ji,

aisi khooobsoorat ghazal paish karne par shukriyaa qabool kijiaye. kia koi dost is miSra' ki taqtee' kar ke mairi uljhan ko door kar saktaa hai?

kuch wo kaafar tang libaad thi

is se pehlay aik misra meiN rang ko 21 ke wazn meiN istemaal kiyaa gyaa hai. ye daikhiay Hiddat e jaaN se rang taanbaa sa . to phir tang ka wazn kia ho ga?

muntazir,
Muhammad K. Siddiqui

Posted: Tue Apr 17, 2007 10:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram M. Khawar SaHib aadaab!
kia koi dost is miSra' ki taqtee' kar ke mairi uljhan ko door kar saktaa hai?

kuch wo kaafar tang libaad thi

is se pehlay aik misra meiN rang ko 21 ke wazn meiN istemaal kiyaa gyaa hai. ye daikhiay Hiddat e jaaN se rang taanbaa sa . to phir tang ka wazn kia ho ga?
yeh Ghazal (beHer-e-khafeef musaddas makhboon meHz^oof) meN kahee gaee hai. jaesa ke aadaad se z^ahir hai.

=2122....1212.....22
=lsll........slsl.......ll
=faa e' laa tun....mu faa e' lun....fao' lun.

ab miSra' kee t^araf aate haiN. miSra' yooN hai.

"kuch~ woh kaafir :tunuk libadah: th~ee"

yeh lafz^ :tunuk libadah hai nah ke :tang libadah: yahaaN aap ko Ghalat^ee ka samna karna paRa hai.

tunuk libadah=kam ya th~oRe kapRe pehne huwe. jaesa keh kaha jata hai. tunuk z^arf, tunuk HaoSilah, tunuk mizaaj. to isee t^arH yeh lafz^ hai. tunuk libadah.

kuch...woh...kaa.....fir
2.........1........2.......2
faa.......e'......laa....tun

tu.....nuk.....li.....baa
1.......2.......1......2
mu....faa....e'....lun

dah....th~ee
2..........2
fa'o......lun

ummeed hai. tashaffee ho gaee ho gee.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

Posted: Wed Apr 18, 2007 12:33 pm
by muhammad_19k
Janab Muzaffar SaHeb,

aap ki wazaaHat ka shukriya. lafz "tunuk" chooNke "tang" likhaa gyaa hai. issi leeaye woh beHr se Khaarij maaloom huwaa. laikin itne baRay shaair ke sha'er bebeHr naheeN ho saktaa iss leeaye meiN ne dostoaN ki madad li.

mamnoon,
Muhammad K. Siddiqui