saRak ke beech _______Jalib ,,(wukalaa ke naam )
Posted: Sun Mar 25, 2007 3:39 am
aadaab naaZ'ireen !
HabeeB jaaliB ki aik naZ'm apnay mulk ke wukalaa ki nazr kartaa hooN keh jo inqilaab Zaroor barpaa karaiN gay -jarnail nah bhi utraa to bhi qaanoon kaa sar bulaNd ho gaa kyooNkeh inhoN ne apnaa lahoo bahaayaa hay -
yeh nazm Habeeb Jaalib ki tab ki hay keh jab un ki bhi "Lahore" meN aik iHtijaaj ki rahnumaai kartay huwe piTaaee huwee thee:
baray banay thay Jaalib SaaHib piTay saRak ke beech
gaalee Khaaee , laaThee Khaaee, giray saRak ke beech
kabhee giraibaaN chaak huwaa aur kabhee huwaa dil khooN
hamaiN to yooN hi milay sukhan ke Silay saRak ke beech
jism par jo zakhmoN ke nishaaN heN apnay tamGhay heN
milee hay aisee daad wafaa ki kisay saRak ke beech
waaZeh rahay keh kashmakash-e-HaaZir meN a'Z'eem shaai'r "Ahmed Faraz " ne bhi "press club" ke baahir jarnail ke khilaaf iHtijaaj kiyaa hay magar "khaamosh"-