"baat karkay dekhtay haiN"tarhi kalaam peshay khid
Posted: Mon Mar 26, 2007 4:37 pm
Assalaam o alaikum
dosto
aik tarhi kalaam aapki bacaaratoN ki nazr kar rahay haiN
gar qubool uftad zahay.........
arz kiya hai......
jo zaatpaat ki tah say ubhar kay dekhtay haiN
unheeN kay dil meiN farishtay utar kay dekhtay haiN
yeh likhtay hi nahiN gar hum gunaa'h ki saucheN
eraaday badlenge shaayed bashar kay dekhtay haiN
hamaaray zahn meiN nayki ka gar khayaal aaye
us ek 'amal ko bhi woh pyaar karke dekhtay haiN
farishtay guftagu kartay haiN nayk logoN say
"yeh baat hai to chalo baat karke dekhtay haiN"
malak say badhkay bashar ka hai martabah haamid
isee liye to sabhi aankh bhar kay dekhtay haiN
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah