Page 1 of 1

ASAATAZA KI ISLAAH - KHEL 3.

Posted: Mon Mar 26, 2007 5:54 pm
by muhammad_19k
leejiaye janab teesra sha'er Hazir hai. iss meiN bhi sirf aik hi lafz tabdeel kiyaa gyaa thaa.

aaj aaraaish e gaisoo dotaa hoti hai,
lo miri jaan giraftaar e balaa hoti hai
]

toa lagaa-iaye phir damaagh ka zor aor daikhiaye ke konsa lafz tabdeel kiyaa janaa chahiaye :-)

Jawab is link ASaataz ki ISLAAH - Jawabat http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... 3037#33037 par diyaa jaa-aye ga.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Sat Mar 31, 2007 7:06 pm
by sbashwar
Mohtarami Khawar Saheb
:salaam:
Dohra hona chahye Dotaa ke bajaye.

Posted: Tue Apr 03, 2007 4:59 am
by muhammad_19k
ohhh :-)

dotah ka matlab to mujhe bhi naheen pataa. kissi ahl e ilm ka intezaar karnaa paRay ga. ya phir agli nishast se pehly dictionary daikhne ki koshish karooN ga

mairaa khyaal hai hai ya to zulf ke bigarne ke leeaye ya sanwarne ke leeaye istemaal kiyaa gyaa ho ga. donoaN SoortoaN meiN dooSra misraa rabt meiN hai.

iSlaaH doosre miSraa meiN di gayee thi ;-)

Posted: Wed Apr 04, 2007 2:35 pm
by muhammad_19k
ji naheeN :-)

jawab is link par paish kar diyaa gyaa hai.

http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... 3183#33183