:: Meree pehlee Hamd ::
Posted: Tue Mar 27, 2007 9:21 pm
Yaaran-e-bazm, aadaab !!
aaj pehlee baar aek Hamd paish kar rahaa hooN ! yeh meri pehlii Hamd hai aur ise maiN ne kal hi likkhaa hai ! ummeed hai k apnii bharpoor raaye se navaazeNge ! kyooNke yeh meri pehlee Hamd hai ;) ! shukriya
:: Urdu Version ::
:: Roman Version ::
1.
yuuN zindagii se yaa raab ! dil mera aashnaa hai
jis samt dekhtaa hooN , ik tera saamnaa hai !!
2.
har aaNkh kaa nazaaraa har aaNkh se judaa hai !
phir bhii har aek manzar meiN , tuu hi aye Khudaa hai !
3.
ulfat ke aasmaaN ko chhone ka lutf kyaa hai !
us dil se koi pochhe , tuu jis ko mil gayaa hai !!
4.
jalvaa-taraaz hai tuu jis dil ke aai'ne meiN !
yeh kaai'naat saarii us dil kaa aai'naa hai !
5.
gulzaar-e-aarzoo meiN, saHraa-e-justjoo meiN
maiN dil ko DhoNRhtaa hooN, dil tujh ko DhooNRtaa hai !
6.
yuuN to chaman meiN terii laakhoN nishaaniyaaN haiN !
meer-e-a'rab (SAW) se laiken, teraa pataa milaa hai !
7.
har samt zindagii ne sau daam haiN bichhaaye !
tuu hii bachaa le mujh ko ! teraa hii aasraa hai !
8.
Thukraa diyaa hai sab ne, mujh ko agar to kyaa Gham ?
tuu to miraa Khudaa hai, teraa to dar khulaa hai !!
9.
u'mr-e-a'zeez saarii tere hi dar pe guzre !
apnaa banaa :Zia: ko, yaa rab yehi du'aa hai !!
Zia Baloch
.............................................................................