Page 1 of 1

guzaarish #27 haamidbaaqari

Posted: Mon Apr 02, 2007 10:43 am
by haamidbaaqri
:salaam2:
dosto

mohtaram muzaffar bhai kay diye huay micray per hamaari adna kaavish peshe khidmat hai....

gar qubool uftad zahay......

arz kiya hai......

baraaye 'ilm o hikmat khaak kyuN chaanee nahiN jaati
yahaaN sacchay bashar ki baat kyuN maanee nahiN jaati

zabaaN say shakhsiyat insaan ki pehchaanee jaati hai
kisee ki shakhsiyat paisoN say pehchaani nahiN jaati

jo ehsaasay gunah rakhtay haiN kartay haiN wohi tauba
diloN say aisay logoN kay pashemaanee nahiN jaati

hai laalach daaray faani kee diloN meiN isliye logo
"shabay gham aarzoo'oN kee faraawaani nahiN jaati"

bura lagta hai mayekhaaroN ko haamid yeh tira kehna
keh maye peenay say insaaN kee pareshaani nahiN jaati

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah

Posted: Mon Apr 02, 2007 11:21 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Hamid bh~aee :salaam2:

kiya kehne Hamid bh~aee bohot u'mdah aor naSeHat aamoz asha'aar se mushae'irah ka aaGhaaz kiya hai. sabh~ee asha'aar deedah zeb haiN. aor aap ke rujHaan-e-t^aba' ke numaae'indah haiN.

zameen mushkil hone ke sabab mera kheyaal th~a keh GhazleeN takheer se aaeeN geeN. lekin aap kee is barq raftaaree se ma'loom hota hai. keh deegar daost bh~ee isee tezgaamee ka cuboot dete huwe apne qalmee jaohar deekh~aeeN ge.

baraaye 'ilm o hikmat khaak kyuN chaanee nahiN jaati
yahaaN sacchay bashar ki baat kyuN maanee nahiN jaati

mashallah

zabaaN say shakhsiyat insaan ki pehchaanee jaati hai
kisee ki shakhsiyat paisoN say pehchaani nahiN jaati
mashallah

jo ehsaasay gunah rakhtay haiN kartay haiN wohi tauba
diloN say aisay logoN kay pashemaanee nahiN jaati
mashallah

hai laalach daaray faani kee diloN meiN isliye logo
"shabay gham aarzoo'oN kee faraawaani nahiN jaati"
mashallah

bura lagta hai mayekhaaroN ko haamid yeh tira kehna
keh maye peenay say insaaN kee pareshaani nahiN jaati
mashallah

meree dua'a hai keh Allah aap ke fikr ko mazeed buland parwaazee aor nikh~aar at^a farma de.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

Posted: Tue Apr 03, 2007 5:14 am
by muhammad_19k
Mohtaram Janab Hamid Sb,

Allah taalaa aap ke darjaat buland karay. aap ke iSlaaHi ashaar hamesha hi "motiviation" ka sabab bantay haiN. agar ijaazat ho toa apne tassurat bayaan kar dooN?

1. matlaA ka ko dono miSray bohat achchhay haiN.l laikin maire leeaye darmani rabt kuch wazeh na thaa.

2. bohat aalaa darjay ka khyaal paish kiyaa hai app ne. lafz shakhsiat ka dono miSroaN mein iStemaal kaisa hai. iss ke leeaye kissi SaHab e ilm ki raa-aye ka intezaar rahay ga.

3. bohat khoob janab such farmayaa aap ne. astaghfaar se gunah to dhul jaataiN haiN laikin pashemani aaindaa ki zindigi meiN taqwaa ka hathiar saabit hoti hai.

4. giraH bhi pasand aaii.

5. maqt'a bhi achchha hai

Allah kare zor e qalam oar ziadaa,

duago,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: guzaarish #27 haamidbaaqari

Posted: Tue Apr 03, 2007 7:12 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote::salaam2:
dosto

mohtaram muzaffar bhai kay diye huay micray per hamaari adna kaavish peshe khidmat hai....

gar qubool uftad zahay......

arz kiya hai......

baraaye 'ilm o hikmat khaak kyuN chaanee nahiN jaati
yahaaN sacchay bashar ki baat kyuN maanee nahiN jaati

zabaaN say shakhsiyat insaan ki pehchaanee jaati hai
kisee ki shakhsiyat paisoN say pehchaani nahiN jaati

jo ehsaasay gunah rakhtay haiN kartay haiN wohi tauba
diloN say aisay logoN kay pashemaanee nahiN jaati

hai laalach daaray faani kee diloN meiN isliye logo
"shabay gham aarzoo'oN kee faraawaani nahiN jaati"

bura lagta hai mayekhaaroN ko haamid yeh tira kehna
keh maye peenay say insaaN kee pareshaani nahiN jaati

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
wah haamid bhai! mukhtasar lekin bohat dilkash!! har

shiir per daad qubool keejiye. bohat hi umda ashaar hain.
azeezah sara saahebah
Assalaam o alaikum

hamaari kaavish ko aapnay pasand farmaaya aur hamesha ki tarah hameN apni mukhlisaanah daad say bhi nawaaza jiskayliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN.

jazakallah

aapka bhai

haamidbaaqri

shukriya

Posted: Tue Apr 03, 2007 7:21 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Hamid bh~aee :salaam2:

:walikum:
muzaffar bhai

kiya kehne Hamid bh~aee bohot u'mdah aor naSeHat aamoz asha'aar se mushae'irah ka aaGhaaz kiya hai. sabh~ee asha'aar deedah zeb haiN. aor aap ke rujHaan-e-t^aba' ke numaae'indah haiN.

bahut bahut shukriya hausalah afzaayee ka.jazakallah

zameen mushkil hone ke sabab mera kheyaal th~a keh GhazleeN takheer se aaeeN geeN. lekin aap kee is barq raftaaree se ma'loom hota hai. keh deegar daost bh~ee isee tezgaamee ka cuboot dete huwe apne qalmee jaohar deekh~aeeN ge.

hamaari pasandeedah zameen hai yeh muzaffar bhai.aur micra bhi hameN bahut accha laga so qalam chal pada nateejah aapkay saamnay hai.al hamdulillah.

baraaye 'ilm o hikmat khaak kyuN chaanee nahiN jaati
yahaaN sacchay bashar ki baat kyuN maanee nahiN jaati

mashallah

jee .....shukriya

zabaaN say shakhsiyat insaan ki pehchaanee jaati hai
kisee ki shakhsiyat paisoN say pehchaani nahiN jaati
mashallah

shukriya...

jo ehsaasay gunah rakhtay haiN kartay haiN wohi tauba
diloN say aisay logoN kay pashemaanee nahiN jaati
mashallah

shukriya..

hai laalach daaray faani kee diloN meiN isliye logo
"shabay gham aarzoo'oN kee faraawaani nahiN jaati"
mashallah

shukriya....

bura lagta hai mayekhaaroN ko haamid yeh tira kehna
keh maye peenay say insaaN kee pareshaani nahiN jaati
mashallah

shukriya..

meree dua'a hai keh Allah aap ke fikr ko mazeed buland parwaazee aor nikh~aar at^a farma de.

aameen summa aameen.

jazakallah khair

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
mukhlis
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Tue Apr 03, 2007 7:31 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Hamid Sb,

:salaam2:
mohtaram mohammed khawar saahib

Allah taalaa aap ke darjaat buland karay.

shukriya aapko bhi allah(sbhnwt)salaamat rakkhe.aameen

aap ke iSlaaHi ashaar hamesha hi "motiviation" ka sabab bantay haiN.

hameN badee khushee huee yeh jaankar.shukr parwardigaar ka.

agar ijaazat ho toa apne tassurat bayaan kar dooN?

neekee aur pooch pooch......... :-) ..bayaan keejiye.

1. matlaA ka ko dono miSray bohat achchhay haiN.l laikin maire leeaye darmani rabt kuch wazeh na thaa.

mohtaram sacchay bashar say hamaari muraad hazratay mohammede mustafa(sawaw)haiN.

2. bohat aalaa darjay ka khyaal paish kiyaa hai app ne.

bahut bahut shukriya.

lafz shakhsiat ka dono miSroaN mein iStemaal kaisa hai. iss ke leeaye kissi SaHab e ilm ki raa-aye ka intezaar rahay ga.

hum bhi intezaar kar rahay haiN.

3. bohat khoob janab such farmayaa aap ne. astaghfaar se gunah to dhul jaataiN haiN laikin pashemani aaindaa ki zindigi meiN taqwaa ka hathiar saabit hoti hai.

bahut bahut shukriya aapka.

4. giraH bhi pasand aaii.

zahay naseeb.....

5. maqt'a bhi achchha hai

shukriya...

Allah kare zor e qalam oar ziadaa,

duago,
Muhammad K. Siddiqui.
allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazray karam farmaaye.aameen.

mukhlis
haamidbaaqri

Re: shukriya

Posted: Tue Apr 03, 2007 8:43 am
by muhammad_19k
haamidbaaqri wrote:
muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Hamid Sb,

:salaam2:
mohtaram mohammed khawar saahib

1. matlaA ka ko dono miSray bohat achchhay haiN.l laikin maire leeaye darmani rabt kuch wazeh na thaa.

mohtaram sacchay bashar say hamaari muraad hazratay mohammede mustafa(sawaw)haiN.

mukhlis
haamidbaaqri

Janab Haamid Baaqri Sb,

aap ki wazahaat ke baad matla bilkul saaf ho gyaa hai. aap ka bohat bohat shukriya.

waise maire nazdeek aqeedat e aaqaa-aye kul jaahaaN SAWW ke paish e nazar hameiN hamaishaa un ka zikr khoob se khoob tar alfaaz meiN karnaa chahiaye sachaa insaan ke saath to kayee insaanoaN ka khyaal zahn meiN aa saktaa hai.

is ke baare meiN kia khyaal hai,

baraaye 'ilm o hikmat khaak kyuN chaanee nahiN jaati
yahaaN khair ul bashar ki baat kyuN maanee nahiN jaati

aor agar aap ishaara hi istemaal karnaa chahtay haiN toa phir,

jahaaN meiN rahnumaa ki baat kyuN maanee nahiN jaati

aor agar doosre miSra ko ba'ain hi rakhaa jaa-aye toa,

yahaaN ab rehnumaa ki baat kyuN maanee nahiN jaati

ooper wali miSaloaN se meiN Sirf apnaa nuqtaa nazar wazeh karnaa chahtaa hooN. kyooN ke mujhe yaqeen hai ke agar meiN apna nuqta e nazar samjhaa paayaa toa aap mujh se behtaar tabdeeli karaiN ge,

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: shukriya

Posted: Tue Apr 03, 2007 9:56 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:

huzoor(sawaw) kay kayee alqaab haiN.

JINMEIn sab say numaayaaN......AL SAADIQ HAI.

hum insaanoN MEIn sacchay insaan tau mil saktay haiN per mukammal saccha insaan taqreeban naa mumkin hai.is lehaaz say sachcha insaan E kaamil sirf rasoolay arabi(sawaw) haiN.aap khairul bashar jo haiN.

tiflay maktab
haamidbaaqari

Posted: Mon Apr 30, 2007 6:02 pm
by Rehana.A

Hamid Baqree Sahib! as khuobsuorat takhleeq par dili
daad o mubarak baad paish kartee hoon .
humain is say mahzooz honay ka moq,aa dainay ka buhut shukriya.

Image

shukriya

Posted: Tue May 01, 2007 4:52 am
by haamidbaaqri
Rehana.A wrote:
Hamid Baqree Sahib!

jee mohtaramah rehaana saahebah farmaaiye.

as khuobsuorat takhleeq par dili
daad o mubarak baad paish kartee hoon .

aapki mukhlisaanah daad aur mubaarakbaad keliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN.

humain is say mahzooz honay ka moq,aa dainay ka buhut shukriya.

nawaazish aapki.jazakallah

mukhlis
haamidbaaqri

Image