aik Hadeec , aik tashreeH

Quran ki aayaat aur unki tafseer/Ahaadeec-e-Nabawi SAWS aur unki TashreeH

Moderator: sbashwar

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

aik Hadeec , aik tashreeH

Post by yasir shah »

innamal a'maalu bil.khawaateemi

bai.shak a'maal kaa daar-o-madaar khaatimah par hay


___________________________________________Mushkaat S:20

tashreeH

mullaa Ali qaaree raHmatullaahuta'aalaa farmaatay heN keh is baat se Dartay rahnaa chaahiye keh meraa kyaa anjaam honay waalaa hay kyooNkeh aik aadamee pooree zindagee islaam par guzaartaa hay magar us se koi aisee naafarmaanee sarzad ho jaatee hay jis se us kaa khaatimah bil.khair naheeN hotaa is ke bar.khilaaf aik faajir shakhS ko aakhree waqt meN hidaayat mil jaatee hay aur us kaa khaatimah bil.khair ho jaataa hay , mazeed yeh farmaatay heN keh : is Hadeec meN is baat par bhi aamaadah karnaa aur ubhaarnaa maqSood hay keh insaan ko chaahiye keh t'aa.'aat meN lagaa rahay aur saiyaat se apnay aap ko bachaataa rahay aur is baat kaa har a'mal ke waqt gumaan kartaa rahay keh mumkin hay keh yahee us ki zindagee kaa akhree a'mal ho -

_________________________________________RauZ'at.u.t't'aalibeen



ya'nee

aaGhaaz ko kon pooChtaa hay
anjaam aChChaa ho aadamee kaa

(Daagh)
Post Reply