Page 1 of 2
Meri Taraahee Ghazal (Mush-27)
Posted: Tue Apr 03, 2007 10:18 am
by jawaid badauni
Azeezaan.e bazm, aadaab
Is baar Urdubandhan meN Janab Sarwar Alam Raz Saahab ka misra bataur tarah tajweez farmaya gaya hai. Aisee Zameen meN sher kahna hum jaisoN ke bus ki baat nahiN. Phir Bhi tAmil.e Hukm meN kuch sher kahne ki koshish ki hai.
MaiN apni Ghazal ko paiGham rasaaii ka ek zariya manta hooN iss liye dou sheroN meN apni qaum se apne dil ki baat iss baar bhee kah dee hai. Aap se yeh bhee iltemas hai keh mere chauthey (4) sher ko “nAAt” ki taraf le jaaiyega . Shukriya.
Ummid hai apni aara se nawazeNge.
MuKhliS
Jawaid
Ghazal
junooN ke sir se sauda dil se naadaanee nahiN jatee
koii bhee pairahan ho chaak daamaanee nahiN jatee
yeh aalam hai keh tum se Khaak bhee chhaanee nahiN jatee
magar zahnoN se ab tak boo.e sultaanee nahiN jatee
talabgaaraan.e ishrat rung laayee aish ki aadat
tumhaaree qaum ab duniya meN paihchaanee nahiN jatee
ijazat deejiye apne hi dar pe sir jhukaane ki
keh ab GhairoN ke dar tak meri peshaanee nahiN jatee
lahoo Gham ki tapish se lamHa lamHa jalta rahta hai
maza yeh hai keh phir bhee dil kee TuGhyaanee nahiN jatee
andheroN ki tarah armaaN bhee dil ke baRhte jaate haiN
"shab-e-Gham aarzuo'N kee farawanee naheeN jatee"
badalna karwaTen mujrim ka raatoN ko bataata hai
keh ik insaan ke dil se pashemaanee nahiN jatee
suna hai phir bhee woh :Jawaid: har mehfil meN jaate haiN
Kisee mehfil meN unki baat ab maanee nahiN jatee
Posted: Tue Apr 03, 2007 11:07 am
by muhammad_19k
Mohtaram janab Jawaid Badauni SaHib,
aap ki khoobSoorat ghazal nazar nawaz hoee. maire taassuraat is taraH haiN,
1. waah! bohat zabardast matl'aa hai.
2. doosre sha'er ko paRh kar lagaa jaise khaak chhaan-na bohat maamooli aor aasaan kaam hai jo qat-un koi achchha taasur naheeN hai.
3. ye shair achhchha hai
4. subhaan Allah. Allah taalaa aap ki dua sub ke Haq meiN poori karay.
5. bohat khoob!
6. iss shaer ka doosra miSra pehlay miSra ki taraH bohat umdaa naheeN hai.
7. waah waah!
sunaa hi phir bhi woah :jawaid: har mehfil meN jaate haiN
kissi mehfil meN unki baat ab maani naheeN jaati
bohat khoob janab.
Allah kare zor e qalm aor ziadaa,
mukhliS,
Muhamamd K. Siddiqui.
Posted: Tue Apr 03, 2007 9:41 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mukarram-o-moHtaram Janab Jawaid Badauni SaHib aadaab-o-tasleemaat! :rose
har aek she'er kaleje ko chaak karta hai
zubaan-e-teGh se hai tez tar zubaan-e-Ghazal!
Jawaid bh~aee kiya kehne aap to khuwahmkhuwah kacr-e-nafsee se kaam lete haiN. jabkeh farsee kee mashhoor kahawat hai. keh " har gul-e-raa rang-o-bu-e-deegar ast" main taqabul ka qaae'il naheeN lekin is baat ko Z^aroor tasleem karta hooN keh har shakhS meN qudrat ne SalaHiyateeN rakh~eeN hotee haiN. aor har yak use apne andaaz aor rang meN duniya ke samne pesh karta hai. macala" yahee Ghazal kehte huwe jo kheyaal aap ko aaya hai. jaesa keh aap hee ka mat^la' hai.
"junooN ke sir se sauda dil se naadaanee nahiN jatee
koii bhee pairahan ho chaak daamaanee nahiN jatee"
ab aap Ghaor farmaeeN jis kheyaal ko aap ne qalam band kiya hai. yeh kheyal Ghalib ya Zaoq ko naheeN aaya. warnah woh Z^aroor ise SafaH-e-qirt^aas par muntaqil karte. yahee Haal deegar she'erooN ka hai. unheeN jo zehn meN aaya woh keh gae. aor aap ke ba'd jo dusree likh~ne wale likh~eeN ge woh aor t^aH se sucheeN ge. GharZ^ har zehn apnee aek tajribah gaah hai. aor har tajribah gaah kee apnee ahmiyat aor afadiyat hai. to cabat ho geya keh har qalam kaar chahe woh shaelree ka adna se adna t^alib-e-i'lm hee kiyooN nah ho use chahiye keh woh khud ko apne fan kee khat^ir waqf kar de aor har giz yeh mat kheyaal kare keh maiN to kuch~ naheeN ya meree kiya Haeciyat hai....khud Mirza Ghalib keh gae haiN keh.
"yak zarrah-e-zameeN naheeN be kaar baaGh ka
yaaN jadah bh~ee fateelah hai lale ke daaGh ka"
junooN ke sir se sauda dil se naadaanee nahiN jatee
koii bhee pairahan ho chaak daamaanee nahiN jatee
bohot khob! waah waah kiya kehne!
yeh aalam hai keh tum se Khaak bhee chhaanee nahiN jatee
magar zahnoN se ab tak boo.e sultaanee nahiN jatee
kiya kehne! waah waah!
talabgaaraan.e ishrat rung laayee aish ki aadat
tumhaaree qaum ab duniya meN paihchaanee nahiN jatee
kiya kehne! Jawaid bh~aee waah!
ijazat deejiye apne hi dar pe sir jhukaane ki
keh ab GhairoN ke dar tak meri peshaanee nahiN jatee
bohot khoob!
lahoo Gham ki tapish se lamHa lamHa jalta rahta hai
maza yeh keh phir bhee dil kee TuGhyaanee nahiN jatee
wah ji wah
badalna karwaTen mujrim ka raatoN ko bataata hai
keh ik insaan ke dil se pashemaanee nahiN jatee
kiya kehne! waah waah!
suna hai phir bhee woh :Jawaid: har mehfil meN jaate haiN
Kisee mehfil meN unki baat ab maanee nahiN jatee
bohot khob bohot khubSurat maqt^a' hai waah waah!
meree janib se is HaseeN aor dil kash Ghazal par dilee dad qubool farmaeeN.
zeyadah Hadd-e-adab!
Wassalam
Muz^affar
Posted: Wed Apr 04, 2007 5:50 pm
by jawaid badauni
Main tazmeen karna bhool hi gaya tha. MoHtarm Mozaffar Saahab ne PM ke zareeye mujh se farmaaish ki hai keh main grah lagaaooN. Main ne sada see tazmeen kar dee hai. Ghazal meN ek sher ka izafah ho gaya hai.
Shukriya.
Jawaid
Posted: Wed Apr 04, 2007 6:08 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaid badauni wrote:Main tazmeen karna bhool hi gaya tha. MoHtarm Mozaffar Saahab ne PM ke zareeye mujh se farmaaish ki hai keh main grah lagaaooN. Main ne sada see tazmeen kar dee hai. Ghazal meN ek sher ka izafah ho gaya hai.
Shukriya.
Jawaid
MoHtaram Jawaid bh~aee aadaab!
kiya kehne girah khob bandh~ee hai. meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiye.
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
Posted: Wed Apr 04, 2007 6:16 pm
by jawaid badauni
muhammad_19k wrote:Mohtaram janab Jawaid Badauni SaHib,
aap ki khoobSoorat ghazal nazar nawaz hoee. maire taassuraat is taraH haiN,
1. waah! bohat zabardast matl'aa hai.
2. doosre sha'er ko paRh kar lagaa jaise khaak chhaan-na bohat maamooli aor aasaan kaam hai jo qat-un koi achchha taasur naheeN hai.
3. ye shair achhchha hai
4. subhaan Allah. Allah taalaa aap ki dua sub ke Haq meiN poori karay.
5. bohat khoob!
6. iss shaer ka doosra miSra pehlay miSra ki taraH bohat umdaa naheeN hai.
7. waah waah!
sunaa hi phir bhi woah :jawaid: har mehfil meN jaate haiN
kissi mehfil meN unki baat ab maani naheeN jaati
bohat khoob janab.
Allah kare zor e qalm aor ziadaa,
mukhliS,
Muhamamd K. Siddiqui.
Azeezi Khawar Saahab,
aadaab
Ghazal ki pazeerayee aur ashAAr per graNqadr tabsaroN ke liye aap ka mamnoon hooN.
Mujhe is zameen meN aapki Ghazal ka intezaar hai.
Khoosh raheN!
MuKhliS
Jawaid
Posted: Wed Apr 04, 2007 6:23 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:jawaid badauni wrote:Main tazmeen karna bhool hi gaya tha. MoHtarm Mozaffar Saahab ne PM ke zareeye mujh se farmaaish ki hai keh main grah lagaaooN. Main ne sada see tazmeen kar dee hai. Ghazal meN ek sher ka izafah ho gaya hai.
Shukriya.
Jawaid
MoHtaram Jawaid bh~aee aadaab!
kiya kehne girah khob bandh~ee hai. meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiye.
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
[align=left]
moHibbe Muzaffar Saahab,
aadaab.o.tasleemaat
Main Hairan.o.pareshan tha keh jis Khuloos.e bekraaN ke saath aap ne meri Ghazal ki pazeeraayee ki hai,maiN aaKhir kin alfaaz meN aap ka shukriya adaa karoN. Abhee maiN soch hi raha tha keh aap ka doosra paiGam jismeN meree nacheez tazmeen ko saraha gaya tha mauSool huuwa. Bhaaii, sharmindah na kijiye. MaiN bohat saadgee se kahta hooN. Albatta jis KhulooS se aap himmat afzaii farmaate haiN woh amr yaqeenan qaabil.e sud-daad hai.
Mushaaireh meN mazeed GhazaloN ka intezaar hai. Qafiya bohat dushwaar hai magar yeh yaqeenee hai keh jo GhazaleN aayeNgee achchee hi hoNgee.
Aap ka behud mamnoon hooN ke moHtarm Abdulla Nazir Sahab ki ghair maujoodgee meN aap ne iss kaam ko bakhubee aage baRhaya. Jazak Allah Khair.
Apka MuKhliS
Jawaid Badauni [/align]
Re: Meri Taraahee Ghazal (Mush-27)
Posted: Wed Apr 04, 2007 8:35 pm
by Sarwar A. Raz
jawaid badauni wrote:Azeezaan.e bazm, aadaab
Is baar Urdubandhan meN Janab Sarwar Alam Raz Saahab ka misra bataur tarah tajweez farmaya gaya hai. Aisee Zameen meN sher kahna hum jaisoN ke bus ki baat nahiN. Phir Bhi tAmil.e Hukm meN kuch sher kahne ki koshish ki hai.
MaiN apni Ghazal ko paiGham rasaaii ka ek zariya manta hooN iss liye dou sheroN meN apni qaum se apne dil ki baat iss baar bhee kah dee hai. Aap se yeh bhee iltemas hai keh mere chauthey (4) sher ko “nAAt” ki taraf le jaaiyega . Shukriya.
Ummid hai apni aara se nawazeNge.
MuKhliS
Jawaid
Ghazal
junooN ke sir se sauda dil se naadaanee nahiN jatee
koii bhee pairahan ho chaak daamaanee nahiN jatee
yeh aalam hai keh tum se Khaak bhee chhaanee nahiN jatee
magar zahnoN se ab tak boo.e sultaanee nahiN jatee
talabgaaraan.e ishrat rung laayee aish ki aadat
tumhaaree qaum ab duniya meN paihchaanee nahiN jatee
ijazat deejiye apne hi dar pe sir jhukaane ki
keh ab GhairoN ke dar tak meri peshaanee nahiN jatee
lahoo Gham ki tapish se lamHa lamHa jalta rahta hai
maza yeh hai keh phir bhee dil kee TuGhyaanee nahiN jatee
andheroN ki tarah armaaN bhee dil ke baRhte jaate haiN
"shab-e-Gham aarzuo'N kee farawanee naheeN jatee"
badalna karwaTen mujrim ka raatoN ko bataata hai
keh ik insaan ke dil se pashemaanee nahiN jatee
suna hai phir bhee woh :Jawaid: har mehfil meN jaate haiN
Kisee mehfil meN unki baat ab maanee nahiN jatee
biraadaram Jawaid SaaHeb: tasleemaat!
lo woh bhee kehte haiN keh yeh be-naNg-o-naam hai
yeh jaantaa agar to luTaataa nah ghar ko maiN!
ma'loom naheeN kis ne meraa miSra' t^araH ke liYe tajweez kiyaa. yeh e'zaaz bhee hai aur kisee Had tak :sitam-z^areefee: bhee! cheh piddee aur cheh piddee kaa shorbaa?
Khair, aap kee Ghazal shauq se dekhee. jahaaN tak :qaum ke naam paiGhaam: kaa sawaal hai so she'r #2,3 meN yeh kaifiyyat naz^ar aayee lekin #4 ko na't kee jaanib le jaane se qaaSir rahaa. yaqeena" meree kotaah-fehmee rahee ho gee. Ghazal majmoo,e'e t^aur se achhee hai. yeh Z^aoroor kahooN gaa keh yeh kaawish aap kee zood-goyee kaa shikaar ho gayee. meraa ta,accur yeh hai keh Zaraa see tawajjuh aur dee jaatee to kaheeN behtar Ghazal ho saktee thee. lekin aap kee roz-afzooN maSroofiyaat shaayad is kaa waqt aap ko naheeN detee haiN.
is ijmaal kee tafSeel yooN hai:
----------------------------------

:junooN ke sar kaa saudaa: mujh ko bohat hee Ghair-maanoos lagaa. aap ne Z^aroor dekhaa ho gaa so aagaah kar ke sarfaraaz kareN. maiN ne :saudaa-e-junooN, sar kaa saudaa: to paRhaa hai lekin :junooN ke sar kaa saudaa: naheeN dekhaa.
aap kee tashreeH se yeh u'qdah khule gaa. warnah shaayad :junooN ke: ko :hamaare: se badalnaa paR jaaYe!
----------------------------

:Khaak chhan,naa: ko aap ne jin ma'noN meN baaNdhaa hai us kee koyee micaal kabhee naz^ar se naheeN guzree. kehte haiN keh :us ne mulk mulk kee Khaak chhaanee: lekin is se yeh mat^loob naheeN hotaa keh :kuchh nah kiyaa: bal.k yeh z^aahir karnaa maqSood hotaa hai keh :baRee meHnat kee: aur yeh aap kaa mat^lab naheeN hai. so ab aap hee waZ^aaHat kar deN. shukriyah!
---------------------------

achhaa she'r hai.

kaa yeh mat^lab huwaa keh aaj se qabl GhairoN ko sajde kiyaa kartaa thaa. she'r ne ziyaadah muta,accir naheeN kiyaa. is meN na't kaa raNg kyoN kar dekhaa jaaYe?
---------------------------------
lahoo Gham ki tapish se lamHa lamHa jalta rahta hai
maza yeh keh phir bhee dil kee TuGhyaanee nahiN jatee
:yeh: ke ba'd "hai" kitaabaat meN reh gayaa hai. durust kar leejiYe.
-------------------------------

donoN ash,a'r achhe haiN. daad!
--------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Re: Meri Taraahee Ghazal (Mush-27)
Posted: Thu Apr 05, 2007 5:35 pm
by jawaid badauni
Sarwar Raz wrote:jawaid badauni wrote:Azeezaan.e bazm, aadaab

[align=left]MoHtaramee Sarwar Raz SaaHab
aadaab
MaiN aap ke tamaam mashwaroN ke liye mamnoon hooN aur aap ke tamaam e'traazaat ka tafSeelo jawab ek deegar forum meN dey hi chuka hooN. Jin ashAAr per wazahat talb ki gaii thee woh bhi aapki Khidmat meN pesh kar chuka hooN. MaiN Amuman aisee zameenoN meN sher nahiN kahta. Bohat aasaan zubaan meN seedhee saadi shairee karta hooN. Magar tarahee mushaireh meN shairkat baharHaal zaroori thee. Kuch bhi ho maiN apni iss Ghazal se kaafi mutmaaiin hooN. PaRhne wale bhi bohat Khoosh nazar aate haiN "andha kya maange dou aaNkheN."
Ummid hai aapse in maHafil meN mulaaqaat hoti rahegee.
MuKhliS
Jawaid [/align]
Posted: Thu Apr 05, 2007 6:09 pm
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Saheb
Aapki ghazal ka har sheir bohat umda hai. Ooper apke ghazal par tabsere bhi bohat pasand aye. Lutf agayaa.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.
Shukria
Posted: Thu Apr 05, 2007 6:13 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Saheb
Aapki ghazal ka har sheir bohat umda hai. Ooper apke ghazal par tabsere bhi bohat pasand aye. Lutf agayaa.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.
Shukria
Bohat bohat shukriya Salem Bhaii.
Bohat din se Nazir SaaHab ki Khairiyat nahiN mili hai. Baraye karam unki sehat ke baare meN Tafseel se likhiyega aur yeh bhikeh woh kab tak forum per tashreef laa sakeNge?
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
Posted: Thu Apr 05, 2007 6:20 pm
by sbashwar
Nazir saheb ki sehat bohat achchi hai. Aankh ka mowayena karwana baaqi hai. Aankhein bohat kamzoor hogayi hein. Thodi kamzoori door hujaye to insha-allah chasma lainge aur forum par asakenge.
Posted: Thu Apr 05, 2007 7:17 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Nazir saheb ki sehat bohat achchi hai. Aankh ka mowayena karwana baaqi hai. Aankhein bohat kamzoor hogayi hein. Thodi kamzoori door hujaye to insha-allah chasma lainge aur forum par asakenge.
Fauri jawaab dene ke liye aur achchee khabareN hum tak pahooNchaane ke liey shukriya
Jawaid
bahut khoob
Posted: Fri Apr 06, 2007 7:18 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
biradaram jawaid sahib
kaisay haiN aap?
is taalibay 'ilm ko bhoolgaye kya?
aapki peshkarda ghazal bahut acchee hai.hameN bahut pasand aayee.
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN =D> .
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
Re: bahut khoob
Posted: Fri Apr 06, 2007 9:48 am
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
biradaram jawaid sahib
kaisay haiN aap?
is taalibay 'ilm ko bhoolgaye kya?
aapki peshkarda ghazal bahut acchee hai.hameN bahut pasand aayee.
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN =D> .
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
"Tum se main beKhabar arey toba!"
Azeezi Haamid SaHab,
Aap ko maiN bhool jaaoN aisa kyuuNker mumkin hai. Ghazal ki pazeeraayee ke liye shukriya.
Khoosh raheN!
Jawaid