Page 1 of 1

Posted: Wed Apr 04, 2007 4:46 am
by sbashwar
sara_j wrote:.



[align=center]Image[/align]


.
:salaam: Sara Saheba,
Umda ghazlein Jan Nisar Saheb ki share karne ka shukria.
Yeh meri bohat hi pasandida ghazal hai jisko main hamesha gungunata houn.
Shukria

Posted: Sat Apr 07, 2007 7:07 pm
by sbashwar
poch na mujh se dil ke fasaane
ishq kii baate.n ishq hii jaane

vo din jab ham un se mile the
dil ke naazuk phuul khile
mastii aa.Nkhe.n chuum rahii thii
saarii duniyaa jhuum rahii
do dil the vo bhii diivaane

vo din jab ham duur huye the
dil ke shiishe chuur huye the
aa_ii Khizaa.N rangiin chaman me.n
aag lagii jab dil ke ban me.n
aayaa na ko_ii aag bujhaane

poch na mujh se dil ke fasaane
ishq kii baate.n ishq hii jaane
:salaam: Sara Saheba, Yeh post bhi dil ko chugayee.
Share karne ka shukria.

Posted: Mon Apr 09, 2007 7:24 am
by zmufti
shukria Sara jee
aap ne jaan nisaar akhtar saheb ke kalaam se behtreen ghazloN ka intkhaab kiyya hai

Posted: Wed Apr 11, 2007 6:53 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sara SaHibah aadaab!

JaaN Nicaar Akhtar kee GhazleeN achch~ee haiN. sadah andaz meN sukhan goee kee gaee hai. in ke beTe Jawaid Akhtar ka bh~ee yahee de~ma andaz hai.

is koshish aor zeHmat ke liye aap ka mamnoon hoN.

is silsilah meN aap ne jo teHreer upar likh~ee hai. us se yeh samjh~a ja raha hai keh maoSoof Hayaat haiN. agarcheh Akhtar rahee-e-mulk-e-a'adam ho chuke haiN.

Muz^affar

Posted: Thu Apr 12, 2007 12:59 pm
by sbashwar
:salaam: Sara sahiba shukra share karne ka. Intekhab achcha hai.