ghazal (tarhi mushaira urdu anjuman)peshay khidmat hai
Posted: Sat Apr 07, 2007 8:06 am
Assalaam o alaikum
dosto
aik aur tarhi ghazal peshay khidmat hai...
gar qubool uftad zahay......
arz kiya hai.....
dil diyaa maalik nay humkau dil lagaanay kayliye
jaan dee hai rahay haq meiN jaaN lutaanay kay liye
raahay haq meiN jaan dayna dosto aasaaN nahiN
rauna padtaa hai yahaaN per muskuraanay kayliye
khaakay patthar muskuraatay haiN mohammed mustafaa(sawaw)
aadmi kau pyaar say insaaN bananay kay liye
haqq o baatil ki agar insaan meiN nah hau tameez
baujh uski zindagee hai is zamaanay kayliye
mousamay baaraaN unheN haamid bachaaye kistarah
"bijliyaaN baytaab hoN jinkau jalaanay kay liye"
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah