Yasir Sahib aap ka mohabbat nama nazer nawaz hua
bohat innayet aap ki keh apni gonaguN masrufiat kay bawajud mujh nacheez kay liay itna waqt nikala jis per maiN azhed mamnoon huN.
laiken HaZrat ! filwaqt yeh she'r meN chaahiyeN nacr meN [naheeN
Kia khayal hay yasir sahib kuch ziada sakht alfaz nahiN istemaal ker liay ya aap kay khayal maiN is andaz maiN tanqeed bhi aadab e islah e adab ka hissa hay
aap ki Ghazal meN "wazn" ,"zabaan-o-bayaan"(roz marrah ,muHaawarah ,lafzoN kaa chunaao waGhairah),"khayaal" ki kamzoriyaaN paaee jaatee heN jo mut'aali'ah aur mashq se door ho jaa.eN gee
Phir baqi peechay reh kaya gaya hey
zabaan ke muta.a'lliq kahooN gaa keh "sijday dainaa" ,, "sijday maaNgnaa" ya'nee "sijday ki lain dain" nah Sirf naaqiS zabaan hay balkeh khayaal bhi -sijdah nah maaNgaa gayaa nah diyaa gayaa ,,Sijdah karnay kaa Hukm huwaa aur hameN apnee bhalaaee ki khaat'ir sijdah ba.harSoorat karnaa hay-
"khudaaee baaNdh dee bandagee ke haath meN ",, aap hi bataaiye! meN yahaaN kyaa a'rZ karooN ,HuZoor ne to sun hi raKhaa ho gaa keh baaNdhaa kyaa kyaa jaataa hay !
pehli baat to yeh keh lafz "sajdah" hay "sijdah" nahiN isaay darust ker lijiay.
dosri baat yeh keh sajdah alamat hay baRai tasleem kernay ki. Agar aap zera apnay ilm kay dairay ko wasee fermaiN to ilm ho jaey ga keh yeh lafz namaz kay sajday kay illawa kahaN kahaN istemaal hua hay.
Baat kuch aisay andaz kay laiN dain ki nahiN jo aap naiN azrah e tamaskhur bana lia hay yeh do mukhtalif muqamat per Quran e paak maiN aanay wali batoN ko yakja kia hay.
1. Jahan Allah nay farishtoN ko Adam kay samnay sajdah ker kay us ki baRai makhlukat per declare ki.
2. jahaN Allah nay kaha keh "hum nay insaan aur jinnat ko is kay siwa kissi kam kay liay peda nahiN kia keh woh meri abdiat ikhtiar keraiN"
Abdiat GHulami hay aur Apna chota pan aur malik ki BaRai tesleem kerti hay. Is ka symbolic izhar bhi sajday ki shakal maiN hota hay. chunanCheh allah nay barah e rast insaan ko hukam dia hay is maiN kuch indirect nahiN hay jaisa keh aap ferma rehay haiN.Ab is kay aagay maiN kia arz ker sakta huN.
Ab bandhna bhi aap ko pasand nahiN aya
bandhna aik wasee lafz hay agar aap is kay haath sirf sher bandhenay ya haath bandhnay tek mehdood ker daiN to phir maiN kia ker sakta huN
is ka aik maani qabu main laan ya takheer bhi hay
jaisay jo paltu janwer jab qabu main hotay haiN to woh aap kay haath bandhay huay hotay haiN aur aap un ki rassi pakeR ker un ko jahaN chahay lay jatay haiN.
"dard ke iHsaas ko kaaTnaa" ,,iHsaas bhi kabhee kaTtaa hay ?
katnay ka aik maani munqata kerna hay aur derd ki transmission nerves kay zeriay say hoti hay to agar maiN nay derd kay ehsas ko munqata kernay ki baat ki hay yeni us ki transmission block kernay ki to koN sa baRa juram ker dia hay Qibla. Urdu adab maiN to aap ko shuara aisi aisi dur ki kori latay nazer ayeN gay jis ka haqeeqat say koi taaluq nahin jaisa jigar ka khun aansuoN ki shakel maiN aankhoN say lahu ben ker tapkta hay.
"kis qadar eezaa milee is kajrawee ke haath meN" ,, bhaai yeh maHal bhi "........................kajrawee ke haath se " kaa thaa
Aap ki baat bhi theek hay keh haath say eeza milti hay
laikin aap phir bhul rehay haiN keh haath maiN ka matlab hay zer e asar hona aur jab kaj ravi kay zer e asar ho ker aap koi ghalat kaam kertay haiN to aap ko indirect eeza milti hay. yehi baat aap ko maiN nay pehlay bhi wazeh ki hay laikin aap ko pasand nahiN aa rehi.
quote]meraa tajweezkardah she'r bandish ko chust karnay ki khaatir faqat lafzoN ki tarteeb ki tabdeelee aur aik aadh lafz kaa iZaafah hay wagarnah nah yeh "sha.'oor" meraa hay nah "she'r"[/quote]
MashaAllah kia husn e zan paya hay sher ka kuch ka kuch ker diya aur ab bhi ferma rehay haiN keh sher aur shaoor ko aap nay kuch nahiN kai
"- aap ko apnaa mutabaadil she'r nichlee sat'H kaa lagaa keh zaatee baat thee aur mujhay yeh pahlay hi Gharq naZ'ar aayaa keh bai.khudee ko hosh peh tarjeeH dee gaee thee
yaaddihaanee ke tor par nacree mafhoom liKh daitaa hooN :
"hosh ki pairawee jab koi nishaaN naheeN day sakee to zindagee bai.khudee ke Hawaalay kar dee"
Bohat shukria keh aap nay aik gharq shuda khayal ko bazyab kernay ki koshish fermayi. Barah e karam yehi mehrubani agar aap kalam e Iqbal kay saath bhi ferma daiN to aap ka Urdu adab per baRa ehsaan ho ga kiuN keh mosuf nay bhi aksar hosh ko bekhudi aur khirad ko dil kay teht samjha hay maslan
"shaur o hosh o khird ka muamila ajeeb hay
muqaam e shouq maiN haiN sab dil o nazer kay raqeeb"
ya
"guzer ja aql say agay keh yeh noor
chiragh e rah hay manzil nahiN hay"
ya
"darun e khana hangamay haiN kia kia
chiragh e rahguzer ko kia khaber hay"
aur aisi bohat si deegar fikri aghlat jo allama apni lailmi maiN ferma gaey to agar aap un sab ki islah ker daiN to aap yaqeenan is kay haqdar haiN kiunkeh aap waisay bhi........
Shair e mashriq kay saath aik hi buland uffaq per mojud haiN.
yahaaN ma'zaratkhwaah hooN ! mujh se aik "typo" ho gayaa- meN yehee kahnaa chaahtaa thaa keh "ashk ki zanjeer ho gee baibasee ke haath meN " raKh kar pahlaa miSra' sochiye kyooNkeh pahlaa miSra' shikastah Haal hay -"daiKheN" ko "ho gee" meN is liye tabdeel kiyaa keh "daiKheN", "fe'l" ko pairaa,ay meN "faai'l" ki Zaroorat hay magar "ho gee " ko naheeN
Mazrat qabool
ho gi wali baat aap ki baja hay laikin janab maiN to yahaN aik nazaray ki dawat dey raha huN logoN ko dekhnay kay liay phir ho gi kaisay mera maani ada ker paye gi
salaye aam hay waali baat hay
ashkoN ki zanjeer bajaa-e-khud "bai.basee" kaa cuboot hay
ashk kia sirf baybasi maiN hi nakaltay haiN?
zera ghour fermayiyay
u'mdah isti'aaray isti'maal kiye heN aap ne ,ya'nee "ashk ki zanjeer" ="aaNsoo,oN ki laRee" ,,"baibasee kaa haath"= " maayoos aaNkh "
waah !
Ji maiN to jamay maiN phula hi nahiN sama pa reha keh hazuR naiN bilaakhir mujh nacheez ki kawish maiN koi to achi baat dekh li werna to maiN raddi ki tokri DhunD raha tha
is ke baawajood yeh miSra' kisee aur khayaal ki adaaigee ke liye kaaraamad caabit ho saktaa hay
To hazur aap is sher kay markazi khayal yeni ghulami maiN baybasi kay ehsas ko ujager kernay ki koshish ko siray hi say nikalwana chahtay haiN.
Yeh zulm hay aur is per banda shadeed ehtejaaj kerta hay.
aap ki maHabbat meN aisaa tafSeelee tabSirah paish kar diyaa hay warnah furSat kisay hay !
Aji hum bhi aap ki muhabbat maiN ghulay ja rehay haiN kabhi izhar ka moqa to dijiay
aakhree she'r peh aap ki taHreer kaa muntazir rahooN gaa shaayed dimaaGh ki koi girah Khul sakay -janaab !
Bhai sahib pehlay jaeiyay kissi ghulami maiN mubtila insaan kay paas bethiay aur aur us kay dil ka haal sunaiN phir meri baat per ghour kijiay ga.
yeh band kemroM maiN beth ker aur ilm ul urooz ki chand kitabaiN peRh ker ya chand ghissay pittay sheroN kay peyt say mazameen DhunD ker jo shaeri aaj kal ho rehi hay issi nay to urdu adab ki lutia dabo di hay.
aap ki deegar takhleeqaat kaa bhi intizaar rahay gaa-
InshaAllah jald pesh keruN ga ....aap apna neshter tez rekhiay
wassalam
Sohail Malik