Page 1 of 1

AIK GHAZAL

Posted: Sun Feb 06, 2005 9:29 pm
by Anis Hasan
Is forum par main pehli baar hazir ho raha houn aur apni aik ghazal paish karnay ki jasarat kar raha houn apni aara zaroor dijiyay ga.

AJEEB CHAO'N HAI JO SAIBA'N SAY BAHAR HAI
KEH MERA GHAR ABHI MERAY MAKA'N SAY BAHAR HAI

HAIN JITNAY RANG KAHANI MEIN SUB MUJHI SAY HAIN
MERA HI NAAM MAGAR DASTA'N SAY BAHAR HAI

SUKOO'N MILAY BHI TU KAISAY SHIKAST-E-ZAAT KAY BAAD
YEH DARD WOH HAI JO AAH-O-FUGHA'N SAY BAHAR HAI

MERAY YAQEEN PAY HAIRAN HONAY WALAY SUN
YEH SILSILA TERAY WEHM-O-GUMA'N SAY BAHAR HAI

MAIN US KAY HUSN KI TAAREEF KIS TARAH SAY LIKHOUN
YEH MOAJEZA MERAY IJZ-E-BAYA'N SAY BAHAR HAI

MAIN AIK BANDA-E-NAACHEEZ HOUN MERAY YARAB
YEH IMTIHA'N MERI TAAB-O-TAWA'N SAY BAHAR HAI

Re: AIK GHAZAL

Posted: Sun Feb 06, 2005 11:29 pm
by najma
Anis Hasan wrote:Is forum par main pehli baar hazir ho raha houn aur apni aik ghazal paish karnay ki jasarat kar raha houn apni aara zaroor dijiyay ga.

janab anis hasan sahib
aapki ghazal biohat hi pasand aaee,so bohat hii daad bhi hazir hay.acha kalam parh k tabi,at khush ho jatii hay.
:)

Bahut khoob Waah Waah

Posted: Mon Feb 07, 2005 5:43 am
by Abdullah Nazir

MuHtaram
Anis Hasan Saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aap ne apni hii is meHfil meiN tashreef laakar hameN behad mamnoon farmaayaa hei aur saath hii saath aik bahut dhii ikash se hamaaraa dil bhii jeet liyaa hei. Aapki ghazal ke saare ashAar bahut hii khoobsoorat mazaameen ke saath baasirah navaaz houe. Hairat hei ke ham aap jaise qaadir-ul-kalaam shayer se ab tak kaise meHroom rahe.

MaiN aapki ghazal paRhtaa rahaa aur jhoomtaa rahaa:

AJEEB CHAO'N HAI JO SAIBA'N SAY BAHAR HAI
KEH MERA GHAR ABHI MERAY MAKA'N SAY BAHAR HAI

HAIN JITNAY RANG KAHANI MEIN SUB MUJHI SAY HAIN
MERA HI NAAM MAGAR DASTA'N SAY BAHAR HAI

SUKOO'N MILAY BHI TU KAISAY SHIKAST-E-ZAAT KAY BAAD
YEH DARD WOH HAI JO AAH-O-FUGHA'N SAY BAHAR HAI

MERAY YAQEEN PAY HAIRAN HONAY WALAY SUN
YEH SILSILA TERAY WEHM-O-GUMA'N SAY BAHAR HAI

MAIN US KAY HUSN KI TAAREEF KIS TARAH SAY LIKHOUN
YEH MOAJEZA MERAY IJZ-E-BAYA'N SAY BAHAR HAI

MAIN AIK BANDA-E-NAACHEEZ HOUN MERAY YARAB
YEH IMTIHA'N MERI TAAB-O-TAWA'N SAY BAHAR HAI

Ummeed ke aayindah bhii apne dilkash kalaam se navaazte rahenge aur hameN shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.

Aapka Mukhlis,

Nazir.[/i]

Re: AIK GHAZAL

Posted: Mon Feb 07, 2005 2:44 pm
by naheedv
Anis Hasan wrote:Is forum par main pehli baar hazir ho raha houn aur apni aik ghazal paish karnay ki jasarat kar raha houn apni aara zaroor dijiyay ga.

AJEEB CHAO'N HAI JO SAIBA'N SAY BAHAR HAI
KEH MERA GHAR ABHI MERAY MAKA'N SAY BAHAR HAI

HAIN JITNAY RANG KAHANI MEIN SUB MUJHI SAY HAIN
MERA HI NAAM MAGAR DASTA'N SAY BAHAR HAI

SUKOO'N MILAY BHI TU KAISAY SHIKAST-E-ZAAT KAY BAAD
YEH DARD WOH HAI JO AAH-O-FUGHA'N SAY BAHAR HAI

MERAY YAQEEN PAY HAIRAN HONAY WALAY SUN
YEH SILSILA TERAY WEHM-O-GUMA'N SAY BAHAR HAI

MAIN US KAY HUSN KI TAAREEF KIS TARAH SAY LIKHOUN
YEH MOAJEZA MERAY IJZ-E-BAYA'N SAY BAHAR HAI

MAIN AIK BANDA-E-NAACHEEZ HOUN MERAY YARAB
YEH IMTIHA'N MERI TAAB-O-TAWA'N SAY BAHAR HAI
janaab Anis saahab,

aap ki ghazal paRh kar dil khush huvaa.
buhat pukhta kalaam hai mashaa'Allah aap kaa aur iss mehfil mein aik achaa izaafah bhee.
meree taraf se daad qubool kijiye.

shukriya
Naheed

Re: AIK GHAZAL

Posted: Mon Feb 07, 2005 4:15 pm
by Shummu
HAIN JITNAY RANG KAHANI MEIN SUB MUJHI SAY HAIN
MERA HI NAAM MAGAR DASTA'N SAY BAHAR HAI

MERAY YAQEEN PAY HAIRAN HONAY WALAY SUN
YEH SILSILA TERAY WEHM-O-GUMA'N SAY BAHAR HAI

MAIN US KAY HUSN KI TAAREEF KIS TARAH SAY LIKHOUN
YEH MOAJEZA MERAY IJZ-E-BAYA'N SAY BAHAR HAI

MAIN AIK BANDA-E-NAACHEEZ HOUN MERAY YARAB
YEH IMTIHA'N MERI TAAB-O-TAWA'N SAY BAHAR HA
Adaab Anis hasan sahab...sab se pehle to KHUSHAAMADEED is mehfil mein..pehli dafaa aap ka koi kalaam paRh rahi hoon aur saaf zaahir hota hai ke aap kaafi pukhtaa likhaari hain...aap ka kalaam bahut pasand aaya..quoted ash'aar bahut achche lage..daad haazir hai..aate rahiyega ...aur bhi apne kalaam se mehfil ki raunaq barhaaiyega ... :)

Shumaila

Re: AIK GHAZAL

Posted: Mon Feb 07, 2005 7:43 pm
by Anis Hasan
najma wrote:

janab anis hasan sahib
aapki ghazal biohat hi pasand aaee,so bohat hii daad bhi hazir hay.acha kalam parh k tabi,at khush ho jatii hay.
:)
Mohtarma "Najma" sahiba ghazal ki pasandeedgi ka behud shukriya.

Re: Bahut khoob Waah Waah

Posted: Mon Feb 07, 2005 7:48 pm
by Anis Hasan
Abdullah Nazir wrote:
MuHtaram
Anis Hasan Saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aap ne apni hii is meHfil meiN tashreef laakar hameN behad mamnoon farmaayaa hei aur saath hii saath aik bahut dhii ikash se hamaaraa dil bhii jeet liyaa hei. Aapki ghazal ke saare ashAar bahut hii khoobsoorat mazaameen ke saath baasirah navaaz houe. Hairat hei ke ham aap jaise qaadir-ul-kalaam shayer se ab tak kaise meHroom rahe.

MaiN aapki ghazal paRhtaa rahaa aur jhoomtaa rahaa:

AJEEB CHAO'N HAI JO SAIBA'N SAY BAHAR HAI
KEH MERA GHAR ABHI MERAY MAKA'N SAY BAHAR HAI

HAIN JITNAY RANG KAHANI MEIN SUB MUJHI SAY HAIN
MERA HI NAAM MAGAR DASTA'N SAY BAHAR HAI

SUKOO'N MILAY BHI TU KAISAY SHIKAST-E-ZAAT KAY BAAD
YEH DARD WOH HAI JO AAH-O-FUGHA'N SAY BAHAR HAI

MERAY YAQEEN PAY HAIRAN HONAY WALAY SUN
YEH SILSILA TERAY WEHM-O-GUMA'N SAY BAHAR HAI

MAIN US KAY HUSN KI TAAREEF KIS TARAH SAY LIKHOUN
YEH MOAJEZA MERAY IJZ-E-BAYA'N SAY BAHAR HAI

MAIN AIK BANDA-E-NAACHEEZ HOUN MERAY YARAB
YEH IMTIHA'N MERI TAAB-O-TAWA'N SAY BAHAR HAI

Ummeed ke aayindah bhii apne dilkash kalaam se navaazte rahenge aur hameN shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.

Aapka Mukhlis,

Nazir.[/i]
Mohtaram "Abdullah Nazir" Saahib qadardaanon ki is mehfil mein aa kar mujhay bhi dili khushi hui hai InshaAllah aainda bhi hazir hota rahoun ga. Ghazal aap ko pasand aayee tu mehnat wasool hui shukriya.

Re: AIK GHAZAL

Posted: Mon Feb 07, 2005 7:52 pm
by Anis Hasan
naheedv wrote:
janaab Anis saahab,

aap ki ghazal paRh kar dil khush huvaa.
buhat pukhta kalaam hai mashaa'Allah aap kaa aur iss mehfil mein aik achaa izaafah bhee.
meree taraf se daad qubool kijiye.

shukriya
Naheed
Mohtarma "Naheed" saahiba aap ki daad par behud mamnoon houn.

Re: AIK GHAZAL

Posted: Mon Feb 07, 2005 7:55 pm
by Anis Hasan
Shummu wrote:
Adaab Anis hasan sahab...sab se pehle to KHUSHAAMADEED is mehfil mein..pehli dafaa aap ka koi kalaam paRh rahi hoon aur saaf zaahir hota hai ke aap kaafi pukhtaa likhaari hain...aap ka kalaam bahut pasand aaya..quoted ash'aar bahut achche lage..daad haazir hai..aate rahiyega ...aur bhi apne kalaam se mehfil ki raunaq barhaaiyega ... :)

Shumaila
Mohtarma "Shumaila" saahiba aap ki pazeerai aur ghazal ki pasandeedgi ka buhat buhat shukriya.