Page 1 of 1

Tamaam Sahr Hi Dushman Hai Kya..........

Posted: Tue Apr 10, 2007 3:07 pm
by munir-armaan-nasimi
Pyare Urdubandhan ke Saathiyo,

Apni Ek Ghazal Pesh-e-Khidmat Hai.... Jo 'Gujrat' Saneha ke barsi pe likha tha. Umeed hai ke aap sab ko pasand aayegi.

Ustaadus Shora... Abdullah Nazir Saheb, Sarwar Raaz Saheb, Mahtab Qadr Saheb aur Deegar se guzarish hai ke apni giraan-qadr islah se nawazein..!!

aap ka adna,

Munir Armaan Nasimi

Posted: Tue Apr 10, 2007 4:26 pm
by Nadir Sir'giroh
Munir Arman Saheb................

Kya bataaooN.........
ke aap ki ghazal paRh kar..........
Dil ki kaifiyat kya huwee.

Ek ek sheAr meN..........ka'ee kahaaniyaaN..
Haulnaak manaazir.....
aur............unn manaazir se baher baithi mooN takti
aur phir uss manzar ka hissa bantee ek QAUM.......
Aapki Ghazal dil ko gudaaz kar gayee..........


Isee tarah waqtan fawaqtan yaad dilaatey raheN......ke humm...
waqfe waqfe se jaag'tey raheN
.

Posted: Tue Apr 10, 2007 5:44 pm
by munir-armaan-nasimi
YA ALLAH... TERA LAAKH LAAKH SHUKR HAI.......!!

NADIR Bhai... kya bataaon.... ye ghazal nahin mere wohh aansoo hain..... jo dil ki mitti ko aaj bhi nam kar dete hain... ye ghazal main ne Gujrat visit ke baad train main hoyi aur main ne isko islah
ke liye bhi nahin bheza....... kya pata mere Ustaad-e-Mohtaram... kaun kaun se alfaz ko be-wazan
Qaraar de kar.... badal ne ko kahein.... aur main iss ghazal ki koi bhee lafz badalna nahin chaahta
tha......!!

Bahar-haal, main ne socha ke urdubandhan pe post kar deta hoon. Yahan hi islah ho jaayegi.

Pahli baar aap ko meri koi cheez pasand aayi hai. Shukriya keh kar aap ki DAAD ki tauheen nahin
karoonga.... balki ye to mera HAQ tha jo aaj mujhe mil gaya.

Ahbab ki khidmat main mera Salaam.

Aap ka bhai

Munir Armaan

Re: Tamaam Sahr Hi Dushman Hai Kya..........

Posted: Wed Apr 11, 2007 3:41 am
by yasir shah
munir-armaan-nasimi wrote:Pyare Urdubandhan ke Saathiyo,

Apni Ek Ghazal Pesh-e-Khidmat Hai.... Jo 'Gujrat' Saneha ke barsi pe likha tha. Umeed hai ke aap sab ko pasand aayegi.

Ustaadus Shora... Abdullah Nazir Saheb, Sarwar Raaz Saheb, Mahtab Qadr Saheb aur Deegar se guzarish hai ke apni giraan-qadr islah se nawazein..!!

aap ka adna,

Munir Armaan Nasimi
Munir SaaHib !
assalaamoa'laikum

aap ki Ghazal mulaaHizay se guzree ,agar "roman" meN bhi liKh daitay to kyaa aChChaa hotaa, ba.harHaal nambar.waar tabSirah paish-e-khidmat hay :

1-waah ! khoob kahaa aap ne !

2-yeh she'r waZaaHat.t'alab hay

3-bahut khoob janaab !
8)

"fasaadee haath meN bachpan hay " tarkeeb bahut pasaNd aaee-

4)yahaaN mujhay tawaqqo' naheeN thee keh aisee faash Ghalat'ee kar baiTheN gay aap ! she'r baHr se khaarij hay

5)janaab ! mujhay afsos hay keh yeh she'r bhi baHr se khaarij hay


muHtaram !agar aap 4 aur 5 she'r ko baHr meN Dhaal deN to yeh Ghazal yaqeenan is bazm ke liye khoobSoorat toHfah hay -



yasir

Posted: Wed Apr 11, 2007 1:36 pm
by munir-armaan-nasimi
Beradaram Yasir Shah Saheb,

Salam-o-Rehmat! ghazal pasand aayi, shukriya...!!

Sher No-2:

Mujhee Se Pooch Raha Hai Ye Mera Hamsaya
Tumhara Ghar Mera Aangan Hai, Kya Kia Jaaye

Ye sher....Gujrat (India) Firqa-warana Fasaad ke baad ke haalat ki aqqasi karte hain.... fasaad main Musalmaanon ke gaon ke gaon jala diye gaye... musalmaanon ko apne apne gaon se bhaga dia gaya.....(Log AB BHI.....Relief Camp main rah rahe hain).... !

SAAL BHAR BAAD... jab India Govt, National Human Rights Commission, National Minorities Commission aur Judiciary ke 'pressure' se musalmaan apne apne gaon.... apne apne gharon ko wapas hoye to kya dekhte hain ke... unke padoshi... Hindu... unke makaan ko apna bana chuke hain. Kayi Musalman ke gharon ko mitti main mila dene ke baad... wahan apna ghar bana chuke hain (Aur to Aur Mashoor o Maaroof Shair Janab Wali Daccani ke kabr ko Bulldozer se saheed karne ke baad... wahan Raasta bhi bana diya gaya.... aur ye sab Sarkari Hukm se hoa).

SHER NO: 3 AAPKO PASAND AAYA.... BEHAD SHUKRIYA.

India ke Ex-Education Minister, BJP ke Dr. Murli Manohar Joshi Saheb ne.... History ko 'change' kar ke jo KARNAMA anjam diya hai.... uski taraf Ishaara hai.

Baqi Do sher (Sher No: 4 aur 5) aap ko Bahr se khaarij laga hai. Islah ke liye mamnoon hoon. Kya hi achcha hota agar aap unko SANWAR bhi dete to meri ghazal aur nikhar jaati. Ummeed karta hoon ke wapasi jawab main aap un do sher ko sahi kar denge.

Yasir Saheb, main shairi main abhi tifl-e-maktab hoon... aap jaise Sukhanwaron kii rahnumayi chahiye.

Taalib-e-Duaa,

Munir Armaan Nasimi

Posted: Wed Apr 11, 2007 6:58 pm
by munir-armaan-nasimi
ARMAAN-NAWAZI KA TAH-E-DIL SE MAMNOON HOON.
Insha'Allah.... Aaindah bhi ess se achchi ghazal kehne ki koshish karoonga.
Bas aap kii DUA chaahiye....!!

armaan

Posted: Thu Apr 12, 2007 2:43 pm
by Sohail Malik
Naseemi saheb
Aap nay sach fermaya aap kay alfaz bilkul dil kay alfaz hi haiN aur waisa hi asr dikha rehay hain dad qabul kijiay

yasir sahib nay jin ashaar ki teraf tawajjuh dilai hay mujhay bhi us say ittefaq hay

waisay to yasir sahib behter termeem tajweez ker sakaiN gey baharhal maiN bhi apni nacheez raey diay daita huN koshish ki hay keh aap kay khayal aur khaas alfaz ko nah cheRun

mulahiza kijiay

sher 4
'juNhi qabil huay bachay Thikkanah chhoR gaey'
yah
'juNhi qabil huay bachay uRay panchi ki terah'
aur dosra misra
'Aaj suna mira aangan hay kia kia jaey'


5 sher ka pehla misra termeem chahta hay

'sachai kuchli gai bewah kay armaN ki terah'
ya
'sach kay saath kissi bewah sa saluk reha'

wassalam
sohail malik

Posted: Thu Apr 12, 2007 5:55 pm
by munir-armaan-nasimi
sohail bhai saheb....

Thankz a lot. I'll do the needful... but to be honest... I am waitin for some other suggestions also. I m in a hurry today. Excuse me.. I will get back to you soon.

Regards

Posted: Wed Apr 18, 2007 6:05 pm
by muhammad_19k
Janab Munir Armaan Nasimi SaHeb,

aap ki ghazal ke aik aik lafz waqitun dil se niklaa huwaa hai. honaa to yehi chahiaye ke koi bhee na tabdeel kiyaa jaa-aye. jo lafz dil se nikalteN haiN un ka rang judaa hi hotaa hai. laikin ye bhi such hai ke agar ye alfaaz achchay tareeqay se paro-aye jaa sakaiN to Husn aor baRh jaataa hai. daikhiaye koshshish to ki hai ke aap ke alfaaz ki rang o khushboo ko barqaar rakh sakooN. kahaaN tak kaamyaabi hoee, aap se behtar kon bataa saktaa hai.

lage jo par to maire bachchay uR gay yaro, ---------- yaro ki jagaa saa-ray bhi istemaal ho saktaa hai.
ke soonaa maira ub aaNgan hai kia kiyaa ja-aye


hai kuchla such ye kissi ne ke khaahish e baiwaa?
yooN jhoot lay uRaa kangan hai kyaa ki-yaa ja-aye


mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui

Posted: Fri Apr 20, 2007 3:49 am
by yasir shah
munir-armaan-nasimi wrote:Beradaram Yasir Shah Saheb,

Salam-o-Rehmat! ghazal pasand aayi, shukriya...!!

Sher No-2:

Mujhee Se Pooch Raha Hai Ye Mera Hamsaya
Tumhara Ghar Mera Aangan Hai, Kya Kia Jaaye

Ye sher....Gujrat (India) Firqa-warana Fasaad ke baad ke haalat ki aqqasi karte hain.... fasaad main Musalmaanon ke gaon ke gaon jala diye gaye... musalmaanon ko apne apne gaon se bhaga dia gaya.....(Log AB BHI.....Relief Camp main rah rahe hain).... !

SAAL BHAR BAAD... jab India Govt, National Human Rights Commission, National Minorities Commission aur Judiciary ke 'pressure' se musalmaan apne apne gaon.... apne apne gharon ko wapas hoye to kya dekhte hain ke... unke padoshi... Hindu... unke makaan ko apna bana chuke hain. Kayi Musalman ke gharon ko mitti main mila dene ke baad... wahan apna ghar bana chuke hain (Aur to Aur Mashoor o Maaroof Shair Janab Wali Daccani ke kabr ko Bulldozer se saheed karne ke baad... wahan Raasta bhi bana diya gaya.... aur ye sab Sarkari Hukm se hoa).

SHER NO: 3 AAPKO PASAND AAYA.... BEHAD SHUKRIYA.

India ke Ex-Education Minister, BJP ke Dr. Murli Manohar Joshi Saheb ne.... History ko 'change' kar ke jo KARNAMA anjam diya hai.... uski taraf Ishaara hai.

Baqi Do sher (Sher No: 4 aur 5) aap ko Bahr se khaarij laga hai. Islah ke liye mamnoon hoon. Kya hi achcha hota agar aap unko SANWAR bhi dete to meri ghazal aur nikhar jaati. Ummeed karta hoon ke wapasi jawab main aap un do sher ko sahi kar denge.

Yasir Saheb, main shairi main abhi tifl-e-maktab hoon... aap jaise Sukhanwaron kii rahnumayi chahiye.

Taalib-e-Duaa,

Munir Armaan Nasimi


bhaai Munir !

meN chand dinoN ba'd aayaa aap ko yahaaN muntazir paa kar jawaab day rahaa hooN keh woh donoN ash'aar azsar-e-no kahnay ki Zaroorat hay so yeh kaam aap khud hi bahtar kar saktay heN -



yasir